Sher on Haalaat
Circumstances make or
unmake us. We are subjected to them in our day-to-day lives. As human nature goes, we do not remember good circumstances that make us but mostly the bad circumstances that unmake us. We have made a selection here of verses that broadly consider bad circumstances which, somehow, add some meaning to our lives.
sub.h hote hī nikal aate haiñ bāzār meñ log
gaThriyāñ sar pe uThā.e hue īmanoñ kī
subh hote hi nikal aate hain bazar mein log
gaThriyan sar pe uThae hue imanon ki
-
Tag : Mechanical Life
mansūb charāġhoñ se taraf-dār havā ke
tum log munāfiq ho munāfiq bhī balā ke
mansub charaghon se taraf-dar hawa ke
tum log munafiq ho munafiq bhi bala ke
mire hālāt ko bas yuuñ samajh lo
parinde par shajar rakkhā huā hai
mere haalat ko bas yun samajh lo
parinde par shajar rakkha hua hai
jam.a kartī hai mujhe raat bahut mushkil se
sub.h ko ghar se nikalte hī bikharne ke liye
jama karti hai mujhe raat bahut mushkil se
subh ko ghar se nikalte hi bikharne ke liye
-
Tag : Tanhai
mujh se ziyāda kaun tamāsha dekh sakegā
gāñdhī-jī ke tīnoñ bandar mere andar
mujh se ziyaada kaun tamasha dekh sakega
gandhi-ji ke tinon bandar mere andar
kaise mānūñ ki zamāne kī ḳhabar rakhtī hai
gardish-e-vaqt to bas mujh pe nazar rakhtī hai
kaise manun ki zamane ki KHabar rakhti hai
gardish-e-waqt to bas mujh pe nazar rakhti hai
-
Tag : Waqt
ye dhuup to har ruḳh se pareshān karegī
kyuuñ DhūñD rahe ho kisī dīvār kā saaya
ye dhup to har ruKH se pareshan karegi
kyun DhunD rahe ho kisi diwar ka saya
hālāt se ḳhauf khā rahā huuñ
shīshe ke mahal banā rahā huuñ
haalat se KHauf kha raha hun
shishe ke mahal bana raha hun
dekho to har baġhal meñ hai daftar dabā huā
aḳhbār meñ jo chhāpnā chāho ḳhabar nahīñ
dekho to har baghal mein hai daftar daba hua
aKHbar mein jo chhapna chaho KHabar nahin
-
Tag : aKHbaar
bachchoñ ke saath aaj use dekhā to dukh huā
un meñ se koī ek bhī maañ par nahīñ gayā
bachchon ke sath aaj use dekha to dukh hua
un mein se koi ek bhi man par nahin gaya
an-ginat ḳhūnī masā.il kī havā aisī chalī
ranj-o-ġham kī gard meñ lipTā har ik chehra milā
an-ginat KHuni masail ki hawa aisi chali
ranj-o-gham ki gard mein lipTa har ek chehra mila
pareshānī agar hai to pareshānī kā hal bhī hai
pareshāñ-hāl rahne se pareshānī nahīñ jaatī
pareshani agar hai to pareshani ka hal bhi hai
pareshan-haal rahne se pareshani nahin jati
agar badal na diyā aadmī ne duniyā ko
to jaan lo ki yahāñ aadmī kī ḳhair nahīñ
agar badal na diya aadmi ne duniya ko
to jaan lo ki yahan aadmi ki KHair nahin