aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
zindagī kyā kisī muflis kī qabā hai jis meñ
har ghaḌī dard ke paivand lage jaate haiñ
zindagi kya kisi muflis ki qaba hai jis mein
har ghaDi dard ke paiwand lage jate hain
kaTtī hai aarzū ke sahāre pe zindagī
kaise kahūñ kisī kī tamannā na chāhiye
kaTti hai aarzu ke sahaare pe zindagi
kaise kahun kisi ki tamanna na chahiye
ham apnā ishq chamkā.eñ tum apnā husn chamkāo
ki hairāñ dekh kar aalam hameñ bhī ho tumheñ bhī ho
hum apna ishq chamkaen tum apna husn chamkao
ki hairan dekh kar aalam hamein bhi ho tumhein bhi ho
tum mohabbat ko khel kahte ho
ham ne barbād zindagī kar lī
hum ne barbaad zindagi kar li
har musībat kā diyā ek tabassum se javāb
is tarah gardish-e-daurāñ ko rulāyā maiñ ne
har musibat ka diya ek tabassum se jawab
is tarah gardish-e-dauran ko rulaya main ne
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books