Sher of Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
namāz apnī agarche kabhī qazā na huī
adā kisī kī jo dekhī to phir adā na huī
namaz apni agarche kabhi qaza na hui
ada kisi ki jo dekhi to phir ada na hui
gale se lagte hī jitne gile the bhuul ga.e
vagarna yaad thiiñ ham ko shikāyateñ kyā kyā
gale se lagte hi jitne gile the bhul gae
wagarna yaad thin hum ko shikayaten kya kya
aag is dil-lagī ko lag jaa.e
dil-lagī aag phir lagāne lagī
aag is dil-lagi ko lag jae
dil-lagi aag phir lagane lagi
ba-vaqt-e-bosa-e-lab kaash ye dil kāmrāñ hotā
zabāñ us bad-zabāñ kī muñh meñ aur maiñ zabāñ hotā
ba-waqt-e-bosa-e-lab kash ye dil kaamran hota
zaban us bad-zaban ki munh mein aur main zaban hota
yaarā hai kahāñ itnā ki us yaar ko yaaro
maiñ ye kahūñ ai yaar hai tū yaar hamārā
yara hai kahan itna ki us yar ko yaro
main ye kahun ai yar hai tu yar hamara
dil-rubā tujh sā jo dil lene meñ ayyārī kare
phir koī dillī meñ kyā dil kī ḳhabardārī kare
dil-ruba tujh sa jo dil lene mein ayyari kare
phir koi dilli mein kya dil ki KHabardari kare
yaad to haq kī tujhe yaad hai par yaad rahe
yaar dushvār hai vo yaad jo hai yaad kā haq
yaad to haq ki tujhe yaad hai par yaad rahe
yar dushwar hai wo yaad jo hai yaad ka haq
kaun saanī shahr meñ is mere mah-pāre kā hai
chāñd sī sūrat dupaTTa sar pe yak-tāre kā hai
kaun sani shahr mein is mere mah-pare ka hai
chand si surat dupaTTa sar pe yak-tare ka hai
dil meñ tum ho na jalāo mire dil ko dekho
merā nuqsān nahīñ apnā ziyāñ kījiyegā
dil mein tum ho na jalao mere dil ko dekho
mera nuqsan nahin apna ziyan kijiyega
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kis ko us kā ġham ho jis dam ġham se vo zaarī kare
haañ magar terā hī ġham āshiq kī ġham-ḳhvārī kare
kis ko us ka gham ho jis dam gham se wo zari kare
han magar tera hi gham aashiq ki gham-KHwari kare
chashm-e-mast us kī yaad aane lagī
phir zabāñ merī laḌkhaḌāne lagī
chashm-e-mast us ki yaad aane lagi
phir zaban meri laDkhaDane lagi
jāñ-kanī pesha ho jis kā vo lahak hai terā
tujh pe shīrīñ hai na 'ḳhusrav' kā na farhād kā haq
jaan-kani pesha ho jis ka wo lahak hai tera
tujh pe shirin hai na 'KHusraw' ka na farhad ka haq
shab piye vo sharāb niklā hai
raat ko āftāb niklā hai
shab piye wo sharab nikla hai
raat ko aaftab nikla hai
ek bose se murād-e-dil-e-nāshād to do
kuchh na do haath se par muñh se mirī daad to do
ek bose se murad-e-dil-e-nashad to do
kuchh na do hath se par munh se meri dad to do
kuchh tumheñ tars-e-ḳhudā bhī hai ḳhudā kī vāste
le chalo mujh ko musalmāno usī kāfir ke paas
kuchh tumhein tars-e-KHuda bhi hai KHuda ki waste
le chalo mujh ko musalmano usi kafir ke pas
kyuuñ na ruk ruk ke aa.e dam merā
tujh ko dekhā rukā rukā maiñ ne
kyun na ruk ruk ke aae dam mera
tujh ko dekha ruka ruka main ne
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jo pūchhā maiñ ne dil zulfoñ meñ juuḌe meñ kahāñ bāñdhā
kahā jab chor thā apnā jahāñ bāñdhā vahāñ bāñdhā
jo puchha main ne dil zulfon mein juDe mein kahan bandha
kaha jab chor tha apna jahan bandha wahan bandha
bahut se ḳhūn-ḳharābe macheñge ḳhāna-ḳharāb
yahī hai rañg agar tere paan khāne kā
bahut se KHun-KHarabe machenge KHana-KHarab
yahi hai rang agar tere pan khane ka
-
Tag : Paan
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
gar hai duniyā kī talab zāhid-e-makkār se mil
diiñ hai matlūb to is tālib-e-dīdār se mil
gar hai duniya ki talab zahid-e-makkar se mil
din hai matlub to is talib-e-didar se mil
maze kī baat to ye hai ki be-mazā hai vo dil
tumhārī be-mazagī kā jise maza nā lage
maze ki baat to ye hai ki be-maza hai wo dil
tumhaari be-mazagi ka jise maza na lage
chain is dil ko na ik aan tire bin aayā
din gayā raat huī raat huī din aayā
chain is dil ko na ek aan tere bin aaya
din gaya raat hui raat hui din aaya
kyuuñ tū rotā hai dilā aane de roz-e-vasl ko
is qadar chheḌūñgā un ko vo bhī ro kar jā.eñge
kyun tu rota hai dila aane de roz-e-wasl ko
is qadar chheDunga un ko wo bhi ro kar jaenge
Dar apne piir se bī piir piir piir na kar
ki tere piir ke va.ade ne mujh ko piir kiyā
Dar apne pir se bi pir pir pir na kar
ki tere pir ke wade ne mujh ko pir kiya
itvār ko aanā tirā mālūm ki ik umr
be-pīr tire ham ne hī atvār ko dekhā
itwar ko aana tera malum ki ek umr
be-pir tere hum ne hi atwar ko dekha
kyūñkar na mai piyūñ maiñ qur.āñ ko dekh zāhid
vahāñ vashrabū hai aayā lā-tashrabū na aayā
kyunkar na mai piyun main quran ko dekh zahid
wahan washrabu hai aaya la-tashrabu na aaya
palkoñ se gire hai ashk Tap Tap
paT se vo lagā huā khaḌā hai
palkon se gire hai ashk Tap Tap
paT se wo laga hua khaDa hai
āñkheñ mirī phūTeñ tirī āñkhoñ ke baġhair aah
gar maiñ ne kabhī nargis-e-bīmār ko dekhā
aankhen meri phuTen teri aankhon ke baghair aah
gar main ne kabhi nargis-e-bimar ko dekha
agar baiThā hī nāseh muñh ko sī baiTh
vagarna yaañ se uTh ai be-hayā jā
agar baiTha hi naseh munh ko si baiTh
wagarna yan se uTh ai be-haya ja
tanḳhvāh ek bosa hai tis par ye hujjateñ
hai nā-dahind aap kī sarkār be-tarah
tanKHwah ek bosa hai tis par ye hujjaten
hai na-dahind aap ki sarkar be-tarah
na paayā gaah qaabū aah maiñ ne haath jab Daalā
nikālā bair mujh se jab tire pistāñ kā muñh kaalā
na paya gah qabu aah main ne hath jab Dala
nikala bair mujh se jab tere pistan ka munh kala
nasīb us ke sharāb-e-bahisht hove mudām
huā hai jo koī mūjid sharāb-ḳhāne kā
nasib us ke sharab-e-bahisht howe mudam
hua hai jo koi mujid sharab-KHane ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
garebāñ chaak hai hāthoñ meñ zālim terā dāmāñ hai
ki is dāman talak hī manzil-e-chāk-e-garebāñ hai
gareban chaak hai hathon mein zalim tera daman hai
ki is daman talak hi manzil-e-chaak-e-gareban hai
apnī nā-fahmī se maiñ aur na kuchh kar baiThūñ
is tarah se tumheñ jaa.ez nahīñ e.ajāz se ramz
apni na-fahmi se main aur na kuchh kar baiThun
is tarah se tumhein jaez nahin eajaz se ramz
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mai-kade meñ ishq ke kuchh sarsarī jaanā nahīñ
kāsa-e-sar ko yahāñ gardish hai paimāne kī tarah
mai-kade mein ishq ke kuchh sarsari jaana nahin
kasa-e-sar ko yahan gardish hai paimane ki tarah
mirī bāt-chīt us se 'ehsāñ' kahāñ hai
na us kā dahāñ hai na merī zabāñ hai
meri baat-chit us se 'ehsan' kahan hai
na us ka dahan hai na meri zaban hai
anār-e-ḳhuld ko tū rakh ki maiñ pasand nahīñ
kucheñ vo yaar kī rashk-e-anār ai vaa.iz
anar-e-KHuld ko tu rakh ki main pasand nahin
kuchen wo yar ki rashk-e-anar ai waiz
vo aag lagī paan chabā.e se kasū kī
ab tak nahīñ bujhtī hai bujhā.e se kasū kī
wo aag lagi pan chabae se kasu ki
ab tak nahin bujhti hai bujhae se kasu ki
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ulfat meñ terā ronā 'ehsāñ' bahut bajā hai
har vaqt meñh kā honā ye rahmat-e-ḳhudā hai
ulfat mein tera rona 'ehsan' bahut baja hai
har waqt meinh ka hona ye rahmat-e-KHuda hai
filfil-e-ḳhāl-e-malāhat ke tasavvur meñ tire
charcharāhaT hai kabāb-e-dil-e-biryān meñ kyā
filfil-e-KHal-e-malahat ke tasawwur mein tere
charcharahaT hai kabab-e-dil-e-biryan mein kya
na merī baat ko pūchhe hai na dekhe hai idhar
ek din ye na kiyā āshiq-e-bīmār ki tū
na meri baat ko puchhe hai na dekhe hai idhar
ek din ye na kiya aashiq-e-bimar ki tu
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tirī aan pe ġhash huuñ har aan zālim
tū ik aan lekin na yaañ aan niklā
teri aan pe ghash hun har aan zalim
tu ek aan lekin na yan aan nikla
ḳhaak āb-e-girya se ātish bujhe nā-chār ham
jānib-e-kū-e-butāñ juuñ bād-e-sarsar jā.eñge
KHak aab-e-girya se aatish bujhe na-chaar hum
jaanib-e-ku-e-butan jun baad-e-sarsar jaenge
mohtasib bhī pī ke mai loTe hai maiḳhāne meñ aaj
haath lā pīr-e-muġhāñ ye lauTne kī jaa.e hai
mohtasib bhi pi ke mai loTe hai maiKHane mein aaj
hath la pir-e-mughan ye lauTne ki jae hai
to bhī us tak hai rasā.ī mujhe ehsāñ dushvār
daam luuñ gar par-e-jibrīl barā-e-parvāz
to bhi us tak hai rasai mujhe ehsan dushwar
dam lun gar par-e-jibril bara-e-parwaz
ġhuncha ko maiñ ne chūmā laayā dahan ko aage
bosa na mujh ko deve vo nukta-yāb kyūñkar
ghuncha ko main ne chuma laya dahan ko aage
bosa na mujh ko dewe wo nukta-yab kyunkar
us lab-e-bām se ai sarsar-e-furqat tū batā
misl tinke ke mirā ye tan-e-lāġhar pheñkā
us lab-e-baam se ai sarsar-e-furqat tu bata
misl tinke ke mera ye tan-e-laghar phenka
āh-e-pechāñ apnī aisī hai ki jis ke pech ko
pechvāñ nīchā bhī terā dekh kar ḳham khaa.e hai
aah-e-pechan apni aisi hai ki jis ke pech ko
pechwan nicha bhi tera dekh kar KHam khae hai