Sher on Aasman
Sky is earth’s umbrella,
a huge protection spread from end to end like earth itself. It is a visual treat but it is also symbolic of divinity and kindness. Sky, however, has also been used as a symbol of rage and wrath. Poets have used sky in multiple ways. Some examples are here to make this point.
yuuñ jo taktā hai āsmān ko tū
koī rahtā hai āsmān meñ kyā
yun jo takta hai aasman ko tu
koi rahta hai aasman mein kya
uqābī ruuh jab bedār hotī hai javānoñ meñ
nazar aatī hai un ko apnī manzil āsmānoñ meñ
uqabi ruh jab bedar hoti hai jawanon mein
nazar aati hai un ko apni manzil aasmanon mein
kabhī to āsmāñ se chāñd utre jaam ho jaa.e
tumhāre naam kī ik ḳhūb-sūrat shaam ho jaa.e
kabhi to aasman se chand utre jam ho jae
tumhaare nam ki ek KHub-surat sham ho jae
-
Tags : Chaandand 1 more
ai āsmān tere ḳhudā kā nahīñ hai ḳhauf
Darte haiñ ai zamīn tire aadmī se ham
O heavens I do not fear your God above you know
I am afraid O Earth, of your human beings below
ai aasman tere KHuda ka nahin hai KHauf
Darte hain ai zamin tere aadmi se hum
O heavens I do not fear your God above you know
I am afraid O Earth, of your human beings below
-
Tag : Insaan
zamīn jab bhī huī karbalā hamāre liye
to āsmān se utrā ḳhudā hamāre liye
zamin jab bhi hui karbala hamare liye
to aasman se utra KHuda hamare liye
-
Tag : Khuda
jitnī baTnī thī baT chukī ye zamīñ
ab to bas āsmān baaqī hai
jitni baTni thi baT chuki ye zamin
ab to bas aasman baqi hai
zarra samajh ke yuuñ na milā mujh ko ḳhaak meñ
ai āsmān maiñ bhī kabhī āftāb thā
zarra samajh ke yun na mila mujh ko KHak mein
ai aasman main bhi kabhi aaftab tha
āsmāñ apne irādoñ meñ magan hai lekin
aadmī apne ḳhayālāt liye phirtā hai
aasman apne iradon mein magan hai lekin
aadmi apne KHayalat liye phirta hai
ham kisī ko gavāh kyā karte
is khule āsmān ke aage
hum kisi ko gawah kya karte
is khule aasman ke aage
Dartā huuñ āsmān se bijlī na gir paḌe
sayyād kī nigāh sū-e-āshiyāñ nahīñ
Darta hun aasman se bijli na gir paDe
sayyaad ki nigah su-e-ashiyan nahin
rafāqatoñ kā mirī us ko dhyān kitnā thā
zamīn le lī magar āsmān chhoḌ gayā
rafaqaton ka meri us ko dhyan kitna tha
zamin le li magar aasman chhoD gaya
āsmān par jā pahuñchūñ
allāh terā naam likhūñ
aasman par ja pahunchun
allah tera nam likhun
-
Tag : Khuda
āsmāñ ek sulagtā huā sahrā hai jahāñ
DhūñDhtā phirtā hai ḳhud apnā hī saayā sūraj
aasman ek sulagta hua sahra hai jahan
DhunDhta phirta hai KHud apna hi saya suraj
-
Tag : Saya
zamīn kī kokh hī zaḳhmī nahīñ andheroñ se
hai āsmāñ ke bhī siine pe āftāb kā zaḳhm
zamin ki kokh hi zaKHmi nahin andheron se
hai aasman ke bhi sine pe aaftab ka zaKHm
vo so rahā hai ḳhudā duur āsmānoñ meñ
farishte loriyāñ gaate haiñ us ke kānoñ meñ
wo so raha hai KHuda dur aasmanon mein
farishte loriyan gate hain us ke kanon mein
-
Tag : Khuda
'zafar' zamīñ-zād the zamīñ se hī kaam rakkhā
jo āsmānī the āsmānoñ meñ rah ga.e haiñ
'zafar' zamin-zad the zamin se hi kaam rakkha
jo aasmani the aasmanon mein rah gae hain
agar hai insān kā muqaddar ḳhud apnī miTTī kā rizq honā
to phir zamīñ par ye āsmāñ kā vajūd kis qahr ke liye hai
agar hai insan ka muqaddar KHud apni miTTi ka rizq hona
to phir zamin par ye aasman ka wajud kis qahr ke liye hai
-
Tag : Wajood
giregī kal bhī yahī dhuup aur yahī shabnam
is āsmāñ se nahīñ aur kuchh utarne kā
giregi kal bhi yahi dhup aur yahi shabnam
is aasman se nahin aur kuchh utarne ka
badle hue se lagte haiñ ab mausamoñ ke rañg
paḌtā hai āsmān kā saayā zamīn par
badle hue se lagte hain ab mausamon ke rang
paDta hai aasman ka saya zamin par
rut badlī to zamīñ ke chehre kā ġhāza bhī badlā
rañg magar ḳhud āsmān ne badle kaise kaise
rut badli to zamin ke chehre ka ghaza bhi badla
rang magar KHud aasman ne badle kaise kaise
hazār rāste badle hazār svāñg rache
magar hai raqs meñ sar par ik āsmān vahī
hazar raste badle hazar swang rache
magar hai raqs mein sar par ek aasman wahi
taras rahī thiiñ ye āñkheñ kisī kī sūrat ko
so ham bhī dasht meñ āb-e-ravāñ uThā laa.e
taras rahi thin ye aankhen kisi ki surat ko
so hum bhi dasht mein aab-e-rawan uTha lae
-
Tag : Eyes
mirī zamīn pe phailā hai āsmān-e-adam
azal se mere zamāne pe ik zamāna hai
meri zamin pe phaila hai aasman-e-adam
azal se mere zamane pe ek zamana hai
-
Tag : Azal
uTThī haiñ merī ḳhaak se āfāt sab kī sab
nāzil huī na koī balā āsmān se
uTThi hain meri KHak se aafat sab ki sab
nazil hui na koi bala aasman se