ALL
Profile
Ghazal12
Nazm9
Sher16
E-book58
Image Shayari3
Video1
Qita24
Rubai12
Article1
Tanz-o-Mazah1
Sher of Naresh Kumar Shad
itnā bhī nā-umīd dil-e-kam-nazar na ho
mumkin nahīñ ki shām-e-alam kī sahar na ho
disheartened or shortsighted O heart you need not be
this night of sorrow surely will a dawn tomorrow see
itna bhi na-umid dil-e-kam-nazar na ho
mumkin nahin ki sham-e-alam ki sahar na ho
disheartened or shortsighted O heart you need not be
this night of sorrow surely will a dawn tomorrow see
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
ḳhudā se kyā mohabbat kar sakegā
jise nafrat hai us ke aadmī se
KHuda se kya mohabbat kar sakega
jise nafrat hai us ke aadmi se
zindagī se to ḳhair shikva thā
muddatoñ maut ne bhī tarsāyā
zindagi se to KHair shikwa tha
muddaton maut ne bhi tarsaya
aql se sirf zehan raushan thā
ishq ne dil meñ raushnī kī hai
aql se sirf zehan raushan tha
ishq ne dil mein raushni ki hai
allāh re be-ḳhudī ki tire paas baiTh kar
terā hī intizār kiyā hai kabhī kabhī
o lord! There are times when such is my raptured state
even though I am with you, and yet for you I wait
allah re be-KHudi ki tere pas baiTh kar
tera hi intizar kiya hai kabhi kabhi
o lord! There are times when such is my raptured state
even though I am with you, and yet for you I wait
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
gunāhoñ se hameñ raġhbat na thī magar yā rab
tirī nigāh-e-karam ko bhī muñh dikhānā thā
O Lord, I was not drawn to sinning all the time
how else could I confront your mercy so sublime
gunahon se hamein raghbat na thi magar ya rab
teri nigah-e-karam ko bhi munh dikhana tha
O Lord, I was not drawn to sinning all the time
how else could I confront your mercy so sublime
zindagī naam hai judā.ī kā
aap aa.e to mujh ko yaad aayā
I was reminded when you came
that life and parting are the same
zindagi nam hai judai ka
aap aae to mujh ko yaad aaya
I was reminded when you came
that life and parting are the same
-
Tag : Judai
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mahfil un kī saaqī un kā
āñkheñ apnī baaqī un kā
mahfil un ki saqi un ka
aankhen apni baqi un ka
ḳhudā se log bhī ḳhā.if kabhī the
magar logoñ se ab ḳhā.if ḳhudā hai
KHuda se log bhi KHaif kabhi the
magar logon se ab KHaif KHuda hai
mahsūs bhī ho jaa.e to hotā nahīñ bayāñ
nāzuk sā hai jo farq gunāh o savāb meñ
mahsus bhi ho jae to hota nahin bayan
nazuk sa hai jo farq gunah o sawab mein
kisī ke jaur-o-sitam kā to ik bahānā thā
hamāre dil ko bahar-hāl TuuT jaanā thā
kisi ke jaur-o-sitam ka to ek bahana tha
hamare dil ko bahar-haal TuT jaana tha
tūfān-e-ġham kī tund havāoñ ke bāvajūd
ik sham-e-ārzū hai jo ab tak bujhī nahīñ
tufan-e-gham ki tund hawaon ke bawajud
ek sham-e-arzu hai jo ab tak bujhi nahin
tū mire ġham meñ na hañstī huī āñkhoñ ko rulā
maiñ to mar mar ke bhī jī saktā huuñ merā kyā hai
tu mere gham mein na hansti hui aankhon ko rula
main to mar mar ke bhi ji sakta hun mera kya hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye soch kar bhī hañs na sake ham shikasta-dil
yārān-e-ġham-gusār kā dil TuuT jā.egā
ye soch kar bhi hans na sake hum shikasta-dil
yaran-e-gham-gusar ka dil TuT jaega
tirā hijr merā nasīb hai tirā ġham hī merī hayāt hai
mujhe terī duurī kā ġham ho kyoñ tū kahīñ bhī ho mire paas hai
TRANSLATION
The pain of parting is my life, as separation from you is my destiny,
Why should I grieve for the distance, wherever you are, you are with me.
Sagar Akbarabadi
tera hijr mera nasib hai tera gham hi meri hayat hai
mujhe teri duri ka gham ho kyon tu kahin bhi ho mere pas hai
TRANSLATION
The pain of parting is my life, as separation from you is my destiny,
Why should I grieve for the distance, wherever you are, you are with me.
Sagar Akbarabadi
kisī se rasm-o-rah-e-dostī to kyā karte
hamārā ḳhud se ta.āruf bhī ġhā.ebāna thā
kisi se rasm-o-rah-e-dosti to kya karte
hamara KHud se taaruf bhi ghaebana tha