ham hī un ko baam pe laa.e aur hamīñ mahrūm rahe
parda hamāre naam se uTThā aañkh laḌā.ī logoñ ne
I had brought her to the stage and then I was denied
the curtain, in my name, was raised, but others gratified
hum hi un ko baam pe lae aur hamin mahrum rahe
parda hamare nam se uTTha aankh laDai logon ne
I had brought her to the stage and then I was denied
the curtain, in my name, was raised, but others gratified
qismat to dekh TuuTī hai jā kar kahāñ kamand
kuchh duur apne haath se jab baam rah gayā
qismat to dekh TuTi hai ja kar kahan kamand
kuchh dur apne hath se jab baam rah gaya
-
Tags : Qismatand 1 more
ai kaash hamārī qismat meñ aisī bhī koī shaam aa jaa.e
ik chāñd falak par niklā ho ik chāñd sar-e-bām aa jaa.e
ai kash hamari qismat mein aisi bhi koi sham aa jae
ek chand falak par nikla ho ek chand sar-e-baam aa jae
-
Tag : Chaand
ab ḳhaak uḌ rahī hai yahāñ intizār kī
ai dil ye bām-o-dar kisī jān-e-jahāñ ke the
ab KHak uD rahi hai yahan intizar ki
ai dil ye baam-o-dar kisi jaan-e-jahan ke the
-
Tag : Intezar
āñkhoñ meñ damak uTThī hai tasvīr-e-dar-o-bām
ye kaun gayā mere barābar se nikal kar
aankhon mein damak uTThi hai taswir-e-dar-o-baam
ye kaun gaya mere barabar se nikal kar
ik dāstān ab bhī sunāte haiñ farsh o baam
vo kaun thī jo raqs ke aalam meñ mar ga.ī
ek dastan ab bhi sunate hain farsh o baam
wo kaun thi jo raqs ke aalam mein mar gai
ik barf sī jamī rahe dīvār-o-bām par
ik aag mere kamre ke andar lagī rahe
ek barf si jami rahe diwar-o-baam par
ek aag mere kamre ke andar lagi rahe
ahbāb mujh se qat-e-ta.alluq kareñ 'jigar'
ab āftāb-e-zīst lab-e-bām aa gayā
ahbab mujh se qat-e-talluq karen 'jigar'
ab aaftab-e-zist lab-e-baam aa gaya
-
Tag : Ahbaab
ek añgḌā.ī se saare shahr ko niiñd aa ga.ī
ye tamāshā maiñ ne dekhā baam par hotā huā
ek angDai se sare shahr ko nind aa gai
ye tamasha main ne dekha baam par hota hua
jal uThe bazm-e-ġhair ke dar-o-bām
jab bhī ham ḳhānumāñ-ḳharāb aa.e
jal uThe bazm-e-ghair ke dar-o-baam
jab bhi hum KHanuman-KHarab aae
allāh-re un ke husn kī mojiz-numā.iyāñ
jis baam par vo aa.eñ vahī koh-e-tūr ho
allah-re un ke husn ki mojiz-numaiyan
jis baam par wo aaen wahi koh-e-tur ho
jab safar se lauT kar aa.e to kitnā dukh huā
is purāne baam par vo sūrat-e-zebā na thī
jab safar se lauT kar aae to kitna dukh hua
is purane baam par wo surat-e-zeba na thi
maiñ jāntā huuñ makīnoñ kī ḳhāmushī kā sabab
makāñ se pahle dar-o-bām se milā huuñ maiñ
main jaanta hun makinon ki KHamushi ka sabab
makan se pahle dar-o-baam se mila hun main
mujh ko bhī jāgne kī aziyyat se de najāt
ai raat ab to ghar ke dar-o-bām so ga.e
mujh ko bhi jagne ki aziyyat se de najat
ai raat ab to ghar ke dar-o-baam so gae
judā thī baam se dīvār dar akelā thā
makīñ the ḳhud meñ magan aur ghar akelā thā
juda thi baam se diwar dar akela tha
makin the KHud mein magan aur ghar akela tha
vo sub.h ko is Dar se nahīñ baam par aatā
naama na koī bāñdh de sūraj kī kiran meñ
wo subh ko is Dar se nahin baam par aata
nama na koi bandh de suraj ki kiran mein
ham lab-e-gor ho ga.e zālim
tū lab-e-bām kyuuñ nahīñ aatā
hum lab-e-gor ho gae zalim
tu lab-e-baam kyun nahin aata
koī bhī sajnī kisī bhī sājan kī muntazir hai na muztarib hai
tamām baam aur dar bujhe haiñ kahīñ bhī raushan diyā nahīñ hai
koi bhi sajni kisi bhi sajan ki muntazir hai na muztarib hai
tamam baam aur dar bujhe hain kahin bhi raushan diya nahin hai