Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Abdurrahman momin's Photo'

Abdurrahman momin

1996 | Karachi, Pakistan

A young poet from Pakistan

A young poet from Pakistan

Sher of Abdurrahman momin

2.5K
Favorite

SORT BY

aaj sūraj ne kah diyā 'momin'

jalegā to raushnī hogī

aaj suraj ne kah diya 'momin'

tu jalega to raushni hogi

zaḳhm khā kar bhī jo duā.eñ de

kaun us muqābla karegā

zaKHm kha kar bhi jo duaen de

kaun us ka muqabla karega

abhī se tujh ko paḌī hai visāl mirī jaañ

abhī to hijr ne unvān nahīñ paayā

abhi se tujh ko paDi hai visal ki meri jaan

abhi to hijr ne unwan hi nahin paya

jis raste meñ tum mil jaao

vo rasta manzil hotā hai

jis raste mein tum mil jao

wo rasta manzil hota hai

us ne va.ada nahīñ liyā mujh se

aur kahtā hai maiñ mukar rahā huuñ

us ne wada nahin liya mujh se

aur kahta hai main mukar raha hun

yaad aate haiñ ve din bahut

kyoñ na ve din dobārā kareñ

yaad aate hain we din bahut

kyon na we din dobara karen

sitam to ye hai ki maiñ ne use bhī chhoḌ diyā

jo sab ko chhoḌ ke tanhā khaḌā hai mere saath

sitam to ye hai ki main ne use bhi chhoD diya

jo sab ko chhoD ke tanha khaDa hai mere sath

ḳhvāb mere churā liye us ne

jis ko maiñ ne udhār diiñ āñkheñ

KHwab mere chura liye us ne

jis ko main ne udhaar din aankhen

ve sāmne se chukā to ye khulā

vo ḳhvāb lag rahā thā ḳhvāb thā nahīñ

we samne se ja chuka to ye khula

wo KHwab lag raha tha KHwab tha nahin

ne mujh ko banā diyā insāñ

maiñ ne tujh ko ḳhudā banāyā hai

tu ne mujh ko bana diya insan

main ne tujh ko KHuda banaya hai

kaise kaise maiñ bhūlā huuñ

kaise yaad aa jaatā hai

kaise kaise main bhula hun

kaise yaad aa jata hai tu

ve rāteñ jo guzartī nahīñ thiiñ

unheñ guzre zamāne ho ga.e haiñ

we raaten jo guzarti hi nahin thin

unhen guzre zamane ho gae hain

'momin-miyāñ' ye kaam nahīñ hai ye ishq hai

kyā soch meñ paḌe ho karūñ karūñ nahīñ

'momin-miyan' ye kaam nahin hai ye ishq hai

kya soch mein paDe ho karun ya karun nahin

kaisī ajiib baat hai sāmne thā aur

maiñ tere sāmne bhī kisī aur se milā

kaisi ajib baat hai tu samne tha aur

main tere samne bhi kisi aur se mila

vo jo kal tak haañ meñ haañ kartā thā merī

aaj to vo bhī nahīñ par aa gayā hai

wo jo kal tak han mein han karta tha meri

aaj to wo bhi nahin par aa gaya hai

chāñd meñ nazar aayā thā mujhe

maiñ ne mahtāb nahīñ dekhā thā

chand mein tu nazar aaya tha mujhe

main ne mahtab nahin dekha tha

jaane kyā kah rahā thā vo mujh se

maiñ ne bhī kah diyā ki ḳhush huuñ maiñ

jaane kya kah raha tha wo mujh se

main ne bhi kah diya ki KHush hun main

tum se mil kar maiñ us ko bhuul gayā

jis ne tum se mujhe milāyā hai

tum se mil kar main us ko bhul gaya

jis ne tum se mujhe milaya hai

chāñd meñ nazar aayā thā mujhe

maiñ ne mahtāb nahīñ dekhā thā

chand mein tu nazar aaya tha mujhe

main ne mahtab nahin dekha tha

chhoḌ aa.e haiñ ve galī lekin

ve galī chhoḌ kar nahīñ jaatī

chhoD aae hain we gali lekin

we gali chhoD kar nahin jati

ḳhud ko kitnā bhulā diyā maiñ ne

bhī ab ajnabī lagtā hai

KHud ko kitna bhula diya main ne

tu bhi ab ajnabi sa lagta hai

mujhe bhī aql pareshān kartī rahtī hai

nahīñ nahīñ se guzar kar maiñ haañ pe aayā huuñ

mujhe bhi aql pareshan karti rahti hai

nahin nahin se guzar kar main han pe aaya hun

kyā batā.ūñ chhupā hai mujh meñ kaun

kaun mujh meñ chhupā rahā hai mujhe

kya bataun chhupa hai mujh mein kaun

kaun mujh mein chhupa raha hai mujhe

kafan jeb bhī ḳhālī nahīñ hai

ye bad-halī hai ḳhush-hālī nahīñ hai

kafan ki jeb bhi KHali nahin hai

ye bad-hali hai KHush-haali nahin hai

maiñ jahāñ bhī gayā tujhe paayā

bhī kyā yuuñ rahā hai mujhe

main jahan bhi gaya tujhe paya

tu bhi kya yun hi pa raha hai mujhe

jo likhā nahīñ gayā mujh se

dil ne vo giit gungunāyā hai

jo likha hi nahin gaya mujh se

dil ne wo git gungunaya hai

hijr baab kaafī thā hameñ

vasl baab nahīñ dekhā thā

hijr ka bab hi kafi tha hamein

wasl ka bab nahin dekha tha

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now