Sher on Izhaar
How do we express ourselves?
There are indeed many ways to do that. These may be verbal or even gestural. Lovers express themselves in mysterious ways than others and poets express them more creatively than we may imagine. Expressions may be hesitant or instant but all expressions have their own significance. Here are some examples.
sab kuchh ham un se kah ga.e lekin ye ittifāq
kahne kī thī jo baat vahī dil meñ rah ga.ī
sab kuchh hum un se kah gae lekin ye ittifaq
kahne ki thi jo baat wahi dil mein rah gai
maiñ ne pūchhā thā ki iz.hār nahīñ ho saktā
dil pukārā ki ḳhabar-dār nahīñ ho saktā
main ne puchha tha ki izhaar nahin ho sakta
dil pukara ki KHabar-dar nahin ho sakta
iz.hār-e-hāl kā bhī zarīya nahīñ rahā
dil itnā jal gayā hai ki āñkhoñ meñ nam nahīñ
izhaar-e-haal ka bhi zariya nahin raha
dil itna jal gaya hai ki aankhon mein nam nahin
-
Tag : Dil
hāl-e-dil sunte nahīñ ye kah ke ḳhush kar dete haiñ
phir kabhī fursat meñ sun leñge kahānī aap kī
haal-e-dil sunte nahin ye kah ke KHush kar dete hain
phir kabhi fursat mein sun lenge kahani aap ki
pursish-e-hāl bhī itnī ki maiñ kuchh kah na sakūñ
is takalluf se karam ho to sitam hotā hai
pursish-e-haal bhi itni ki main kuchh kah na sakun
is takalluf se karam ho to sitam hota hai
kiije iz.hār-e-mohabbat chāhe jo anjām ho
zindagī meñ zindagī jaisā koī to kaam ho
kije izhaar-e-mohabbat chahe jo anjam ho
zindagi mein zindagi jaisa koi to kaam ho
hāl-e-dil yaar ko mahfil meñ sunā.eñ kyūñ-kar
mudda.ī kaan idhar aur udhar rakhte haiñ
haal-e-dil yar ko mahfil mein sunaen kyun-kar
muddai kan idhar aur udhar rakhte hain
achchhī-ḳhāsī dostī thī yaar ham donoñ ke biich
ek din phir us ne iz.hār-e-mohabbat kar diyā
achchhi-KHasi dosti thi yar hum donon ke bich
ek din phir us ne izhaar-e-mohabbat kar diya
mujh se nafrat hai agar us ko to iz.hār kare
kab maiñ kahtā huuñ mujhe pyaar hī kartā jaa.e
mujh se nafrat hai agar us ko to izhaar kare
kab main kahta hun mujhe pyar hi karta jae
-
Tag : Sad
dil pe kuchh aur guzartī hai magar kyā kiije
lafz kuchh aur hī iz.hār kiye jaate haiñ
dil pe kuchh aur guzarti hai magar kya kije
lafz kuchh aur hi izhaar kiye jate hain
-
Tag : Dil
hāl-e-dil kyuuñ kar kareñ apnā bayāñ achchhī tarah
rū-ba-rū un ke nahīñ chaltī zabāñ achchhī tarah
haal-e-dil kyun kar karen apna bayan achchhi tarah
ru-ba-ru un ke nahin chalti zaban achchhi tarah
kis se iz.hār-e-mudda.ā kiije
aap milte nahīñ haiñ kyā kiije
kis se izhaar-e-muddaa kije
aap milte nahin hain kya kije
iz.hār-e-ishq us se na karnā thā 'sheftā'
ye kyā kiyā ki dost ko dushman banā diyā
izhaar-e-ishq us se na karna tha 'shefta'
ye kya kiya ki dost ko dushman bana diya
kyuuñ na 'tanvīr' phir iz.hār kī jur.at kiije
ḳhāmushī bhī to yahāñ bā.is-e-rusvā.ī hai
kyun na 'tanwir' phir izhaar ki jurat kije
KHamushi bhi to yahan bais-e-ruswai hai
mujhe ab tum se Dar lagne lagā hai
tumheñ mujh se mohabbat ho ga.ī kyā
mujhe ab tum se Dar lagne laga hai
tumhein mujh se mohabbat ho gai kya
-
Tags : Ishqand 1 more
tū ne jis baat ko iz.hār-e-mohabbat samjhā
baat karne ko bas ik baat rakhī thī ham ne
tu ne jis baat ko izhaar-e-mohabbat samjha
baat karne ko bas ek baat rakhi thi hum ne
mudda.ā iz.hār se khultā nahīñ hai
ye zabān-e-be-zabānī aur hai
muddaa izhaar se khulta nahin hai
ye zaban-e-be-zabani aur hai
muskurā.e vo hāl-e-dil sun kar
aur goyā javāb thā hī nahīñ
muskurae wo haal-e-dil sun kar
aur goya jawab tha hi nahin
dil sabhī kuchh zabān par laayā
ik faqat arz-e-mudda.ā ke sivā
dil sabhi kuchh zaban par laya
ek faqat arz-e-muddaa ke siwa
apnī saarī kāvishoñ ko rā.egāñ maiñ ne kiyā
mere andar jo na thā us ko bayāñ maiñ ne kiyā
apni sari kawishon ko raegan main ne kiya
mere andar jo na tha us ko bayan main ne kiya
ek din kah lījiye jo kuchh hai dil meñ aap ke
ek din sun lījiye jo kuchh hamāre dil meñ hai
ek din kah lijiye jo kuchh hai dil mein aap ke
ek din sun lijiye jo kuchh hamare dil mein hai
haa.e iz.hār kar ke pachhtā.e
us ko ik dost kī zarūrat thī
hae izhaar kar ke pachhtae
us ko ek dost ki zarurat thi
ye kahnā thā un se mohabbat hai mujh ko
ye kahne meñ mujh ko zamāne lage haiñ
ye kahna tha un se mohabbat hai mujh ko
ye kahne mein mujh ko zamane lage hain
-
Tags : Ishqand 1 more
zabāñ ḳhāmosh magar nazroñ meñ ujālā dekhā
us kā iz.hār-e-mohabbat bhī nirālā dekhā
zaban KHamosh magar nazron mein ujala dekha
us ka izhaar-e-mohabbat bhi nirala dekha
shā.irī ko mirā iz.hār samajhtā hai magar
parda-e-sher uThānā bhī nahīñ chāhtā hai
shairi ko mera izhaar samajhta hai magar
parda-e-sher uThana bhi nahin chahta hai
siine se dil nikāl ke hāthoñ pe rakh diyā
maiñ ne to bas kahā thā ki dhaḌkan kā shor hai
sine se dil nikal ke hathon pe rakh diya
main ne to bas kaha tha ki dhaDkan ka shor hai
-
Tag : Valentine's Day
koī milā hī nahīñ jis se hāl-e-dil kahte
milā to rah ga.e lafzoñ ke intiḳhāb meñ ham
koi mila hi nahin jis se haal-e-dil kahte
mila to rah gae lafzon ke intiKHab mein hum
ishq hai to ishq kā iz.hār honā chāhiye
aap ko chehre se bhī bīmār honā chāhiye
ishq hai to ishq ka izhaar hona chahiye
aap ko chehre se bhi bimar hona chahiye
-
Tags : Chehraand 1 more
ishq ke iz.hār meñ har-chand rusvā.ī to hai
par karūñ kyā ab tabī.at aap par aa.ī to hai
ishq ke izhaar mein har-chand ruswai to hai
par karun kya ab tabiat aap par aai to hai
kyā balā thī adā-e-pursish-e-yār
mujh se iz.hār-e-mudda.ā na huā
kya bala thi ada-e-pursish-e-yar
mujh se izhaar-e-muddaa na hua
tujh se kis tarah maiñ iz.hār-e-tamannā kartā
lafz sūjhā to ma.ānī ne baġhāvat kar dī
tujh se kis tarah main izhaar-e-tamanna karta
lafz sujha to maani ne baghawat kar di
iz.hār pe bhārī hai ḳhamoshī kā takallum
harfoñ kī zabāñ aur hai āñkhoñ kī zabāñ aur
izhaar pe bhaari hai KHamoshi ka takallum
harfon ki zaban aur hai aankhon ki zaban aur
aur is se pahle ki sābit ho jurm-e-ḳhāmoshī
ham apnī raa.e kā iz.hār karnā chāhte haiñ
aur is se pahle ki sabit ho jurm-e-KHamoshi
hum apni rae ka izhaar karna chahte hain