Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Sher on Be-khudi

ik sitam ye ke hameñ vasl meñ aayā na sukūñ

ik sitam ye ke tire hijr bhī dekhe na ga.e

ek sitam ye ke hamein wasl mein aaya na sukun

ek sitam ye ke tere hijr bhi dekhe na gae

Nivesh Sahu

koī ulfat talab nahīñ tum se

ādatan dil hamārā bekal hai

koi ulfat talab nahin tum se

aadatan dil hamara bekal hai

Saqib Humraaz

maiñ lā-'ilāj ho gayā huuñ yuuñ pata chalā

ik din binā batā.e davā rok dī ga.ī

main la-'ilaj ho gaya hun yun pata chala

ek din bina batae dawa rok di gai

Umair Najmi

ye be-ḳhudī-e-nazar hai ki intihā.ī talab

tire hī saath liye terā intizār chale

ye be-KHudi-e-nazar hai ki intihai talab

tere hi sath liye tera intizar chale

Iqbal Safipuri

karvaT badal lī donoñ ne ik ḳhāmushī ke baad

maiñ ro paḌā aur us ko udhar niiñd aa ga.ī

karwaT badal li donon ne ek KHamushi ke baad

main ro paDa aur us ko udhar nind aa gai

Balmohan panday

ga.e the un se tark-e-ishq karne

nazar haT hī na paa.ī is nazar se

gae the un se tark-e-ishq karne

nazar haT hi na pai is nazar se

Balmohan panday
Speak Now