aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Sher on Eid

Eid is a day of traditional

festivity. For lovers, however, Eid has a different connotation. Meeting or even seeing the beloved is his or her Eid. There are many more interesting facets of this day. You may have a look and enjoy yourself.

eid chāñd tum ne dekh liyā

chāñd eid ho ga.ī hogī

eid ka chand tum ne dekh liya

chand ki eid ho gai hogi

Idris Azad

eid din hai gale aaj to mil le zālim

rasm-e-duniyā bhī hai mauqa.a bhī hai dastūr bhī hai

eid ka din hai gale aaj to mil le zalim

rasm-e-duniya bhi hai mauqa bhi hai dastur bhi hai

Qamar Badayuni

tujh ko merī na mujhe terī ḳhabar jā.egī

eid ab ke bhī dabe paañv guzar jā.egī

tujh ko meri na mujhe teri KHabar jaegi

eid ab ke bhi dabe panw guzar jaegi

Zafar Iqbal

eid aa.ī tum na aa.e kyā mazā hai eid

eid to naam hai ik dūsre diid

eid aai tum na aae kya maza hai eid ka

eid hi to nam hai ek dusre ki did ka

Unknown

ham ne tujhe dekhā nahīñ kyā eid manā.eñ

jis ne tujhe dekhā ho use eid mubārak

hum ne tujhe dekha nahin kya eid manaen

jis ne tujhe dekha ho use eid mubarak

Liyaqat Ali Aasim

mil ke hotī thī kabhī eid bhī dīvālī bhī

ab ye hālat hai ki Dar Dar ke gale milte haiñ

mil ke hoti thi kabhi eid bhi diwali bhi

ab ye haalat hai ki Dar Dar ke gale milte hain

Unknown

jis taraf hai udhar hoñgī sabhī nazreñ

iid ke chāñd dīdār bahāna sahī

jis taraf tu hai udhar hongi sabhi ki nazren

id ke chand ka didar bahana hi sahi

Amjad Islam Amjad

falak pe chāñd sitāre nikalte haiñ har shab

sitam yahī hai nikaltā nahīñ hamārā chāñd

falak pe chand sitare nikalte hain har shab

sitam yahi hai nikalta nahin hamara chand

Pandit Jawahar Nath Saqi

dekhā hilāl-e-eid to aayā terā ḳhayāl

vo āsmāñ chāñd hai merā chāñd hai

dekha hilal-e-eid to aaya tera KHayal

wo aasman ka chand hai tu mera chand hai

Unknown

kahte haiñ eid hai aaj apnī bhī eid hotī

ham ko agar mayassar jānāñ diid hotī

kahte hain eid hai aaj apni bhi eid hoti

hum ko agar mayassar jaanan ki did hoti

Ghulam Bhik Nairang

ai havā use eid-mubārak kahiyo

aur kahiyo ki koī yaad kiyā kartā hai

ai hawa tu hi use eid-mubarak kahiyo

aur kahiyo ki koi yaad kiya karta hai

Tripurari

us se milnā to use eid-mubārak kahnā

ye bhī kahnā ki mirī eid mubārak kar de

us se milna to use eid-mubarak kahna

ye bhi kahna ki meri eid mubarak kar de

Dilawar Ali Aazar

jo log guzarte haiñ musalsal rah-e-dil se

din eid un ko ho mubārak tah-e-dil se

jo log guzarte hain musalsal rah-e-dil se

din eid ka un ko ho mubarak tah-e-dil se

Obaid Azam Azmi

eid din hai so kamre meñ paḌā huuñ 'aslam'

apne darvāze ko bāhar se muqaffal kar ke

eid ka din hai so kamre mein paDa hun 'aslam'

apne darwaze ko bahar se muqaffal kar ke

Aslam Kolsarii

eid ab ke bhī ga.ī yūñhī kisī ne na kahā

ki tire yaar ko ham tujh se milā dete haiñ

eid ab ke bhi gai yunhi kisi ne na kaha

ki tere yar ko hum tujh se mila dete hain

Mushafi Ghulam Hamdani

māh-e-nau dekhne tum chhat pe na jaanā hargiz

shahr meñ eid tārīḳh badal jā.egī

mah-e-nau dekhne tum chhat pe na jaana hargiz

shahr mein eid ki tariKH badal jaegi

Jaleel nizami

iid ke ba.ad vo milne ke liye aa.e haiñ

iid chāñd nazar aane lagā iid ke ba.ad

id ke baad wo milne ke liye aae hain

id ka chand nazar aane laga id ke baad

Unknown

us mehrbāñ nazar ināyat shukriya

tohfa diyā hai eid pe ham ko judā.ī

us mehrban nazar ki inayat ka shukriya

tohfa diya hai eid pe hum ko judai ka

Unknown

va.adoñ pe har roz mirī jaan na Taalo

hai eid din ab to gale ham ko lagā lo

wadon hi pe har roz meri jaan na Talo

hai eid ka din ab to gale hum ko laga lo

Mushafi Ghulam Hamdani

eid aa ke mire ko jalāve afsos

jis ke aane ḳhushī ho vo na aave afsos

eid tu aa ke mere ji ko jalawe afsos

jis ke aane ki KHushi ho wo na aawe afsos

Mushafi Ghulam Hamdani

shahr ḳhālī hai kise eid mubārak kahiye

chal diye chhoḌ ke makka bhī madīna vaale

shahr KHali hai kise eid mubarak kahiye

chal diye chhoD ke makka bhi madina wale

Akhtar Usman

hai eid din aaj to lag jaao gale se

jaate ho kahāñ jaan mirī aa ke muqābil

hai eid ka din aaj to lag jao gale se

jate ho kahan jaan meri aa ke muqabil

Mushafi Ghulam Hamdani

aaj yāroñ ko mubārak ho ki sub.h-e-eid hai

raag hai mai hai chaman hai dilrubā hai diid hai

aaj yaron ko mubarak ho ki subh-e-eid hai

rag hai mai hai chaman hai dilruba hai did hai

Abroo Shah Mubarak

iid din to hai magar 'ja.afar'

maiñ akele to hañs nahīñ saktā

id ka din to hai magar 'jafar'

main akele to hans nahin sakta

Jafar Sahni

hāsil us mah-laqā diid nahīñ

eid hai aur ham ko eid nahīñ

hasil us mah-laqa ki did nahin

eid hai aur hum ko eid nahin

Bekhud Badayuni

aa.e to mujh ko bhī

iid chāñd dikhā.ī de

tu aae to mujh ko bhi

id ka chand dikhai de

Harbans Singh Tasavvur

mahak uThī hai fazā pairahan ḳhushbū se

chaman diloñ khilāne ko eid aa.ī hai

mahak uThi hai faza pairahan ki KHushbu se

chaman dilon ka khilane ko eid aai hai

Mohammad Asadullah

aa.ī eid va dil meñ nahīñ kuchh havā-e-eid

ai kaash mere paas aatā bajā.e eid

aai eid wa dil mein nahin kuchh hawa-e-eid

ai kash mere pas tu aata bajae eid

Shaikh Zahuruddin Hatim

abrū ishāra kiyā tum ne to huī iid

ai jaan yahī hai mah-e-shavval hamārā

abru ka ishaara kiya tum ne to hui id

ai jaan yahi hai mah-e-shawwal hamara

Hatim Ali Mehr

iid din hai gale mil liije

iḳhtilāfāt haTā kar rakhiye

id ka din hai gale mil lije

iKHtilafat haTa kar rakhiye

Abdul Salam Bengluri

eid chāñd jo dekhā to tamannā lipTī

un se taqrīb-e-mulāqāt rishta niklā

eid ka chand jo dekha to tamanna lipTi

un se taqrib-e-mulaqat ka rishta nikla

Rahmat Qarni

kisī yaad manāne meñ iid guzregī

so shahr-e-dil meñ bahut duur tak udāsī hai

kisi ki yaad manane mein id guzregi

so shahr-e-dil mein bahut dur tak udasi hai

Ishaq Virdag

iid meñ iid huī aish sāmāñ dekhā

dekh kar chāñd jo muñh aap ai jaañ dekhā

id mein id hui aish ka saman dekha

dekh kar chand jo munh aap ka ai jaan dekha

Shad Azimabadi

eid ko bhī vo nahīñ milte haiñ mujh se na mileñ

ik baras din mulāqāt hai ye bhī na sahī

eid ko bhi wo nahin milte hain mujh se na milen

ek baras din ki mulaqat hai ye bhi na sahi

Shola Aligarhi

hai eid mai-kade ko chalo dekhtā hai kaun

shahd o shakar pe TuuT paḌe roza-dār aaj

hai eid mai-kade ko chalo dekhta hai kaun

shahd o shakar pe TuT paDe roza-dar aaj

Syed Yusuf Ali Khan Nazim

vahāñ iid kyā vahāñ diid kyā

jahāñ chāñd raat na aa.ī ho

wahan id kya wahan did kya

jahan chand raat na aai ho

Shariq Kaifi

jahāñ na apne azīzoñ diid hotī hai

zamīn-e-hijr pe bhī koī iid hotī hai

jahan na apne azizon ki did hoti hai

zamin-e-hijr pe bhi koi id hoti hai

Ain Tabish

ka.ī fāqoñ meñ eid aa.ī hai

aaj ho to jaan ham-āġhosh

kai faqon mein eid aai hai

aaj tu ho to jaan ham-aghosh

Taban Abdul Hai

agar hayāt hai dekheñge ek din dīdār

ki māh-e-eid bhī āḳhir hai in mahīnoñ meñ

agar hayat hai dekhenge ek din didar

ki mah-e-eid bhi aaKHir hai in mahinon mein

Mirza Raza Barq

ishq-e-mizhgāñ meñ hazāroñ ne gale kaTvā.e

īd-e-qurbāñ meñ jo vo le ke chhurī baiTh gayā

ishq-e-mizhgan mein hazaron ne gale kaTwae

id-e-qurban mein jo wo le ke chhuri baiTh gaya

Shad Lakhnavi

bādbāñ naaz se lahrā ke chalī bād-e-murād

kārvāñ eid manā qāfila-sālār aayā

baadban naz se lahra ke chali baad-e-murad

karwan eid mana qafila-salar aaya

Josh Malihabadi

ḳhushī hai sab ko roz-e-eid yaañ

hue haiñ mil ke bāham āshnā ḳhush

KHushi hai sab ko roz-e-eid ki yan

hue hain mil ke baham aashna KHush

Meer Mohammadi Bedar

shaam ke saa.e bālishtoñ se naape haiñ

chāñd ne kitnī der lagā aane meñ

sham ke sae baalishton se nape hain

chand ne kitni der laga di aane mein

Gulzar

kuchh der us ne dekh liyā chāñd taraf

kuchh der aaj chāñd ko itrānā chāhiye

kuchh der us ne dekh liya chand ki taraf

kuchh der aaj chand ko itrana chahiye

aqeel nomani

rahnā pal pal dhyān meñ

milnā iid ke iid meñ

rahna pal pal dhyan mein

milna id ke id mein

Hasan Shahnawaz Zaidi

merī to por por meñ ḳhushbū bas ga.ī

us par tirā ḳhayāl hai aur chāñd-rāt hai

meri to por por mein KHushbu si bas gai

us par tera KHayal hai aur chand-raat hai

Wasi Shah

chhup gayā eid chāñd nikal kar der huī par jaane kyoñ

nazreñ ab tak Tikī huī haiñ masjid ke mīnāroñ par

chhup gaya eid ka chand nikal kar der hui par jaane kyon

nazren ab tak Tiki hui hain masjid ke minaron par

Shayar Jamali

chheḌā hai ek naġhma-e-shīrīñ bhī kū-ba-kū

dil ne hilāl-e-īd tā.īd ke liye

chheDa hai ek naghma-e-shirin bhi ku-ba-ku

dil ne hilal-e-id ki taid ke liye

Afroz Rizvi

mah-jabīñ iid meñ añgusht-numā kyuuñ na raheñ

iid chāñd añgusht-numā hotā hai

mah-jabin id mein angusht-numa kyun na rahen

id ka chand hi angusht-numa hota hai

Safi Aurangabadi

maiñ apne aap se rahtā huuñ duur eid ke din

ik ajnabī takalluf na.e libās meñ hai

main apne aap se rahta hun dur eid ke din

ek ajnabi sa takalluf nae libas mein hai

Idris Azad

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now