aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
ab udaas phirte ho sardiyoñ kī shāmoñ meñ
is tarah to hotā hai is tarah ke kāmoñ meñ
ab udas phirte ho sardiyon ki shamon mein
is tarah to hota hai is tarah ke kaamon mein
jab chalī ThanDī havā bachcha ThiThur kar rah gayā
maañ ne apne la.al kī taḳhtī jalā dī raat ko
jab chali ThanDi hawa bachcha ThiThur kar rah gaya
man ne apne lal ki taKHti jala di raat ko
jise kahte ho tum ik qatra-e-ashk
mire dil kī mukammal dāstāñ hai
jise kahte ho tum ek qatra-e-ashk
mere dil ki mukammal dastan hai
is safar meñ niiñd aisī kho ga.ī
ham na so.e raat thak kar so ga.ī
is safar mein nind aisi kho gai
hum na soe raat thak kar so gai
zindagī kyā hai anāsir meñ zuhūr-e-tartīb
maut kyā hai inhīñ ajzā kā pareshāñ honā
zindagi kya hai anasir mein zuhur-e-tartib
maut kya hai inhin ajza ka pareshan hona
Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books