Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Sher on Birthday

Birthday is a day that

most of us like to celebrate. This day comes once in a year and brings many memories, opens up many future prospects, and also brings us closer to death with each passing year. There are many more aspects of this day with which we are not so well acquainted. Some of the verses open up those aspects for you.

maañ duā na baap shafqat saayā hai

aaj apne saath apnā janam din manāyā hai

man ki dua na bap ki shafqat ka saya hai

aaj apne sath apna janam din manaya hai

Anjum Saleemi

tum salāmat raho hazār baras

har baras ke hoñ din pachās hazār

tum salamat raho hazar baras

har baras ke hon din pachas hazar

Mirza Ghalib

kuchh ḳhushiyāñ kuchh aañsū de kar Taal gayā

jīvan ik aur sunahrā saal gayā

kuchh KHushiyan kuchh aansu de kar Tal gaya

jiwan ka ek aur sunahra sal gaya

Unknown

ye to ik rasm-e-jahāñ hai jo adā hotī hai

varna sūraj kahāñ sālgirah hotī hai

ye to ek rasm-e-jahan hai jo ada hoti hai

warna suraj ki kahan salgirah hoti hai

Unknown

hasīn chehre tābindagī mubārak ho

tujhe ye sāl-girah ḳhushī mubārak ho

hasin chehre ki tabindagi mubarak ho

tujhe ye sal-girah ki KHushi mubarak ho

Unknown

yahī vo din the jab ik dūsre ko paayā thā

hamārī sāl-girah Thiik ab ke maah meñ hai

yahi wo din the jab ek dusre ko paya tha

hamari sal-girah Thik ab ke mah mein hai

Parveen Shakir

maiñ takiye par sitāre bo rahā huuñ

janam-din hai akelā ro rahā huuñ

main takiye par sitare bo raha hun

janam-din hai akela ro raha hun

Aitbar Sajid

hamārā zinda rahnā aur marnā ek jaisā hai

ham apne yaum-e-paidā.ish ko bhī barsī samajhte haiñ

hamara zinda rahna aur marna ek jaisa hai

hum apne yaum-e-paidaish ko bhi barsi samajhte hain

Farhat Ehsas

ḳhudā kare na Dhale dhuup tere chehre

tamām umr tirī zindagī shaam na ho

KHuda kare na Dhale dhup tere chehre ki

tamam umr teri zindagi ki sham na ho

Unknown

ye be-ḳhudī ye laboñ hañsī mubārak ho

tumheñ ye sālgirah ḳhushī mubārak ho

ye be-KHudi ye labon ki hansi mubarak ho

tumhein ye salgirah ki KHushi mubarak ho

Unknown

tum salāmat raho qayāmat tak

aur qayāmat kabhī na aa.e 'shād'

tum salamat raho qayamat tak

aur qayamat kabhi na aae 'shad'

Shaad Aarfi

ek baras aur biit gayā

kab tak ḳhaak uḌānī hai

ek baras aur bit gaya

kab tak KHak uDani hai

Vikas Sharma Raaz

sālgirah par kitnī nek tamannā.eñ mausūl huiiñ

lekin in meñ ek mubārakbād abhī tak baaqī hai

salgirah par kitni nek tamannaen mausul huin

lekin in mein ek mubarakbaad abhi tak baqi hai

Ahmad Shahryar

ḳhudā kare ki ye din baar baar aatā rahe

aur apne saath ḳhushī ḳhazāna laatā rahe

KHuda kare ki ye din bar bar aata rahe

aur apne sath KHushi ka KHazana lata rahe

Unknown

zindagī bhar ye āsmāñ tujh ko

kisī aafat meñ mubtalā na kare

zindagi bhar ye aasman tujh ko

kisi aafat mein mubtala na kare

Unknown

hamārī zindagī par maut bhī hairān hai 'ġhā.er'

na jaane kis ne ye tārīḳh-e-paidā.ish nikālī hai

hamari zindagi par maut bhi hairan hai 'ghaer'

na jaane kis ne ye tariKH-e-paidaish nikali hai

Kashif Husain Ghair

ḳhizāñ rut hai janam-din hai aur dhuāñ aur phuul

havā bikher ga.ī mom-battiyāñ aur phuul

KHizan ki rut hai janam-din hai aur dhuan aur phul

hawa bikher gai mom-battiyan aur phul

Sabir Zafar

ghirā huā huuñ janam-din se is ta.āqub meñ

zamīn aage hai aur āsmāñ mire pīchhe

ghira hua hun janam-din se is taaqub mein

zamin aage hai aur aasman mere pichhe

Mohammad Izhar ul Haq

jā.egī gulshan talak us gul aamad ḳhabar

aa.egī bulbul mire ghar meñ mubārakbād ko

jaegi gulshan talak us gul ki aamad ki KHabar

aaegi bulbul mere ghar mein mubarakbaad ko

Sakhi Lakhnvi

hamārī zindagī par maut bhī hairān hai ġhā.er

na jaane kis ne ye tārīḳh-e-paidā.ish nikālī hai

hamari zindagi par maut bhi hairan hai ghaer

na jaane kis ne ye tariKH-e-paidaish nikali hai

Kashif Husain Ghair

kyā isī bhuul ko kahte haiñ mohabbat zavāl

ab mujhe yaad nahīñ sālgirah bhī terī

kya isi bhul ko kahte hain mohabbat ka zawal

ab mujhe yaad nahin salgirah bhi teri

Ahmad Faraz

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now