Sher on Sardi
Winter is a season rather
special to lovers. It also helps us enjoy the rays of the sun as well as the blazing embers in the fireplace. In such a season, the lovers in separation crave for each other. Urdu poets have represented this season both in physical and metaphorical terms. You may like to read the verses here and enjoy the various states of winter and how it impacts us.
kuchh to havā bhī sard thī kuchh thā tirā ḳhayāl bhī
dil ko ḳhushī ke saath saath hotā rahā malāl bhī
kuchh to hawa bhi sard thi kuchh tha tera KHayal bhi
dil ko KHushi ke sath sath hota raha malal bhi
-
Tags : Diland 3 more
ye sard raat ye āvārgī ye niiñd kā bojh
ham apne shahr meñ hote to ghar ga.e hote
ye sard raat ye aawargi ye nind ka bojh
hum apne shahr mein hote to ghar gae hote
-
Tags : Bekasiand 2 more
ab udaas phirte ho sardiyoñ kī shāmoñ meñ
is tarah to hotā hai is tarah ke kāmoñ meñ
ab udas phirte ho sardiyon ki shamon mein
is tarah to hota hai is tarah ke kaamon mein
-
Tags : Shaamand 1 more
december kī sardī hai us ke hī jaisī
zarā sā jo chhū le badan kāñptā hai
december ki sardi hai us ke hi jaisi
zara sa jo chhu le badan kanpta hai
sardī meñ din sard milā
har mausam bedard milā
sardi mein din sard mila
har mausam bedard mila
-
Tag : Mausam
garmī lagī to ḳhud se alag ho ke so ga.e
sardī lagī to ḳhud ko dobāra pahan liyā
garmi lagi to KHud se alag ho ke so gae
sardi lagi to KHud ko dobara pahan liya
-
Tag : Garmi
vo gale se lipaT ke sote haiñ
āj-kal garmiyāñ haiñ jāḌoñ meñ
wo gale se lipaT ke sote hain
aaj-kal garmiyan hain jaDon mein
-
Tag : Visaal
mire sūraj aa! mire jism pe apnā saaya kar
baḌī tez havā hai sardī aaj ġhazab kī hai
mere suraj aa! mere jism pe apna saya kar
baDi tez hawa hai sardi aaj ghazab ki hai
-
Tag : Hawa
jab chalī ThanDī havā bachcha ThiThur kar rah gayā
maañ ne apne la.al kī taḳhtī jalā dī raat ko
jab chali ThanDi hawa bachcha ThiThur kar rah gaya
man ne apne lal ki taKHti jala di raat ko
-
Tags : Motherand 1 more
tum to sardī kī hasīñ dhuup kā chehra ho jise
dekhte rahte haiñ dīvār se jaate hue ham
tum to sardi ki hasin dhup ka chehra ho jise
dekhte rahte hain diwar se jate hue hum
raat bechain sī sardī meñ ThiThurtī hai bahut
din bhī har roz sulagtā hai tirī yādoñ se
raat bechain si sardi mein ThiThurti hai bahut
din bhi har roz sulagta hai teri yaadon se
yādoñ kī shaal oḌh ke āvāra-gardiyāñ
kaaTī haiñ ham ne yuuñ bhī december kī sardiyāñ
yaadon ki shaal oDh ke aawara-gardiyan
kaTi hain hum ne yun bhi december ki sardiyan
sardī aur garmī ke uzr nahīñ chalte
mausam dekh ke sāhab ishq nahīñ hotā
sardi aur garmi ke uzr nahin chalte
mausam dekh ke sahab ishq nahin hota
vo sardiyoñ kī dhuup kī tarah ġhurūb ho gayā
lipaT rahī hai yaad jism se lihāf kī tarah
wo sardiyon ki dhup ki tarah ghurub ho gaya
lipaT rahi hai yaad jism se lihaf ki tarah
-
Tags : Dhoopand 1 more
ab kī sardī meñ kahāñ hai vo alaav siina
ab kī sardī meñ mujhe ḳhud ko jalānā hogā
ab ki sardi mein kahan hai wo alaw sina
ab ki sardi mein mujhe KHud ko jalana hoga
saḳht sardī meñ ThiThurtī hai bahut ruuh mirī
jism-e-yār aa ki bechārī ko sahārā mil jaa.e
saKHt sardi mein ThiThurti hai bahut ruh meri
jism-e-yar aa ki bechaari ko sahaara mil jae
sūraj lihāf oḌh ke soyā tamām raat
sardī se ik parinda darīche meñ mar gayā
suraj lihaf oDh ke soya tamam raat
sardi se ek parinda dariche mein mar gaya
thoḌī sardī zarā sā nazla hai
shā.erī kā mizāj patlā hai
thoDi sardi zara sa nazla hai
shaeri ka mizaj patla hai
tez dhuup meñ aa.ī aisī lahar sardī kī
mom kā har ik putlā bach gayā pighalne se
tez dhup mein aai aisi lahar sardi ki
mom ka har ek putla bach gaya pighalne se
ik barf sī jamī rahe dīvār-o-bām par
ik aag mere kamre ke andar lagī rahe
ek barf si jami rahe diwar-o-baam par
ek aag mere kamre ke andar lagi rahe
katrāte haiñ bal khāte haiñ ghabrāte haiñ kyuuñ log
sardī hai to paanī meñ utar kyuuñ nahīñ jaate
katraate hain bal khate hain ghabraate hain kyun log
sardi hai to pani mein utar kyun nahin jate
itnī sardī hai ki maiñ bāñhoñ kī harārat māñgūñ
rut ye mauzūñ hai kahāñ ghar se nikalne ke liye
itni sardi hai ki main banhon ki hararat mangun
rut ye mauzun hai kahan ghar se nikalne ke liye
'alvī' ye mo.ajiza hai december kī dhuup kā
saare makān shahr ke dho.e hue se haiñ
'alwi' ye moajiza hai december ki dhup ka
sare makan shahr ke dhoe hue se hain
-
Tag : Dhoop
sardī hai ki is jism se phir bhī nahīñ jaatī
sūraj hai ki muddat se mire sar par khaḌā hai
sardi hai ki is jism se phir bhi nahin jati
suraj hai ki muddat se mere sar par khaDa hai
sard jhoñkoñ se bhaḌakte haiñ badan meñ sho.ale
jaan le legī ye barsāt qarīb aa jaao
sard jhonkon se bhaDakte hain badan mein shoale
jaan le legi ye barsat qarib aa jao
-
Tag : Visaal
vo aag bujhī to hameñ mausam ne jhiñjhoḌā
varna yahī lagtā thā ki sardī nahīñ aa.ī
wo aag bujhi to hamein mausam ne jhinjhoDa
warna yahi lagta tha ki sardi nahin aai
baiThe baiThe pheñk diyā hai ātish-dān meñ kyā kyā kuchh
mausam itnā sard nahīñ thā jitnī aag jalā lī hai
baiThe baiThe phenk diya hai aatish-dan mein kya kya kuchh
mausam itna sard nahin tha jitni aag jala li hai
-
Tag : Mausam
aisī sardī meñ shart chādar hai
oḌhne kī ho yā bichhaune kī
aisi sardi mein shart chadar hai
oDhne ki ho ya bichhaune ki
sard rātoñ kā taqāza thā badan jal jaa.e
phir vo ik aag jo siine se lagā.ī maiñ ne
sard raaton ka taqaza tha badan jal jae
phir wo ek aag jo sine se lagai main ne
pairoñ se Takrāte haiñ jab jhoñke sard havāoñ ke
haath larazne lag jaate haiñ chamḌe ke dastānoñ meñ
pairon se Takraate hain jab jhonke sard hawaon ke
hath larazne lag jate hain chamDe ke dastanon mein