Sher on Daagh
us ke ba.ad aglī qayāmat kyā hai kis ko hosh hai
zaḳhm sahlātā thā aur ab daaġh dikhlātā huuñ maiñ
us ke baad agli qayamat kya hai kis ko hosh hai
zaKHm sahlata tha aur ab dagh dikhlata hun main
vo judā mujh se ho gayā lekin
daaġh dil se judā nahīñ hotā
wo juda mujh se ho gaya lekin
dagh dil se juda nahin hota
-
Tags : Diland 1 more
le kar ruḳh par itne kalañk
lagtā huuñ ḳhush-rū bhī maiñ
le kar ruKH par itne kalank
lagta hun KHush-ru bhi main
-
Tags : Chehraand 1 more
jhaaḌ aayā huuñ apne dāman ko
daaġh bāzār meñ paḌe hue haiñ
jhaD aaya hun apne daman ko
dagh bazar mein paDe hue hain