Sher on Zindan
Prison house has been
used profusely as a metaphor both in classical and modern Urdu poetry. In classical poetry, it was used mostly in a romantic context but in modern poetry it has been used in many more contexts that are social, and even political at times. Have a look at the verses here and see how variously it has been used and with what connotations.
dīvār-e-zindāñ ke pīchhe
jurm-e-mohabbat meñ baiThā huuñ
diwar-e-zindan ke pichhe
jurm-e-mohabbat mein baiTha hun
jail se vāpas aa kar us ne pān.cho vaqt namāz paḌhī
muñh bhī band hue sab ke aur badnāmī bhī ḳhatm huī
jail se wapas aa kar us ne pancho waqt namaz paDhi
munh bhi band hue sab ke aur badnami bhi KHatm hui
na kisī aah kī āvāz na zanjīr kā shor
aaj kyā ho gayā zindāñ meñ ki zindāñ chup hai
na kisi aah ki aawaz na zanjir ka shor
aaj kya ho gaya zindan mein ki zindan chup hai
maiñ santarī huuñ auratoñ kī jail kā huzūr
do-chār qaidī is liye kam gin rahā huuñ maiñ
main santari hun auraton ki jail ka huzur
do-chaar qaidi is liye kam gin raha hun main
jaane kitne be-qusūroñ ko sazā.eñ mil rahīñ
jhuuT lagtā hai tumheñ to jail jā kar dekhiye
jaane kitne be-qusuron ko sazaen mil rahin
jhuT lagta hai tumhein to jail ja kar dekhiye
zindagī jabr hai aur jabr ke āsār nahīñ
haa.e is qaid ko zanjīr bhī darkār nahīñ
zindagi jabr hai aur jabr ke aasar nahin
hae is qaid ko zanjir bhi darkar nahin
-
Tags : Jabrand 1 more
jo qaidī-e-mehan the 'jamīla' vo chal base
zindāñ meñ koī sāhab-e-zindāñ nahīñ rahā
jo qaidi-e-mehan the 'jamila' wo chal base
zindan mein koi sahab-e-zindan nahin raha
zarā sā shor-e-baġhāvat uThā aur us ke ba.ad
vazīr taḳht pe baiThe the aur jail meñ ham
zara sa shor-e-baghawat uTha aur us ke baad
wazir taKHt pe baiThe the aur jail mein hum
patthar taane log khaḌe haiñ
zindāñ kī dīvār ke pīchhe
patthar tane log khaDe hain
zindan ki diwar ke pichhe
zindāñ se nikalne kī ye tadbīr ġhalat hai
zanjīr ke TukḌe karo dīvār girā do
zindan se nikalne ki ye tadbir ghalat hai
zanjir ke TukDe karo diwar gira do
lahū se maiñ ne likhā thā jo kuchh dīvār-e-zindāñ par
vo bijlī ban ke chamkā dāman-e-sub.h-e-gulistāñ par
lahu se main ne likha tha jo kuchh diwar-e-zindan par
wo bijli ban ke chamka daman-e-subh-e-gulistan par
haa.e zanjīr-shikan vo kashish-e-fasl-e-bahār
aur zindāñ se nikalnā tire dīvāne kā
hae zanjir-shikan wo kashish-e-fasl-e-bahaar
aur zindan se nikalna tere diwane ka
kin shahīdoñ ke lahū ke ye farozāñ haiñ charāġh
raushnī sī jo hai zindāñ ke har ik rauzan meñ
kin shahidon ke lahu ke ye farozan hain charagh
raushni si jo hai zindan ke har ek rauzan mein
-
Tag : Shaheed
zindāñ kī to apne sair tū kar
shāyad koī be-gunāh nikle
zindan ki to apne sair tu kar
shayad koi be-gunah nikle
ab us ġharīb chor ko bhejoge jail kyuuñ
ġhurbat kī jis ne kaaT lī pādāsh jeb meñ
ab us gharib chor ko bhejoge jail kyun
ghurbat ki jis ne kaT li padash jeb mein