Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Sher on Chai

Tea is more than just

a drink — it's a feeling, a moment, a companion. In this section, we've curated couplets that capture the warmth, nostalgia, and quiet joy that often brews with a cup of tea. Whether it's solitude in the rain, laughter in a gathering, or memories steeped in silence, these selected couplets celebrate the poetic soul of every sip. A perfect blend for tea lovers and poetry enthusiasts alike.

ik haath meñ mere chaa.e cup ik haath meñ mere haath tirā

hāthoñ ko talab hai hāthoñ aur dil ko talab hai saath tirā

ek hath mein mere chae ka cup ek hath mein mere hath tera

hathon ko talab hai hathon ki aur dil ko talab hai sath tera

Mahwar Sirsivi

chhoḌ aayā thā mez par chaa.e

ye judā.ī isti.ārā thā

chhoD aaya tha mez par chae

ye judai ka istiara tha

Tauqeer Abbas

aaj phir chaa.e banāte hue vo yaad aayā

aaj phir chaa.e meñ pattī nahīñ Daalī maiñ ne

aaj phir chae banate hue wo yaad aaya

aaj phir chae mein patti nahin Dali main ne

Taruna Mishra

sher jaisā bhī ho is shahr meñ paḌh sakte ho

chaa.e jaisī bhī ho āsām meñ bik jaatī hai

sher jaisa bhi ho is shahr mein paDh sakte ho

chae jaisi bhi ho aasam mein bik jati hai

Munawwar Rana

chaa.e meñ Daal kar ushshāq use jaate

dar-haqīqat lab-e-ma.ashūq jo shakkar hotā

chae mein Dal kar ushshaq use pi jate

dar-haqiqat lab-e-mashuq jo shakkar hota

Zareef Lakhnavi

nahīñ hai ghar meñ tirī yaad ke alāva kuchh

to kis ke sāmne chaa.e banā ke rakhtī huuñ

nahin hai ghar mein teri yaad ke alawa kuchh

to kis ke samne chae bana ke rakhti hun

Rehana Qamar

chaa.e pyālī meñ niilī tablet gholī

sahme sahme hāthoñ ne ik kitāb phir kholī

chae ki pyali mein nili tablet gholi

sahme sahme hathon ne ek kitab phir kholi

Bashir Badr

ThanDī chaa.e pyālī ke

raat pyaas bujhā.ī hai

ThanDi chae ki pyali pi ke

raat ki pyas bujhai hai

Rais Farogh

tere haath chaa.e to thī

dil ranj to dil meñ rahā thā

tere hath ki chae to pi thi

dil ka ranj to dil mein raha tha

Nasir Kazmi

shaam chaa.e un ke saath piyūñ

dil hasrat bahut purānī hai

sham ki chae un ke sath piyun

dil ki hasrat bahut purani hai

Dinesh Kumar

hañs paḌī shaam udaas fazā

is tarah chaa.e pyālī hañsī

hans paDi sham ki udas faza

is tarah chae ki pyali hansi

Bashir Badr

aa tire sang zarā peñg baḌhā.ī jaa.e

zindagī baiTh tujhe chaa.e pilā.ī jaa.e

aa tere sang zara peng baDhai jae

zindagi baiTh tujhe chae pilai jae

Shamim Abbas

maiñ ne pūchhā hai ki chaa.e ke liye vaqt koī

hañs ke bolī hai ishāre se ghaḌī Thiik nahīñ

main ne puchha hai ki chae ke liye waqt koi

hans ke boli hai ishaare se ghaDi Thik nahin

Imran Rahib

ham jahāñ chaa.e piine jaate the

kyā vahāñ ab bhī aayā karte the

hum jahan chae pine jate the

kya wahan ab bhi aaya karte the

Wasi Shah

sāmne rakh ke chaa.e pyālī

chuskī chuskī tirī kamī chakkhī

samne rakh ke chae ki pyali

chuski chuski teri kami chakkhi

Nahid Akhtar Balooch

maiñ us chaa.e pyālī thī lekin

use piine jur.at nahīñ thī

main us ki chae ki pyali thi lekin

use pine ki jurat hi nahin thi

Rakhshan Hashmi

saste meñ un ko bhūlnā achchhā lagā hai aaj

chaa.e ek ghūñT bhī kaafī rahā hai aaj

saste mein un ko bhulna achchha laga hai aaj

chae ka ek ghunT bhi kafi raha hai aaj

Imran Rahib

chaa.e barakat se ḳhālī haiñ

der meñ aksar uThne vaale

chae ki barakat se KHali hain

der mein aksar uThne wale

Sohail Azad

aap aḳhbār dekhiye tab tak

maiñ abhī chaa.e le kar aatī huuñ

aap aKHbar dekhiye tab tak

main abhi chae le kar aati hun

Rakhshan Hashmi

aisī chaa.e kabhī na maiñ ne

sach batā ne is meñ kyā Daalā

aisi chae kabhi na pi main ne

sach bata tu ne is mein kya Dala

Arshad Mahmood Arshad

terī ten.shan meñ piinā bhuul ga.ī

chaa.e to sāmne rakhī huī thī

teri tenshan mein pina bhul gai

chae to samne rakhi hui thi

zahraa Qarar

thoḌī der meñ train nikalne vaalī hai

sun thoḌī der meñ chaa.e aatī hai

thoDi der mein train nikalne wali hai

sun thoDi hi der mein chae aati hai

Vasaf Basit

phir kahīñ baiTh ke jaa.e ikaTThe chaa.e

phir koī shaam pal saath guzārā jaa.e

phir kahin baiTh ke pi jae ikaTThe chae

phir koi sham ka pal sath guzara jae

Iman Qaisrani

aa mere saath baiTh mire saath chaa.e

aa mere saath mere dalā.il pe baat kar

aa mere sath baiTh mere sath chae pi

aa mere sath mere dalail pe baat kar

Jabbar Wasif

phir chaa.e meñ biscuit tarah bhūkī ye shaam

khā jā.egī sūraj ko samundar meñ Dubā kar

phir chae mein biscuit ki tarah bhuki si ye sham

kha jaegi suraj ko samundar mein Duba kar

Swappnil Tiwari

chaa.e meñ mat milā.iye shakar ki hai zarar-risāñ

shāmil miThās vāste apnā luaab kījiye

chae mein mat milaiye shakar ki hai zarar-risan

shamil miThas waste apna luab kijiye

Qamar Aasi

ek chaa.e kyā jaan detī maiñ

shukriya aise kah rahā thā vo

ek chae kya jaan deti main

shukriya aise kah raha tha wo

Kanval Malik

kabhī to baiTh ke yāroñ ke saath chaa.e

kabhī to baiTh ke fursat se din guzārā kar

kabhi to baiTh ke yaron ke sath chae pi

kabhi to baiTh ke fursat se din guzara kar

Sabir Amani

roz ham chaa.e saath piite the

baat aage kabhī baḌhī nahīñ

roz hum chae sath pite the

baat aage kabhi baDhi hi nahin

Sadia Swera

chaa.e piinā to ik bahāna thā

aarzū dil tarjumānī thī

chae pina to ek bahana tha

aarzu dil ki tarjumani thi

Iman Qaisrani

shā.erī chaa.e tirī yaad chamakte jugnū

bas yahī chaar talab roz mirī shaam ke haiñ

shaeri chae teri yaad chamakte jugnu

bas yahi chaar talab roz meri sham ke hain

Sanju Shabdita

chaa.e ke ek cup yahī hai muāvza

yāroñ ko ahd-e-rafta ke qisse sunā.iye

chae ke ek cup ka yahi hai muawza

yaron ko ahd-e-rafta ke qisse sunaiye

Syed Fazlul Mateen

lo chaa.e meñ bhī chaa.e pattī nahīñ Daalī

tum ko to mohabbat ke sivā kuchh nahīñ aatā

lo chae mein bhi chae ki patti nahin Dali

tum ko to mohabbat ke siwa kuchh nahin aata

Shyam Vashishtha Shahid

shaam chaa.e va.ada vo udhar bhuul ga.e

ham idhar sub.h se tayyār hue baiThe haiñ

sham ki chae ka wada wo udhar bhul gae

hum idhar subh se tayyar hue baiThe hain

Pinhaan

naam merā yaad karke chuskiyoñ ke biich meñ

kyā huī hai chaa.e ke cup meñ tire halchal kabhī

nam mera yaad karke chuskiyon ke bich mein

kya hui hai chae ke cup mein tere halchal kabhi

Sandeep Thakur

vo chaa.e rahā thā kisī dūsre ke saath

mujh par nigāh paḌte kuchh jheñp gayā

wo chae pi raha tha kisi dusre ke sath

mujh par nigah paDte hi kuchh jhenp sa gaya

Adil Mansuri

chaa.e meñ us ke pistāñ the

merā badan paanī meñ thā

chae mein us ke pistan the

mera badan pani mein tha

Adil Mansuri

chaa.e mere haath se girne vaalī thī

us ne is andāz se ghūrā tauba hai

chae mere hath se girne wali thi

us ne is andaz se ghura tauba hai

Samina Saqib

garm chaa.e hai terī yaad

tishna-lab huuñ sharbat-e-dīdār

garm chae pi hai teri yaad ki

tishna-lab hun sharbat-e-didar ka

Moeen Gauhar

haiñ dastaras meñ abhī bhī 'tāhir' uThā ke ab is ko bhī Daalo

mushāhidoñ meñ ho ga.ī gar ye ThanDī chaa.e to kyā karoge

hain dastaras mein abhi bhi 'tahir' uTha ke ab is ko pi bhi Dalo

mushahidon mein hi ho gai gar ye ThanDi chae to kya karoge

Tahir Adeem

bhaap uḌ-uḌ ke merī chaa.e se

us paikar banātī rahtī hai

bhap uD-uD ke meri chae se

us ka paikar banati rahti hai

Mohammad Ali Ayaz

chaa.e ke cup meñ ublī

aḳhbāroñ keī surḳhī dhuup

chae ke cup mein ubli

aKHbaron kei surKHi dhup

Satpaal Khayal

maiñ ne chaa.e jo pesh thī use

ik takalluf meñ paḌ gayā thā vo

main ne chae jo pesh ki thi use

ek takalluf mein paD gaya tha wo

Kanval Malik

shab Dhalī uThne lage hotel se log

chaa.e ye daur is ke naam par

shab Dhali uThne lage hotel se log

chae ka ye daur is ke nam par

Nasir Shahzad

garm mausam meñ garm chaa.e bhī

bad-mizājoñ pyaar lagtī hai

garm mausam mein garm chae bhi

bad-mizajon ka pyar lagti hai

Bashir Badr

chaa.e ke talḳh ghūñT se uThtā huā ġhubār

vo intizār-e-shām vo manzar kahāñ gayā

chae ke talKH ghunT se uThta hua ghubar

wo intizar-e-sham wo manzar kahan gaya

Sidra Sahar Imran

dhyān ik biite milan ke dvaar

lab chaa.e pyālī par

dhyan ek bite milan ke dwar

lab chae ki pyali par

Nasir Shahzad

cup meñ garmī dikhā rahī thī bahut

chaa.e saucer meñ Daal maiñ ne

cup mein garmi dikha rahi thi bahut

chae saucer mein Dal di main ne

Sabir Aafaque

us ḳhayāl dil meñ ghaḌī do ghaḌī rahe

phir is ke baa'd mez pe chaa.e paḌī rahe

us ka KHayal dil mein ghaDi do ghaDi rahe

phir is ke ba'd mez pe chae paDi rahe

Zakariya Shaz
Speak Now