Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Iqbal Azeem's Photo'

Iqbal Azeem

1913 - 2000 | Karachi, Pakistan

Sher of Iqbal Azeem

12.5K
Favorite

SORT BY

jhuk kar salām karne meñ kyā harj hai magar

sar itnā mat jhukāo ki dastār gir paḌe

jhuk kar salam karne mein kya harj hai magar

sar itna mat jhukao ki dastar gir paDe

aadmī jaan ke khātā hai mohabbat meñ fareb

ḳhud-farebī mohabbat sila ho jaise

aadmi jaan ke khata hai mohabbat mein fareb

KHud-farebi hi mohabbat ka sila ho jaise

yuuñ sar-e-rāh mulāqāt huī hai aksar

us ne dekhā bhī nahīñ ham ne pukārā bhī nahīñ

yun sar-e-rah mulaqat hui hai aksar

us ne dekha bhi nahin hum ne pukara bhi nahin

ham bahut duur nikal aa.e haiñ chalte chalte

ab Thahar jaa.eñ kahīñ shaam ke Dhalte Dhalte

hum bahut dur nikal aae hain chalte chalte

ab Thahar jaen kahin sham ke Dhalte Dhalte

qātil ne kis safā.ī se dhoī hai āstīñ

us ko ḳhabar nahīñ ki lahū boltā bhī hai

qatil ne kis safai se dhoi hai aastin

us ko KHabar nahin ki lahu bolta bhi hai

apnī miTTī pe chalne salīqa sīkho

sañg-e-marmar pe chaloge to phisal jāoge

apni miTTi hi pe chalne ka saliqa sikho

sang-e-marmar pe chaloge to phisal jaoge

bārhā un se na milne qasam khātā huuñ maiñ

aur phir ye baat qasdan bhuul bhī jaatā huuñ maiñ

barha un se na milne ki qasam khata hun main

aur phir ye baat qasdan bhul bhi jata hun main

ab ham bhī sochte haiñ ki bāzār garm hai

apnā zamīr bech ke duniyā ḳharīd leñ

ab hum bhi sochte hain ki bazar garm hai

apna zamir bech ke duniya KHarid len

jab ghar aag bujhī to kuchh sāmān bachā thā jalne se

so vo bhī un ke haath lagā jo aag bujhāne aa.e the

jab ghar ki aag bujhi to kuchh saman bacha tha jalne se

so wo bhi un ke hath laga jo aag bujhane aae the

zamāna dekhā hai ham ne hamārī qadr karo

ham apnī āñkhoñ meñ duniyā basā.e baiThe haiñ

zamana dekha hai hum ne hamari qadr karo

hum apni aankhon mein duniya basae baiThe hain

junūñ ko hosh kahāñ ehtimām-e-ġhārat

fasād jo bhī jahāñ meñ huā ḳhirad se huā

junun ko hosh kahan ehtimam-e-ghaarat ka

fasad jo bhi jahan mein hua KHirad se hua

safar pe nikle haiñ ham puure ehtimām ke saath

ham apne ghar se kafan saath le ke aa.e haiñ

safar pe nikle hain hum pure ehtimam ke sath

hum apne ghar se kafan sath le ke aae hain

kuchh aise zaḳhm bhī dar-parda ham ne khaa.e haiñ

jo ham ne apne rafīqoñ se bhī chhupā.e haiñ

kuchh aise zaKHm bhi dar-parda hum ne khae hain

jo hum ne apne rafiqon se bhi chhupae hain

is jashn-e-charāġhāñ se to behtar the añdhere

in jhūTe charāġhoñ ko bujhā kyuuñ nahīñ dete

is jashn-e-charaghan se to behtar the andhere

in jhuTe charaghon ko bujha kyun nahin dete

raushnī mujh se gurezāñ hai to shikva bhī nahīñ

mere ġham-ḳhāne meñ kuchh aisā añdherā bhī nahīñ

raushni mujh se gurezan hai to shikwa bhi nahin

mere gham-KHane mein kuchh aisa andhera bhi nahin

jis meñ na koī rañg na āhañg na ḳhushbū

tum aise gulistāñ ko jalā kyuuñ nahīñ dete

jis mein na koi rang na aahang na KHushbu

tum aise gulistan ko jala kyun nahin dete

manzil to ḳhush-nasīboñ meñ taqsīm ho chukī

kuchh ḳhush-ḳhayāl log abhī tak safar meñ haiñ

manzil to KHush-nasibon mein taqsim ho chuki

kuchh KHush-KHayal log abhi tak safar mein hain

haath phailā.ūñ maiñ īsā-nafasoñ ke aage

dard pahlū meñ mire hai magar itnā bhī nahīñ

hath phailaun main isa-nafason ke aage

dard pahlu mein mere hai magar itna bhi nahin

ai ahl-e-vafā dād-e-jafā kyuuñ nahīñ dete

so.e hue zaḳhmoñ ko jagā kyuuñ nahīñ dete

ai ahl-e-wafa dad-e-jafa kyun nahin dete

soe hue zaKHmon ko jaga kyun nahin dete

mire jurm-e-vafā faisla kuchh is tarah hogā

sazā hukm faurī aur samā.at sarsarī hogī

mere jurm-e-wafa ka faisla kuchh is tarah hoga

saza ka hukm fauri aur samaat sarsari hogi

be-niyāzāna guzar jaa.e guzarne vaalā

mere pindār ko ab shauq-e-tamāshā bhī nahīñ

be-niyazana guzar jae guzarne wala

mere pindar ko ab shauq-e-tamasha bhi nahin

pursish-e-hāl fursat tumheñ mumkin hai na ho

pursish-e-hāl tabī.at ko gavārā bhī nahīñ

pursish-e-haal ki fursat tumhein mumkin hai na ho

pursish-e-haal tabiat ko gawara bhi nahin

haq-e-tanqīd tumheñ hai magar is shart ke saath

jā.eza lete raho apne garebānoñ

haq-e-tanqid tumhein hai magar is shart ke sath

jaeza lete raho apne garebanon ka

bil-ehtimām zulm tajdīd ga.ī

aur ham ko sabr-o-zabt tākīd ga.ī

bil-ehtimam zulm ki tajdid ki gai

aur hum ko sabr-o-zabt ki takid ki gai

zabāñ ḳhāmosh māthe par shikan āñkhoñ meñ afsāne

koī samjhā.e kyā kahte haiñ is tarz-e-takallum ko

zaban KHamosh mathe par shikan aankhon mein afsane

koi samjhae kya kahte hain is tarz-e-takallum ko

guftugū nazr-e-ehtiyāt huī

qabl is ke ki ibtidā karte

guftugu nazr-e-ehtiyat hui

qabl is ke ki ibtida karte

azāb-e-mauj-o-talātum mujhe qubūl magar

ḳhudā bachā.e azāb-e-fareb-e-sāhil se

azab-e-mauj-o-talatum mujhe qubul magar

KHuda bachae azab-e-fareb-e-sahil se

kināre bhī mumid hote haiñ tashkīl-e-talātum meñ

vo ḳhvābīda nazar aate haiñ ḳhvābīda nahīñ hote

kinare bhi mumid hote hain tashkil-e-talatum mein

wo KHwabida nazar aate hain KHwabida nahin hote

koī rauzan zindāñ meñ nahīñ hai

chalo fursat milī fikr-e-sahar se

koi rauzan hi zindan mein nahin hai

chalo fursat mili fikr-e-sahar se

haath phailā.ūñ maiñ īsā-nafasoñ ke aage

dard pahlū meñ mire hai magar itnā bhī nahīñ

hath phailaun main isa-nafason ke aage

dard pahlu mein mere hai magar itna bhi nahin

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now