Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Mahboob Khizan's Photo'

Mahboob Khizan

1930 - 2013 | Karachi, Pakistan

Prominent poet of New Ghazal in Pakistan

Prominent poet of New Ghazal in Pakistan

Sher of Mahboob Khizan

8K
Favorite

SORT BY

ham aap qayāmat se guzar kyuuñ nahīñ jaate

jiine shikāyat hai to mar kyuuñ nahīñ jaate

hum aap qayamat se guzar kyun nahin jate

jine ki shikayat hai to mar kyun nahin jate

ek mohabbat kaafī hai

baaqī umr izāfī hai

ek mohabbat kafi hai

baqi umr izafi hai

tumheñ ḳhayāl nahīñ kis tarah batā.eñ tumheñ

ki saañs chaltī hai lekin udaas chaltī hai

tumhein KHayal nahin kis tarah bataen tumhein

ki sans chalti hai lekin udas chalti hai

mirī nigāh meñ kuchh aur DhūñDne vaale

tirī nigāh meñ kuchh aur DhūñDtā huuñ maiñ

meri nigah mein kuchh aur DhunDne wale

teri nigah mein kuchh aur DhunDta hun main

dekho duniyā hai dil hai

apnī apnī manzil hai

dekho duniya hai dil hai

apni apni manzil hai

dekhte haiñ be-niyāzāna guzar sakte nahīñ

kitne jiite is liye hoñge ki mar sakte nahīñ

dekhte hain be-niyazana guzar sakte nahin

kitne jite is liye honge ki mar sakte nahin

kise ḳhabar ki ahl-e-ġham sukūn talāsh meñ

sharāb taraf ga.e sharāb ke liye nahīñ

kise KHabar ki ahl-e-gham sukun ki talash mein

sharab ki taraf gae sharab ke liye nahin

katrāte haiñ bal khāte haiñ ghabrāte haiñ kyuuñ log

sardī hai to paanī meñ utar kyuuñ nahīñ jaate

katraate hain bal khate hain ghabraate hain kyun log

sardi hai to pani mein utar kyun nahin jate

ab yaad kabhī aa.e to ā.īne se pūchho

'mahbūb-ḳhizāñ' shaam ko ghar kyuuñ nahīñ jaate

ab yaad kabhi aae to aaine se puchho

'mahbub-KHizan' sham ko ghar kyun nahin jate

baat ye hai ki aadmī shā.ir

to hotā hai nahīñ hotā

baat ye hai ki aadmi shair

ya to hota hai ya nahin hota

chāhī thī dil ne tujh se vafā kam bahut kam

shāyad isī liye hai gilā kam bahut kam

chahi thi dil ne tujh se wafa kam bahut hi kam

shayad isi liye hai gila kam bahut hi kam

ulajhte rahne meñ kuchh bhī nahīñ thakan ke sivā

bahut haqīr haiñ ham tum baḌī hai ye duniyā

ulajhte rahne mein kuchh bhi nahin thakan ke siwa

bahut haqir hain hum tum baDi hai ye duniya

koī rasta kahīñ jaa.e to jāneñ

badalne ke liye raste bahut haiñ

koi rasta kahin jae to jaanen

badalne ke liye raste bahut hain

tumhāre vāste sab kuchh hai mere banda-navāz

magar ye shart ki pahle pasand aao mujhe

tumhaare waste sab kuchh hai mere banda-nawaz

magar ye shart ki pahle pasand aao mujhe

ghabrā na sitam se na karam se na adā se

har moḌ yahāñ raah dikhāne ke liye hai

ghabra na sitam se na karam se na ada se

har moD yahan rah dikhane ke liye hai

zaḳhm bigḌe to badan kaaT ke pheñk

varna kāñTā bhī mohabbat se nikāl

zaKHm bigDe to badan kaT ke phenk

warna kanTa bhi mohabbat se nikal

ye kyā kahūñ ki mujh ko kuchh gunāh bhī aziiz haiñ

ye kyuuñ kahūñ ki zindagī savāb ke liye nahīñ

ye kya kahun ki mujh ko kuchh gunah bhi aziz hain

ye kyun kahun ki zindagi sawab ke liye nahin

ye dil-navāz udāsī bharī bharī palkeñ

are in āñkhoñ meñ kyā hai suno dikhāo mujhe

ye dil-nawaz udasi bhari bhari palken

are in aankhon mein kya hai suno dikhao mujhe

havā chalī to phir āñkhoñ meñ aa ga.e sab rañg

magar vo saat baras lauT kar nahīñ aa.e

hawa chali to phir aankhon mein aa gae sab rang

magar wo sat baras lauT kar nahin aae

palaT ga.iiñ jo nigāheñ unhīñ se shikva thā

so aaj bhī hai magar der ho ga.ī shāyad

palaT gain jo nigahen unhin se shikwa tha

so aaj bhi hai magar der ho gai shayad

aḳhbār meñ rozāna vahī shor hai yaanī

apne se ye hālāt sañvar kyuuñ nahīñ jaate

aKHbar mein rozana wahi shor hai yani

apne se ye haalat sanwar kyun nahin jate

'ḳhizāñ' kabhī to kaho ek is tarah ġhazal

ki jaise raah meñ bachche ḳhushī se khelte haiñ

'KHizan' kabhi to kaho ek is tarah ki ghazal

ki jaise rah mein bachche KHushi se khelte hain

ye sard-mehr ujālā ye jītī-jāgtī raat

tire ḳhayāl se tasvīr-e-māh jaltī hai

ye sard-mehr ujala ye jiti-jagti raat

tere KHayal se taswir-e-mah jalti hai

ye log saañs bhī lete haiñ zinda bhī haiñ magar

har aan jaise inheñ roktī hai ye duniyā

ye log sans bhi lete hain zinda bhi hain magar

har aan jaise inhen rokti hai ye duniya

haa.e phir fasl-e-bahār aa.ī 'ḳhizāñ'

kabhī marnā kabhī jiinā hai muhāl

hae phir fasl-e-bahaar aai 'KHizan'

kabhi marna kabhi jina hai muhaal

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now