Sher of Ghaus Khah makhah Hyderabadi
chheḌtī haiñ kabhī lab ko kabhī ruḳhsāroñ ko
tum ne zulfoñ ko bahut sar pe chaḌhā rakkhā hai
chheDti hain kabhi lab ko kabhi ruKHsaron ko
tum ne zulfon ko bahut sar pe chaDha rakkha hai
pareshānī se sar ke baal tak sab jhaḌ ga.e lekin
purānī jeb meñ kanghī jo pahle thī so ab bhī hai
pareshani se sar ke baal tak sab jhaD gae lekin
purani jeb mein kanghi jo pahle thi so ab bhi hai
zamāne kā chalan kyā pūchhte ho 'ḳhvāh-maḳhvāh' mujh se
vahī raftār be-Dhañgī jo pahle thī so ab bhī hai
zamane ka chalan kya puchhte ho 'KHwah-maKHwah' mujh se
wahi raftar be-Dhangi jo pahle thi so ab bhi hai
uḌā kar dekh le koī patangeñ apnī sheḳhī kī
bulandī par agar hoñ bhī to kanne kaaT saktā huuñ
uDa kar dekh le koi patangen apni sheKHi ki
bulandi par agar hon bhi to kanne kaT sakta hun
siyāsat-dāñ jo tab.ī maut marte
to sāzish kī zarūrat hī na hotī
siyasat-dan jo tabi maut marte
to sazish ki zarurat hi na hoti
kisī kī nazar 'ḳhvāh-maḳhvāh' lag na jaa.e
buḌhāpe meñ lagte ho tum naujavāñ se
kisi ki nazar 'KHwah-maKHwah' lag na jae
buDhape mein lagte ho tum naujawan se
jeb ġhā.eb hai to nefā hai baTan ke badle
tum ne patlūn kā pājāma banā rakhā hai
jeb ghaeb hai to nefa hai baTan ke badle
tum ne patlun ka pajama bana rakha hai
gunāhgāroñ aur āsiyoñ ko azāb-e-dozaḳh se vā.izo tum
Darāo be-shak magar na itnā ki dil dahal jaa.e aadmī kā
gunahgaron aur aasiyon ko azab-e-dozaKH se waizo tum
Darao be-shak magar na itna ki dil dahal jae aadmi ka
jantā pe raaj kartī hai dākuoñ kī Tolī
vo bach ga.e junūñ se khelī thī ḳhuuñ kī holī
janta pe raj karti hai dakuon ki Toli
wo bach gae junun se kheli thi KHun ki holi
samajh le naam terā hī likhā hai daane daane par
kabhī mat soch me.ade ke liye achchhā burā kyā hai
samajh le nam tera hi likha hai dane dane par
kabhi mat soch meade ke liye achchha bura kya hai
agar aatā hameñ haq chhīn lenā
guzārish kī zarūrat hī na hotī
agar aata hamein haq chhin lena
guzarish ki zarurat hi na hoti
pahle pahle shauhar ko har mausam bhīgā lagtā hai
yuuñ samjho billī ke bhāgoñ TuuTā chhīkā lagtā hai
pahle pahle shauhar ko har mausam bhiga lagta hai
yun samjho billi ke bhagon TuTa chhika lagta hai
jhagaḌ kar jab kahā begam ne ham se ghar se jaane ko
bahut be-ābrū ho kar ḳhud apne ghar se ham nikle
jhagaD kar jab kaha begam ne hum se ghar se jaane ko
bahut be-abru ho kar KHud apne ghar se hum nikle
Tañgī hai jo mire hanger-numā kandhoñ pe mailī sī
mirī shādī kī hai ye shervānī dekhte jaao
Tangi hai jo mere hanger-numa kandhon pe maili si
meri shadi ki hai ye sherwani dekhte jao
kisī kī Dhal ga.ī kaisī javānī dekhte jaao
jo thiiñ begam vo haiñ bachchoñ kī naanī dekhte jaao
kisi ki Dhal gai kaisi jawani dekhte jao
jo thin begam wo hain bachchon ki nani dekhte jao
ham shā.iroñ ko dekho rahne ko ghar nahīñ hai
likhte haiñ shā.irī meñ saarā jahāñ hamārā
hum shairon ko dekho rahne ko ghar nahin hai
likhte hain shairi mein sara jahan hamara