mujh se qafas kā darvāza kyā TūTegā
paañv paḌī zanjīr meñ khoī rahtī huuñ
mujh se qafas ka darwaza kya TuTega
panw paDi zanjir mein khoi rahti hun
-
Tag : Qaid
sar ko qafas pe rakkhe sayyād kah rahā hai
bulbul kī jaan niklā ujḌā sā āshiyāna
sar ko qafas pe rakkhe sayyaad kah raha hai
bulbul ki jaan nikla ujDa sa aashiyana
-
Tag : Sayyad
qafas kī chār-dīvārī meñ ab maiñ mutma.in huuñ
havādis sāhib-e-aulād bhī ho jaa.eñ to kyā
qafas ki chaar-diwari mein ab main mutmain hun
hawadis sahib-e-aulad bhi ho jaen to kya