Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Amjad Islam Amjad's Photo'

Amjad Islam Amjad

1944 - 2023 | Lahore, Pakistan

Pakistani poet famous for TV Serials written by him.

Pakistani poet famous for TV Serials written by him.

TOP 20 SHAYARI of Amjad Islam Amjad

jis taraf hai udhar hoñgī sabhī nazreñ

iid ke chāñd dīdār bahāna sahī

jis taraf tu hai udhar hongi sabhi ki nazren

id ke chand ka didar bahana hi sahi

baḌe sukūn se Duube the Dūbne vaale

jo sāhiloñ pe khaḌe the bahut pukāre bhī

baDe sukun se Dube the Dubne wale

jo sahilon pe khaDe the bahut pukare bhi

chehre pe mire zulf ko phailāo kisī din

kyā roz garajte ho baras jaao kisī din

chehre pe mere zulf ko phailao kisi din

kya roz garajte ho baras jao kisi din

likhā thā ek taḳhtī par koī bhī phuul mat toḌe magar āñdhī to an-paḌh thī

so jab vo baaġh se guzrī koī ukhḌā koī TuuTā ḳhizāñ ke āḳhirī din the

likha tha ek taKHti par koi bhi phul mat toDe magar aandhi to an-paDh thi

so jab wo bagh se guzri koi ukhDa koi TuTa KHizan ke aaKHiri din the

jaise bārish se dhule sehn-e-gulistāñ 'amjad'

aañkh jab ḳhushk huī aur bhī chehrā chamkā

jaise barish se dhule sehn-e-gulistan 'amjad'

aankh jab KHushk hui aur bhi chehra chamka

kyā ho jaatā hai in hañste jiite jāgte logoñ ko

baiThe baiThe kyuuñ ye ḳhud se bāteñ karne lagte haiñ

kya ho jata hai in hanste jite jagte logon ko

baiThe baiThe kyun ye KHud se baaten karne lagte hain

kis qadar yādeñ ubhar aa.ī haiñ tere naam se

ek patthar pheñkne se paḌ ga.e kitne bhañvar

kis qadar yaaden ubhar aai hain tere nam se

ek patthar phenkne se paD gae kitne bhanwar

har samundar ek sāhil hai

hijr raat kinārā nahīñ

har samundar ka ek sahil hai

hijr ki raat ka kinara nahin

guzreñ jo mere ghar se to ruk jaa.eñ sitāre

is tarah mirī raat ko chamkāo kisī din

guzren jo mere ghar se to ruk jaen sitare

is tarah meri raat ko chamkao kisi din

be-samar peḌoñ ko chūmeñge sabā ke sabz lab

dekh lenā ye ḳhizāñ be-dast-o-pā rah jā.egī

be-samar peDon ko chumenge saba ke sabz lab

dekh lena ye KHizan be-dast-o-pa rah jaegi

ek nazar dekhā thā us ne aage yaad nahīñ

khul jaatī hai dariyā auqāt samundar meñ

ek nazar dekha tha us ne aage yaad nahin

khul jati hai dariya ki auqat samundar mein

hādisa bhī hone meñ vaqt kuchh to letā hai

baḳht ke bigaḌne meñ der kuchh to lagtī hai

hadisa bhi hone mein waqt kuchh to leta hai

baKHt ke bigaDne mein der kuchh to lagti hai

kamāl-e-husn hai husn-e-kamāl se bāhar

azal rañg hai jaise misāl se bāhar

kamal-e-husn hai husn-e-kamal se bahar

azal ka rang hai jaise misal se bahar

kuchh aisī be-yaqīnī thī fazā meñ

jo apne the vo begāne lage haiñ

kuchh aisi be-yaqini thi faza mein

jo apne the wo begane lage hain

yuuñ to har raat chamakte haiñ sitāre lekin

vasl raat bahut sub.h taarā chamkā

yun to har raat chamakte hain sitare lekin

wasl ki raat bahut subh ka tara chamka

fazā meñ tairte rahte haiñ naqsh se kyā kyā

mujhe talāsh na kartī hoñ ye balā.eñ kahīñ

faza mein tairte rahte hain naqsh se kya kya

mujhe talash na karti hon ye balaen kahin

aañkh bhī apnī sarāb-ālūd hai

aur is dariyā meñ paanī bhī nahīñ

aankh bhi apni sarab-alud hai

aur is dariya mein pani bhi nahin

ye jo saa.e se bhaTakte haiñ hamāre ird-gird

chhū ke un ko dekhiye to vāhima koī nahīñ

ye jo sae se bhaTakte hain hamare ird-gird

chhu ke un ko dekhiye to wahima koi nahin

dard rasta hai hai sā.at-e-roz-e-hisāb

saikaḌoñ logoñ ko rokā ek bhī Thahrā nahīñ

dard ka rasta hai ya hai saat-e-roz-e-hisab

saikaDon logon ko roka ek bhi Thahra nahin

na us ant hai koī na isti.āra hai

ye dāstān hai hijr-o-visāl se bāhar

na us ka ant hai koi na istiara hai

ye dastan hai hijr-o-visal se bahar

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now