Sher of Nazir Wahid
us ke hoñToñ pe shikāyat bhī to hotī hogī
dil lagāne kī ye sūrat bhī to hotī hogī
us ke honTon pe shikayat bhi to hoti hogi
dil lagane ki ye surat bhi to hoti hogi
rañg darkār the ham ko tirī ḳhāmoshī ke
ek āvāz kī tasvīr banānī thī hameñ
rang darkar the hum ko teri KHamoshi ke
ek aawaz ki taswir banani thi hamein
paḌhne vaalā bhī to kartā hai kisī se mansūb
sabhī kirdār kahānī ke nahīñ hote haiñ
paDhne wala bhi to karta hai kisi se mansub
sabhi kirdar kahani ke nahin hote hain
dekhne vaale tujhe dekhte hoñge lekin
dekhne vāloñ ko hairat bhī to hotī hogī
dekhne wale tujhe dekhte honge lekin
dekhne walon ko hairat bhi to hoti hogi
mujh se ziyāda kaun tamāsha dekh sakegā
gāñdhī-jī ke tīnoñ bandar mere andar
mujh se ziyaada kaun tamasha dekh sakega
gandhi-ji ke tinon bandar mere andar
hausle dard-bayānī ke nahīñ hote haiñ
ab yahāñ lafz ma.ānī ke nahīñ hote haiñ
hausle dard-bayani ke nahin hote hain
ab yahan lafz maani ke nahin hote hain
likhte likhte hī laḌī aañkh jo raanī se mirī
phir to raajā ko nikalnā thā kahānī se mirī
likhte likhte hi laDi aankh jo rani se meri
phir to raja ko nikalna tha kahani se meri
sher kī tarah jo hote haiñ mukammal kuchh log
vo binā misra-e-sānī ke nahīñ hote haiñ
sher ki tarah jo hote hain mukammal kuchh log
wo bina misra-e-sani ke nahin hote hain
ik na.e ġham se kinārā bhī to ho saktā hai
ishq phir ham ko dobārā bhī to ho saktā hai
ek nae gham se kinara bhi to ho sakta hai
ishq phir hum ko dobara bhi to ho sakta hai