Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Anjum Saleemi's Photo'

Anjum Saleemi

1963 | Faisalabad, Pakistan

Prominent contemporary pakistani poet known for high seriousness of his poetic content.

Prominent contemporary pakistani poet known for high seriousness of his poetic content.

Sher of Anjum Saleemi

13.5K
Favorite

SORT BY

maañ duā na baap shafqat saayā hai

aaj apne saath apnā janam din manāyā hai

man ki dua na bap ki shafqat ka saya hai

aaj apne sath apna janam din manaya hai

saath bārish meñ liye phirte ho us ko 'anjum'

tum ne is shahr meñ kyā aag lagānī hai koī

sath barish mein liye phirte ho us ko 'anjum'

tum ne is shahr mein kya aag lagani hai koi

tum akele meñ mile nahīñ varna tum ko

aur tarah ke ik shaḳhs se milvātā maiñ

tum akele mein mile hi nahin warna tum ko

aur hi tarah ke ek shaKHs se milwata main

itnā be-tāb na ho mujh se bichhaḌne ke liye

tujh ko ā.ankhoñ se nahīñ dil se judā karnā hai

itna be-tab na ho mujh se bichhaDne ke liye

tujh ko aaankhon se nahin dil se juda karna hai

raushnī bhī nahīñ havā bhī nahīñ

maañ nemul-badal ḳhudā bhī nahīñ

raushni bhi nahin hawa bhi nahin

man ka nemul-badal KHuda bhi nahin

mujhe pata hai ki barbād ho chukā huuñ maiñ

merā sog manā mujh ko sogvār na kar

mujhe pata hai ki barbaad ho chuka hun main

tu mera sog mana mujh ko sogwar na kar

uThā.e phirtā rahā maiñ bahut mohabbat ko

phir ek din yūñhī sochā ye kyā musībat hai

uThae phirta raha main bahut mohabbat ko

phir ek din yunhi socha ye kya musibat hai

chal to saktā thā maiñ bhī paanī par

maiñ ne dariyā ehtirām kiyā

chal to sakta tha main bhi pani par

main ne dariya ka ehtiram kiya

kis shafqat meñ guñdhe hue maulā maañ baap diye

kaisī pyārī rūhoñ ko merī aulād kiyā

kis shafqat mein gundhe hue maula man bap diye

kaisi pyari ruhon ko meri aulad kiya

mire sabr andāza lagā saktā hai

terī sohbat meñ tirā hijr guzārā hai miyāñ

tu mere sabr ka andaza laga sakta hai

teri sohbat mein tera hijr guzara hai miyan

ek be-nām udāsī se bharā baiThā huuñ

aaj dil khol ke rone zarūrat hai mujhe

ek be-nam udasi se bhara baiTha hun

aaj dil khol ke rone ki zarurat hai mujhe

mujh se ḳhālī hai merā ā.īna

āñ.suoñ se bharā huā huuñ maiñ

mujh se KHali hai mera aaina

aansuon se bhara hua hun main

maiñ chīḳhtā rahā kuchh aur bhī hai merā ilaaj

magar ye log tumhārā naam lete rahe

main chiKHta raha kuchh aur bhi hai mera ilaj

magar ye log tumhaara hi nam lete rahe

maiñ jis charāġh se baiThā thā lau lagā.e hue

pata chalā vo andhere meñ rakh rahā thā mujhe

main jis charagh se baiTha tha lau lagae hue

pata chala wo andhere mein rakh raha tha mujhe

bas andhere ne rañg badlā hai

din nahīñ hai safed raat hai ye

bas andhere ne rang badla hai

din nahin hai safed raat hai ye

kis ne ābād kiyā hai mirī vīrānī ko

ishq ne? ishq to bīmār paḌā hai mujh meñ

kis ne aabaad kiya hai meri virani ko

ishq ne? ishq to bimar paDa hai mujh mein

us ḳhudā talāsh hai 'anjum'

jo ḳhudā ho ke aadmī lage

us KHuda ki talash hai 'anjum'

jo KHuda ho ke aadmi sa lage

ek din merī ḳhāmushī ne mujhe

lafz oT se ishāra kiyā

ek din meri KHamushi ne mujhe

lafz ki oT se ishaara kiya

vo ik din jaane kis ko yaad kar ke

mire siine se lag ke ro paḌā thā

wo ek din jaane kis ko yaad kar ke

mere sine se lag ke ro paDa tha

itnā tarsāyā gayā mujh ko mohabbat se ki ab

ik mohabbat pe qanā.at nahīñ kar saktā maiñ

itna tarsaya gaya mujh ko mohabbat se ki ab

ek mohabbat pe qanaat nahin kar sakta main

kar rahā huuñ tujhe ḳhushī se basar

zindagī tujh se daad chāhtā huuñ

kar raha hun tujhe KHushi se basar

zindagi tujh se dad chahta hun

tere andar udāsī ke mushābah huuñ maiñ

ḳhāl-o-ḳhad se nahīñ āvāz se pahchān mujhe

tere andar ki udasi ke mushabah hun main

KHal-o-KHad se nahin aawaz se pahchan mujhe

udāsī khīñch laa.ī hai yahāñ tak

maiñ aañsū thā samundar meñ paḌā huuñ

udasi khinch lai hai yahan tak

main aansu tha samundar mein paDa hun

maiñ andhere meñ huuñ magar mujh meñ

raushnī ne jagah banā hai

main andhere mein hun magar mujh mein

raushni ne jagah bana li hai

haañ zamāne nahīñ apnī to sun saktā thā

kaash ḳhud ko kabhī baiTh ke samjhātā maiñ

han zamane ki nahin apni to sun sakta tha

kash KHud ko hi kabhi baiTh ke samjhata main

sabhī darvāze khule haiñ mirī tanhā.ī ke

saarī duniyā ko mayassar hai rifāqat merī

sabhi darwaze khule hain meri tanhai ke

sari duniya ko mayassar hai rifaqat meri

merī miTTī se bahut ḳhush haiñ mire kūza-gar

vaisā ban jaatā huuñ maiñ jaisā banāte haiñ mujhe

meri miTTi se bahut KHush hain mere kuza-gar

waisa ban jata hun main jaisa banate hain mujhe

kaisī hotī haiñ udāsī jaḌeñ

aa dikhā.ūñ tujhe dil ke reshe

kaisi hoti hain udasi ki jaDen

aa dikhaun tujhe dil ke reshe

maiñ ek ek tamannā se pūchh baiThā huuñ

mujhe yaqīñ nahīñ aatā ki merā sab hai

main ek ek tamanna se puchh baiTha hun

mujhe yaqin nahin aata ki mera sab hai tu

patthar meñ kaun joñk lagā.egā mere dost

dil hai to mubtalā bhī kahīñ honā chāhiye

patthar mein kaun jonk lagaega mere dost

dil hai to mubtala bhi kahin hona chahiye

aisī kyā biit ga.ī mujh pe ki jis ke baa.is

āb-dīda haiñ mire hañsne hañsāne vaale

aisi kya bit gai mujh pe ki jis ke bais

aab-dida hain mere hansne hansane wale

ek ta.abīr sūrat nazar aa.ī hai idhar

so uThā laayā huuñ sab ḳhvāb purāne vaale

ek tabir ki surat nazar aai hai idhar

so uTha laya hun sab KHwab purane wale

maiñ ḳhud se mil ke kabhī saaf saaf kah dūñgā

mujhe pasand nahīñ hai mudāḳhalat apnī

main KHud se mil ke kabhi saf saf kah dunga

mujhe pasand nahin hai mudaKHalat apni

kaho havā se ki itnī charāġh-pā na phire

maiñ ḳhud apne diye ko bujhāne vaalā huuñ

kaho hawa se ki itni charagh-pa na phire

main KHud hi apne diye ko bujhane wala hun

tujh se ye kaisā ta.alluq hai jise jab chāhūñ

ḳhatm kar detā huuñ āġhāz bhī kar letā huuñ

tujh se ye kaisa talluq hai jise jab chahun

KHatm kar deta hun aaghaz bhi kar leta hun

purānā zahr na.e naam se milā hai mujhe

vo āstīn nahīñ keñchulī badal rahā thā

purana zahr nae nam se mila hai mujhe

wo aastin nahin kenchuli badal raha tha

jab ḳhudā bhī nahīñ thā saath mare

mujh pe biitī hai aisī tanhā.ī

jab KHuda bhi nahin tha sath mare

mujh pe biti hai aisi tanhai

ḳhvāb sharminda-e-visāl huā

hijr meñ niiñd aa ga.ī thī mujhe

KHwab sharminda-e-visal hua

hijr mein nind aa gai thi mujhe

apnī tasdīq mujhe terī gavāhī se huī

kahāñ se mire hone ḳhabar laayā hai

apni tasdiq mujhe teri gawahi se hui

tu kahan se mere hone ki KHabar laya hai

kahne sunñe ke liye aur bachā kyā hai

so mire dost ijāzat mujhe ruḳhsat kiyā jaa.e

kahne sunne ke liye aur bacha hi kya hai

so mere dost ijazat mujhe ruKHsat kiya jae

khulī huī hai jo koī āsān raah mujh par

maiñ us se haT ke ik aur rasta banā rahā huuñ

khuli hui hai jo koi aasan rah mujh par

main us se haT ke ek aur rasta bana raha hun

ishq farmā liyā to sochtā huuñ

kyā musībat paḌī huī thī mujhe

ishq farma liya to sochta hun

kya musibat paDi hui thi mujhe

Thiik se yaad bhī nahīñ ab to

ishq ne mujh meñ kab qayām kiyā

Thik se yaad bhi nahin ab to

ishq ne mujh mein kab qayam kiya

barham haiñ mujh pe is liye donoñ taraf ke log

dīvār uTh ga.ī thī to dar kyuuñ banāyā hai

barham hain mujh pe is liye donon taraf ke log

diwar uTh gai thi to dar kyun banaya hai

bujhne de sab diye mujhe tanhā.ī chāhiye

kuchh der ke liye mujhe tanhā.ī chāhiye

bujhne de sab diye mujhe tanhai chahiye

kuchh der ke liye mujhe tanhai chahiye

dosto mere liye koī bhī afsurda na ho

ḳhush-dilī se dam-e-ruḳhsat mujhe ruḳhsat kiyā jaa.e

dosto mere liye koi bhi afsurda na ho

KHush-dili se dam-e-ruKHsat mujhe ruKHsat kiya jae

kisī tarah se nazar mutma.in nahīñ hotī

har ek shai ko dobāra badal ke dekhtā huuñ

kisi tarah se nazar mutmain nahin hoti

har ek shai ko dobara badal ke dekhta hun

maiñ aaj ḳhud se mulāqāt karne vaalā huuñ

jahāñ meñ koī bhī mere sivā na rah jaa.e

main aaj KHud se mulaqat karne wala hun

jahan mein koi bhi mere siwa na rah jae

aage bichhī paḌī rahīñ us ke badan nemateñ

us ne bahut kahā magar maiñ ne use chakhā nahīñ

aage bichhi paDi rahin us ke badan ki nematen

us ne bahut kaha magar main ne use chakha nahin

dard se bhartā rahā zaat ke ḳhālī-pan ko

thoḌā thoḌā yūñhī bharpūr kiyā maiñ ne mujhe

dard se bharta raha zat ke KHali-pan ko

thoDa thoDa yunhi bharpur kiya main ne mujhe

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now