Sher of Raza Azimabadi
dekhī thī ek raat tirī zulf ḳhvāb meñ
phir jab talak jiyā maiñ pareshān hī rahā
dekhi thi ek raat teri zulf KHwab mein
phir jab talak jiya main pareshan hi raha
imārat dair o masjid kī banī hai iiñT o patthar se
dil-e-vīrāna kī kis chiiz se ta.amīr hotī hai
imarat dair o masjid ki bani hai inT o patthar se
dil-e-virana ki kis chiz se tamir hoti hai
sau iid agar zamāne meñ laa.e falak va-lek
ghar se hamāre māh-e-muharram na jā.egā
sau id agar zamane mein lae falak wa-lek
ghar se hamare mah-e-muharram na jaega
yārab tū us ke dil se sadā rakhiyo ġham ko duur
jis ne kisī ke dil ko kabhī shādmāñ kiyā
yarab tu us ke dil se sada rakhiyo gham ko dur
jis ne kisi ke dil ko kabhi shadman kiya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sab kuchh paḌhāyā ham ko murdarris ne ishq ke
miltā hai jis se yaar na aisī paḌhā.ī baat
sab kuchh paDhaya hum ko murdarris ne ishq ke
milta hai jis se yar na aisi paDhai baat
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
rafū phir kījiyo pairāhan-e-yūsuf ko ai ḳhayyāt
siyā jaa.e to sī pahle tū chāk-e-dil zuleḳhā kā
rafu phir kijiyo pairahan-e-yusuf ko ai KHayyat
siya jae to si pahle tu chaak-e-dil zuleKHa ka
ka.abe meñ shaiḳh mujh ko samjhe zalīl lekin
sau shukr mai-kade meñ hai e'tibār apnā
kabe mein shaiKH mujh ko samjhe zalil lekin
sau shukr mai-kade mein hai e'tibar apna
sunte to the 'razā' haiñ sab haiñ baḌe musalmāñ
par kufr meñ ziyāda nikle vo barahman se
sunte to the 'raza' hain sab hain baDe musalman
par kufr mein ziyaada nikle wo barahman se
is chashm o dil ne kahnā na maanā tamām umr
ham par ḳharābī laa.ī ye ghar hī kī phūT-phāT
is chashm o dil ne kahna na mana tamam umr
hum par KHarabi lai ye ghar hi ki phuT-phaT
kyā kaheñ apnī siyah-baḳhtī hī kā andher hai
varna sab kī hijr kī raat aisī kaalī bhī nahīñ
kya kahen apni siyah-baKHti hi ka andher hai
warna sab ki hijr ki raat aisi kali bhi nahin
ḳhvāh kāfir mujhe kah ḳhvāh musalmān ai shaiḳh
but ke hāthoñ meñ bikā yā huuñ ḳhudā kī saugand
KHwah kafir mujhe kah KHwah musalman ai shaiKH
but ke hathon mein bika ya hun KHuda ki saugand
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
zaḳhm ke lagte hī kyā khul ga.e chhātī ke kivāḌ
aage ye ḳhāna-e-dilchasp havā daar na thā
zaKHm ke lagte hi kya khul gae chhati ke kiwaD
aage ye KHana-e-dilchasp hawa dar na tha
ilāhī chashm-e-bad us se tū duur hī rakhiyo
ki mast saḳht huuñ maiñ aur ayāġh nāzuk-tar
ilahi chashm-e-bad us se tu dur hi rakhiyo
ki mast saKHt hun main aur ayagh nazuk-tar
gar garebāñ siyā to kyā nāseh
siine kā chaak bin siyā hī rahā
gar gareban siya to kya naseh
sine ka chaak bin siya hi raha
chalā hai ka.abe ko but-ḳhāne se 'razā' yaaro
kisī ne aisā ḳhudā.ī-ḳharāb dekhā hai
chala hai kabe ko but-KHane se 'raza' yaro
kisi ne aisa KHudai-KHarab dekha hai
aisā kisī se junūñ dast-o-garebāñ na ho
chāk-e-garebāñ kā bhī chaak garebāñ kiyā
aisa kisi se junun dast-o-gareban na ho
chaak-e-gareban ka bhi chaak gareban kiya
ik dam ke vāste na kiyā kyā kyā ai 'razā'
dekhā chhupāyā toḌā banāyā kahā sunā
ek dam ke waste na kiya kya kya ai 'raza'
dekha chhupaya toDa banaya kaha suna
na ka.aba hai yahāñ mere na hai but-ḳhāna pahlū meñ
liyā kis ghar base ne aah aa kar ḳhāna pahlū meñ
na kaba hai yahan mere na hai but-KHana pahlu mein
liya kis ghar base ne aah aa kar KHana pahlu mein
nau-mashq-e-ishq haiñ ham aa.heñ kareñ ajab kyā
giilī jalegī lakḌī kyūñkar dhuāñ na hogā
nau-mashq-e-ishq hain hum aahen karen ajab kya
gili jalegi lakDi kyunkar dhuan na hoga
ka.aba o dair jidhar dekhā udhar kasrat hai
aah kyā jaane kidhar gosha-e-tanhā.ī hai
kaba o dair jidhar dekha udhar kasrat hai
aah kya jaane kidhar gosha-e-tanhai hai
kis tarah 'razā' tū na ho dhavāne zamāna
jab dil sā tirī baiThā ho badnām baġhal meñ
kis tarah 'raza' tu na ho dhawane zamana
jab dil sa teri baiTha ho badnam baghal mein
ham ko milī hai ishq se ik āh-e-soz-nāk
vo bhī usī kī garmī-e-bāzār ke liye
hum ko mili hai ishq se ek aah-e-soz-nak
wo bhi usi ki garmi-e-bazar ke liye
sau ġhamze ke rakhtā hai nigahbān pas-o-pesh
aatā hai akelā par akelā nahīñ aatā
sau ghamze ke rakhta hai nigahban pas-o-pesh
aata hai akela par akela nahin aata
ḳhushā ho kar butāñ kab āshiqoñ ko yaad karte haiñ
'razā' hairāñ huuñ maiñ kis baat par hai utnā bholā tū
KHusha ho kar butan kab aashiqon ko yaad karte hain
'raza' hairan hun main kis baat par hai utna bhola tu
jis tarah ham rahe duniyā meñ haiñ us tarah 'razā'
shaiḳh but-ḳhāne meñ ka.abe meñ barahman na rahā
jis tarah hum rahe duniya mein hain us tarah 'raza'
shaiKH but-KHane mein kabe mein barahman na raha