Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Moin Ahsan Jazbi's Photo'

Moin Ahsan Jazbi

1912 - 2005 | Aligarh, India

One of the most prominent Progressive poets. Famous for his widely sung ghazal 'Marne ki duaen kyun maangun…'.

One of the most prominent Progressive poets. Famous for his widely sung ghazal 'Marne ki duaen kyun maangun…'.

Sher of Moin Ahsan Jazbi

7.8K
Favorite

SORT BY

muḳhtasar ye hai hamārī dāstān-e-zindagī

ik sukūn-e-dil ḳhātir umr bhar taḌpā kiye

muKHtasar ye hai hamari dastan-e-zindagi

ek sukun-e-dil ki KHatir umr bhar taDpa kiye

yahī zindagī musībat yahī zindagī musarrat

yahī zindagī haqīqat yahī zindagī fasāna

yahi zindagi musibat yahi zindagi musarrat

yahi zindagi haqiqat yahi zindagi fasana

ai mauj-e-balā un ko bhī zarā do chaar thapeḌe halke se

kuchh log abhī tak sāhil se tūfāñ nazāra karte haiñ

ai mauj-e-bala un ko bhi zara do chaar thapeDe halke se

kuchh log abhi tak sahil se tufan ka nazara karte hain

jo aag lagā.ī thī tum ne us ko to bujhāyā ashkoñ ne

jo ashkoñ ne bhaḌkā.ī hai us aag ko ThanDā kaun kare

jo aag lagai thi tum ne us ko to bujhaya ashkon ne

jo ashkon ne bhaDkai hai us aag ko ThanDa kaun kare

jab kashtī sābit-o-sālim thī sāhil tamannā kis ko thī

ab aisī shikasta kashtī par sāhil tamannā kaun kare

jab kashti sabit-o-salim thi sahil ki tamanna kis ko thi

ab aisi shikasta kashti par sahil ki tamanna kaun kare

mile mujh ko ġham se fursat to sunā.ūñ vo fasāna

ki Tapak paḌe nazar se mai-e-ishrat-e-shabāna

mile mujh ko gham se fursat to sunaun wo fasana

ki Tapak paDe nazar se mai-e-ishrat-e-shabana

jab tujh ko tamannā merī thī tab mujh ko tamannā terī thī

ab tujh ko tamannā ġhair hai to terī tamannā kaun kare

jab tujh ko tamanna meri thi tab mujh ko tamanna teri thi

ab tujh ko tamanna ghair ki hai to teri tamanna kaun kare

jab mohabbat naam suntā huuñ

haa.e kitnā malāl hotā hai

when mention of love is there

Aah! I feel such deep despair

jab mohabbat ka nam sunta hun

hae kitna malal hota hai

when mention of love is there

Aah! I feel such deep despair

marne duā.eñ kyuuñ māñgūñ jiine tamannā kaun kare

ye duniyā ho vo duniyā ab ḳhvāhish-e-duniyā kaun kare

marne ki duaen kyun mangun jine ki tamanna kaun kare

ye duniya ho ya wo duniya ab KHwahish-e-duniya kaun kare

hazār baar kiyā azm-e-tark-e-nazzāra

hazār baar magar dekhnā paḌā mujh ko

hazar bar kiya azm-e-tark-e-nazzara

hazar bar magar dekhna paDa mujh ko

hamīñ haiñ soz hamīñ saaz haiñ hamīñ naġhma

zarā sambhal ke sar-e-bazm chheḌnā ham ko

hamin hain soz hamin saz hain hamin naghma

zara sambhal ke sar-e-bazm chheDna hum ko

muskurā kar Daal ruḳh par naqāb

mil gayā jo kuchh ki milnā thā javāb

muskura kar Dal di ruKH par naqab

mil gaya jo kuchh ki milna tha jawab

na aa.e maut ḳhudāyā tabāh-hālī meñ

ye naam hogā ġham-e-rozgār sah na sakā

na aae maut KHudaya tabah-haali mein

ye nam hoga gham-e-rozgar sah na saka

allāh-re be-ḳhudī ki chalā rahā huuñ maiñ

manzil ko dekhtā huā kuchh sochtā huā

allah-re be-KHudi ki chala ja raha hun main

manzil ko dekhta hua kuchh sochta hua

tirī rusvā.ī hai Dar varna

dil ke jazbāt to mahdūd nahīñ

teri ruswai ka hai Dar warna

dil ke jazbaat to mahdud nahin

us ne is tarah mohabbat nigāheñ Dālīñ

ham se duniyā koī raaz chhupāyā na gayā

us ne is tarah mohabbat ki nigahen Dalin

hum se duniya ka koi raaz chhupaya na gaya

merī arz-e-shauq be-ma.anī hai un ke vāste

un ḳhāmoshī bhī ik paiġhām hai mere liye

meri arz-e-shauq be-mani hai un ke waste

un ki KHamoshi bhi ek paigham hai mere liye

kyā mātam un ummīdoñ jo aate dil meñ ḳhaak huiiñ

kyā ro.e falak un tāroñ par dam bhar jo chamak kar TuuT ga.e

kya matam un ummidon ka jo aate hi dil mein KHak huin

kya roe falak un taron par dam bhar jo chamak kar TuT gae

kabhī dard tamannā kabhī koshish-e-mudāvā

kabhī bijliyoñ ḳhvāhish kabhī fikr-e-āshiyāna

kabhi dard ki tamanna kabhi koshish-e-mudawa

kabhi bijliyon ki KHwahish kabhi fikr-e-ashiyana

riste hue zaḳhmoñ ho kuchh aur mudāvā

ye harf-e-tasallī koī marham to nahīñ hai

riste hue zaKHmon ka ho kuchh aur mudawa

ye harf-e-tasalli koi marham to nahin hai

dil-e-nākām thak ke baiTh gayā

jab nazar aa.ī manzil-e-maqsūd

dil-e-nakaam thak ke baiTh gaya

jab nazar aai manzil-e-maqsud

ik pyaas bhare dil par na huī tāsīr tumhārī nazroñ

ik mom ke be-bas TukḌe par ye nāzuk ḳhanjar TuuT ga.e

ek pyas bhare dil par na hui tasir tumhaari nazron ki

ek mom ke be-bas TukDe par ye nazuk KHanjar TuT gae

ham dahr ke is vīrāne meñ jo kuchh bhī nazārā karte haiñ

ashkoñ zabāñ meñ kahte haiñ aahoñ meñ ishārā karte haiñ

hum dahr ke is virane mein jo kuchh bhi nazara karte hain

ashkon ki zaban mein kahte hain aahon mein ishaara karte hain

jab kabhī kisī gul par ik zarā nikhār aayā

kam-nigāh ye samjhe mausam-e-bahār aayā

jab kabhi kisi gul par ek zara nikhaar aaya

kam-nigah ye samjhe mausam-e-bahaar aaya

zabt-e-ġham be-sabab nahīñ 'jazbī'

ḳhalish-e-dil baḌhā rahā huuñ maiñ

zabt-e-gham be-sabab nahin 'jazbi'

KHalish-e-dil baDha raha hun main

ashkoñ ronā thā mujhe aksar rotā rahtā huuñ

ek bhī gauhar paas na thā lākhoñ gauhar TuuT ga.e

ya ashkon ka rona tha mujhe ya aksar rota rahta hun

ya ek bhi gauhar pas na tha ya lakhon gauhar TuT gae

yuuñ baḌhī sā.at-ba-sā.at lazzat-e-dard-e-firāq

rafta rafta maiñ ne ḳhud ko dushman-e-jāñ kar diyā

yun baDhi saat-ba-saat lazzat-e-dard-e-firaq

rafta rafta main ne KHud ko dushman-e-jaan kar diya

abhī sumūm ne maanī kahāñ nasīm se haar

abhī to ma.arka-hā-e-chaman kuchh aur bhī haiñ

abhi sumum ne mani kahan nasim se haar

abhi to marka-ha-e-chaman kuchh aur bhi hain

merī nazar mastī se sab shīsha-o-sāġhar raqsāñ the

merī nazar garmī se sab shīsha-o-sāġhar TuuT ga.e

meri hi nazar ki masti se sab shisha-o-saghar raqsan the

meri hi nazar ki garmi se sab shisha-o-saghar TuT gae

aur ġham-e-ulfat 'jazbī' mujh ko to yaqīñ aa.e na kabhī

jis qalb pe TuuTe hoñ patthar us qalb meñ nashtar TuuT ga.e

tu aur gham-e-ulfat 'jazbi' mujh ko to yaqin aae na kabhi

jis qalb pe TuTe hon patthar us qalb mein nashtar TuT gae

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now