aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
zindagī zinda-dilī kā hai naam
murda-dil ḳhaak jiyā karte haiñ
zindagi zinda-dili ka hai nam
murda-dil KHak jiya karte hain
shaam Dhalne se faqat shaam nahīñ Dhaltī hai
umr Dhal jaatī hai jaldī palaT aanā mire dost
sham Dhalne se faqat sham nahin Dhalti hai
umr Dhal jati hai jaldi palaT aana mere dost
thī vasl meñ bhī fikr-e-judā.ī tamām shab
vo aa.e to bhī niiñd na aa.ī tamām shab
thi wasl mein bhi fikr-e-judai tamam shab
wo aae to bhi nind na aai tamam shab
mohabbat karne vaale kam na hoñge
tirī mahfil meñ lekin ham na hoñge
those that love you will not shrink
But I will be gone I think
mohabbat karne wale kam na honge
teri mahfil mein lekin hum na honge
dāġh-e-dil shab ko jo bantā hai charāġh-e-dahlīz
raushnī ghar meñ mire rahtī hai andar bāhar
dagh-e-dil shab ko jo banta hai charagh-e-dahliz
raushni ghar mein mere rahti hai andar bahar
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books