Sher of Shafiq Jaunpuri
ishq kī ibtidā to jānte haiñ
ishq kī intihā nahīñ mālūm
ishq ki ibtida to jaante hain
ishq ki intiha nahin malum
tujhe ham dopahar kī dhuup meñ dekheñge ai ġhunche
abhī shabnam ke rone par hañsī ma.alūm hotī hai
tujhe hum dopahar ki dhup mein dekhenge ai ghunche
abhi shabnam ke rone par hansi malum hoti hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
fareb-e-raushnī meñ aane vaalo maiñ na kahtā thā
ki bijlī āshiyāne kī nigahbāñ ho nahīñ saktī
fareb-e-raushni mein aane walo main na kahta tha
ki bijli aashiyane ki nigahban ho nahin sakti
jalā vo sham.a ki āñdhī jise bujhā na sake
vo naqsh ban ki zamāna jise miTā na sake
jala wo shama ki aandhi jise bujha na sake
wo naqsh ban ki zamana jise miTa na sake
aa gayā thā ek din lab par jafāoñ kā gilā
aaj tak jab un se milte haiñ to sharmāte haiñ ham
aa gaya tha ek din lab par jafaon ka gila
aaj tak jab un se milte hain to sharmate hain hum