Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Shaz Tamkanat's Photo'

Shaz Tamkanat

1933 - 1985 | Hyderabad, India

A prominent poet from Hyderabad.

A prominent poet from Hyderabad.

Sher of Shaz Tamkanat

4.5K
Favorite

SORT BY

mirā zamīr bahut hai mujhe sazā ke liye

dost hai to nasīhat na kar ḳhudā ke liye

mera zamir bahut hai mujhe saza ke liye

tu dost hai to nasihat na kar KHuda ke liye

kabhī ziyāda kabhī kam rahā hai āñkhoñ meñ

lahū silsila paiham rahā hai āñkhoñ meñ

kabhi ziyaada kabhi kam raha hai aankhon mein

lahu ka silsila paiham raha hai aankhon mein

un se milte the to sab kahte the kyuuñ milte ho

ab yahī log na milne sabab pūchhte haiñ

un se milte the to sab kahte the kyun milte ho

ab yahi log na milne ka sabab puchhte hain

zindagī ham se tire naaz uThā.e na ga.e

saañs lene faqat rasm adā karte the

zindagi hum se tere naz uThae na gae

sans lene ki faqat rasm ada karte the

koī to aa ke rulā de ki hañs rahā huuñ maiñ

bahut dinoñ se ḳhushī ko taras rahā huuñ maiñ

koi to aa ke rula de ki hans raha hun main

bahut dinon se KHushi ko taras raha hun main

kitāb-e-husn hai mil khulī kitāb tarah

yahī kitāb to mar mar ke maiñ ne azbar

kitab-e-husn hai tu mil khuli kitab ki tarah

yahi kitab to mar mar ke main ne azbar ki

us honā bhī bharī bazm meñ hai vaj.h-e-sukūñ

kuchh na bole bhī to vo merā taraf-dār lage

us ka hona bhi bhari bazm mein hai wajh-e-sukun

kuchh na bole bhi to wo mera taraf-dar lage

ek raat aap ne ummīd pe kyā rakkhā hai

aaj tak ham ne charāġhoñ ko jalā rakkhā hai

ek raat aap ne ummid pe kya rakkha hai

aaj tak hum ne charaghon ko jala rakkha hai

shab o roz jaise Thahar ga.e koī naaz hai na niyāz hai

tire hijr meñ ye patā chalā mirī umr kitnī darāz hai

shab o roz jaise Thahar gae koi naz hai na niyaz hai

tere hijr mein ye pata chala meri umr kitni daraaz hai

aage aage koī mish.al liye chaltā thā

haa.e kyā naam thā us shaḳhs pūchhā bhī nahīñ

aage aage koi mishal si liye chalta tha

hae kya nam tha us shaKHs ka puchha bhi nahin

suḳhan rāz-e-nashāt-o-ġham parda ho jaatā hai

ġhazal kah leñ to bojh halkā ho jaatā hai

suKHan raaz-e-nashat-o-gham ka parda ho hi jata hai

ghazal kah len to ji ka bojh halka ho hi jata hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now