Sher of Saghar Khayyami
muddat huī hai bichhḌe hue apne-āp se
dekhā jo aaj tum ko to ham yaad aa ga.e
muddat hui hai bichhDe hue apne-ap se
dekha jo aaj tum ko to hum yaad aa gae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jaan jaane ko hai aur raqs meñ parvāna hai
kitnā rañgīn mohabbat tirā afsāna hai
jaan jaane ko hai aur raqs mein parwana hai
kitna rangin mohabbat tera afsana hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aam terī ye ḳhush-nasībī hai
varna langḌoñ pe kaun martā hai
aam teri ye KHush-nasibi hai
warna langDon pe kaun marta hai
kitne chehre lage haiñ chehroñ par
kyā haqīqat hai aur siyāsat kyā
kitne chehre lage hain chehron par
kya haqiqat hai aur siyasat kya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
us vaqt mujh ko dāvat-e-jām-o-subū milī
jis vaqt maiñ gunāh ke qābil nahīñ rahā
us waqt mujh ko dawat-e-jam-o-subu mili
jis waqt main gunah ke qabil nahin raha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kaun kahtā hai bulandī pe nahīñ huuñ 'sāġhar'
merī me'rāj-e-mohabbat mirī rusvā.ī hai
kaun kahta hai bulandi pe nahin hun 'saghar'
meri me'raj-e-mohabbat meri ruswai hai
chehre to jhurriyoñ se bhare dil javān haiñ
din meñ haiñ shaiḳh raat meñ salmān-ḳhān haiñ
chehre to jhurriyon se bhare dil jawan hain
din mein hain shaiKH raat mein salman-KHan hain
aa.ī sadā-e-haq ki yahī band-o-bast haiñ
tere vatan ke log to murda-parast haiñ
aai sada-e-haq ki yahi band-o-bast hain
tere watan ke log to murda-parast hain
un ke gunāh kyā kaheñ kis kis ke sar ga.e
tum ko ḳhabar nahīñ ka.ī ustād mar ga.e
un ke gunah kya kahen kis kis ke sar gae
tum ko KHabar nahin kai ustad mar gae
ek qaidī sub.h ko phāñsī lagā kar mar gayā
raat bhar ġhazleñ sunā.īñ us ko thānedār ne
ek qaidi subh ko phansi laga kar mar gaya
raat bhar ghazlen sunain us ko thanedar ne
hamāre laal ko darkār hai vahī laḌkī
ki jis kā baap police meñ ho kam se kam deputy
hamare lal ko darkar hai wahi laDki
ki jis ka bap police mein ho kam se kam deputy
āḳhir ko maiñ ne charb-zabānī se haar kar
ye kah diyā ki Thiik hai kutte se pyaar kar
aaKHir ko main ne charb-zabani se haar kar
ye kah diya ki Thik hai kutte se pyar kar
aadmī shaitān se aage hai har har aib meñ
rahne ko achchhā makāñ hai aur jannat jeb meñ
aadmi shaitan se aage hai har har aib mein
rahne ko achchha makan hai aur jannat jeb mein
jānte haiñ dosto! jin kī nazar bārīk hai
bus ke darvāza se jannat kis qadar nazdīk hai
jaante hain dosto! jin ki nazar barik hai
bus ke darwaza se jannat kis qadar nazdik hai
vo hī maqām-e-'ġhālib'-o-'iqbāl' pā.eñge
moTī dumoñ ke sāmne jo dum hilā.eñge
wo hi maqam-e-'ghaalib'-o-'iqbaal' paenge
moTi dumon ke samne jo dum hilaenge
kahte the match dekhne vaale pukār ke
ustād jā rahe haiñ shab-e-ġham guzār ke
kahte the match dekhne wale pukar ke
ustad ja rahe hain shab-e-gham guzar ke
vo zabāñ jo hai 'firāq' o 'shād' o 'shañkar' kī zabāñ
us zabāñ kī kyuuñ musalmānī kiye dete haiñ aap
wo zaban jo hai 'firaq' o 'shad' o 'shankar' ki zaban
us zaban ki kyun musalmani kiye dete hain aap
jo the urūz-dāñ vo rivāyat meñ band the
be-bahra jo gad.he the taraqqī-pasand the
jo the uruz-dan wo riwayat mein band the
be-bahra jo gadhe the taraqqi-pasand the
mehñdī lage vo haath vo miinā sī uñgliyāñ
ham ko tabāh kar ga.iiñ dillī kī laḌkiyāñ
mehndi lage wo hath wo mina si ungliyan
hum ko tabah kar gain dilli ki laDkiyan
ab vo zamāna aa.egā mahvash kamā.eñge
aur mard ghar pe baiTh ke khānā pakā.eñge
ab wo zamana aaega mahwash kamaenge
aur mard ghar pe baiTh ke khana pakaenge
dīvāngī meñ chaak garebāñ kiye hue
lailā milegī baal pareshāñ kiye hue
diwangi mein chaak gareban kiye hue
laila milegi baal pareshan kiye hue
urdu adab meñ jo bhī hamārā maqām hai
ustād-e-mohtaram ke vo bheje kā kaam hai
urdu adab mein jo bhi hamara maqam hai
ustad-e-mohtaram ke wo bheje ka kaam hai
dekhe jo qais husn to lailā ko bhuul jaa.e
ham kyā haiñ rīsh-e-hazrat-maulānā jhuul jaa.e
dekhe jo qais husn to laila ko bhul jae
hum kya hain rish-e-hazrat-maulana jhul jae
kahne lagī ye maut ki kiije hameñ muaaf
allāh shā.eroñ ke hamesha se hai ḳhilāf
kahne lagi ye maut ki kije hamein muaf
allah shaeron ke hamesha se hai KHilaf
ustād kah rahe the chhurā dil pe chal gayā
dum par hamārī paañv vo rakh kar nikal gayā
ustad kah rahe the chhura dil pe chal gaya
dum par hamari panw wo rakh kar nikal gaya
puurī duniyā meñ hukūmat jo zanānī hotī
ālamī jañg jo hotī to zabānī hotī
puri duniya mein hukumat jo zanani hoti
aalami jang jo hoti to zabani hoti
maiñ ne kahā ki kutte ke khāne kā cake hai
bolā yahīñ pe khāoge yā le ke jāoge
main ne kaha ki kutte ke khane ka cake hai
bola yahin pe khaoge ya le ke jaoge
kahne lagī haiñ jab se ġhazal aurteñ janāb
murdoñ se guftugū kā ġhazal naam ho gayā
kahne lagi hain jab se ghazal aurten janab
murdon se guftugu ka ghazal nam ho gaya
ab aap hī batā.eñ vo kaise nibhā.egā
jis ko nasīb dum nahīñ vo kyā hilā.e gā
ab aap hi bataen wo kaise nibhaega
jis ko nasib dum nahin wo kya hilae ga
karvaToñ se bus kī bus meñ aur halchal ho ga.ī
dāstān-e-ishq kitnoñ kī mukammal ho ga.ī
karwaTon se bus ki bus mein aur halchal ho gai
dastan-e-ishq kitnon ki mukammal ho gai
mahñgā.ī ke zamāne meñ bachchoñ kī rel-pel
aisā na ho kamar tirī mahñgā.ī toḌ de
mahngai ke zamane mein bachchon ki rel-pel
aisa na ho kamar teri mahngai toD de
shab bhar maiñ torch Daal ke ye dekhtā rahā
bijlī kā balb jaltā hai yā hai bujhā huā
shab bhar main torch Dal ke ye dekhta raha
bijli ka balb jalta hai ya hai bujha hua
tajraba mujh ko huā hai dosto! is ḳhvāb se
mustaqil chaprāsī achchhā temporary job se
tajraba mujh ko hua hai dosto! is KHwab se
mustaqil chaprasi achchha temporary job se
mausam ko dekh-bhāl ke file baḌhā.e haiñ
daftar meñ laḌkiyāñ bhī to switer banā.e haiñ
mausam ko dekh-bhaal ke file baDhae hain
daftar mein laDkiyan bhi to switer banae hain
ishāra ho to maiñ ruḳh moḌ duuñ zamāne kā
banā duuñ tum ko manager yatīm-ḳhāne kā
ishaara ho to main ruKH moD dun zamane ka
bana dun tum ko manager yatim-KHane ka
aa.ī āvāz-e-ḳhudāvand diye dete haiñ
dāḳhila terā J.N.U meñ kiye dete haiñ
aai aawaz-e-KHudawand diye dete hain
daKHila tera JNU mein kiye dete hain
māyūs na huuñ āshiq mil jā.egī māshūqa
bas itnī sī zahmat hai mobile uThānā hai
mayus na hun aashiq mil jaegi mashuqa
bas itni si zahmat hai mobile uThana hai
kis se kahiye jhāñkiye apne garebāñ meñ zarā
jis ko kahte haiñ garebāñ vo to roshan-dān hai
kis se kahiye jhankiye apne gareban mein zara
jis ko kahte hain gareban wo to roshan-dan hai