Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Riyaz Khairabadi's Photo'

Riyaz Khairabadi

1853 - 1934 | Khairabad, India

Well-known poet known for his poetry on wine, though he is said to have never touched wine.

Well-known poet known for his poetry on wine, though he is said to have never touched wine.

Sher of Riyaz Khairabadi

11.9K
Favorite

SORT BY

bach jaa.e javānī meñ jo duniyā havā se

hotā hai farishta koī insāñ nahīñ hotā

bach jae jawani mein jo duniya ki hawa se

hota hai farishta koi insan nahin hota

mehñdī lagā.e baiThe haiñ kuchh is adā se vo

muTThī meñ un de de koī dil nikāl ke

mehndi lagae baiThe hain kuchh is ada se wo

muTThi mein un ki de de koi dil nikal ke

ġham mujhe dete ho auroñ ḳhushī ke vāste

kyuuñ bure bante ho tum nāhaq kisī ke vāste

you heap these sorrows onto me, why for other's sake?

For someone else, needlessly this blame why do you take?

gham mujhe dete ho auron ki KHushi ke waste

kyun bure bante ho tum nahaq kisi ke waste

you heap these sorrows onto me, why for other's sake?

For someone else, needlessly this blame why do you take?

dekhiyegā sambhal kar ā.īna

sāmnā aaj hai muqābil

dekhiyega sambhal kar aaina

samna aaj hai muqabil ka

dil-jaloñ se dil-lagī achchhī nahīñ

rone vāloñ se hañsī achchhī nahīñ

dil-jalon se dil-lagi achchhi nahin

rone walon se hansi achchhi nahin

mai-ḳhāne meñ kyuuñ yād-e-ḳhudā hotī hai aksar

masjid meñ to zikr-e-mai-o-mīnā nahīñ hotā

mai-KHane mein kyun yaad-e-KHuda hoti hai aksar

masjid mein to zikr-e-mai-o-mina nahin hota

achchhī ḳharāb

jaisī paa.ī sharāb

achchhi pi li KHarab pi li

jaisi pai sharab pi li

ghar meñ das hoñ to ye raunaq nahīñ hogī ghar meñ

ek dīvāne se ābād hai sahrā kaisā

ghar mein das hon to ye raunaq nahin hogi ghar mein

ek diwane se aabaad hai sahra kaisa

allāh-re nāzukī ki javāb-e-salām meñ

haath us uTh ke rah gayā mehñdī ke bojh se

allah-re nazuki ki jawab-e-salam mein

hath us ka uTh ke rah gaya mehndi ke bojh se

mai-ḳhāne meñ mazār hamārā agar banā

duniyā yahī kahegī ki jannat meñ ghar banā

mai-KHane mein mazar hamara agar bana

duniya yahi kahegi ki jannat mein ghar bana

itnī hai ki ba.ad-e-tauba bhī

be-piye be-ḳhudī rahtī hai

itni pi hai ki baad-e-tauba bhi

be-piye be-KHudi si rahti hai

muflisoñ zindagī zikr kyā

muflisī maut bhī achchhī nahīñ

muflison ki zindagi ka zikr kya

muflisi ki maut bhi achchhi nahin

dard ho to davā kare koī

maut ho to kyā kare koī

dard ho to dawa kare koi

maut hi ho to kya kare koi

bhar bhar ke jaam bazm meñ chhalkā.e jaate haiñ

ham un meñ haiñ jo duur se tarsā.e jaate haiñ

cups are filled with wine and sprinkled in her domain

I am at a distance kept and thirsting I remain

bhar bhar ke jam bazm mein chhalkae jate hain

hum un mein hain jo dur se tarsae jate hain

cups are filled with wine and sprinkled in her domain

I am at a distance kept and thirsting I remain

rote jo aa.e the rulā ke ga.e

ibtidā intihā ko rote haiñ

rote jo aae the rula ke gae

ibtida intiha ko rote hain

aisī intizār meñ lazzat agar na ho

to do ghaḌī firāq meñ apnī basar na ho

aisi hi intizar mein lazzat agar na ho

to do ghaDi firaq mein apni basar na ho

dhoke se pilā thī use bhī koī do ghūñT

pahle se bahut narm hai vaa.iz zabāñ ab

through guile we have managed to ply him with

now the priest's tone is much gentler than before

dhoke se pila di thi use bhi koi do ghunT

pahle se bahut narm hai waiz ki zaban ab

through guile we have managed to ply him with

now the priest's tone is much gentler than before

hamārī āñkhoñ meñ aao to ham dikhā.eñ tumheñ

adā tumhārī jo tum bhī kaho ki haañ kuchh hai

hamari aankhon mein aao to hum dikhaen tumhein

ada tumhaari jo tum bhi kaho ki han kuchh hai

baat dil zabān par aa.ī

aafat ab merī jaan par aa.ī

baat dil ki zaban par aai

aafat ab meri jaan par aai

aap aa.e to ḳhayāl-e-dil-e-nāshād aayā

aap ne yaad dilāyā to mujhe yaad aayā

aap aae to KHayal-e-dil-e-nashad aaya

aap ne yaad dilaya to mujhe yaad aaya

mere āġhosh meñ yūñhī kabhī aa bhī

jis adā se tirī āñkhoñ meñ hayā aa.ī hai

mere aaghosh mein yunhi kabhi aa ja tu bhi

jis ada se teri aankhon mein haya aai hai

vo pūchhte haiñ shauq tujhe hai visāl

muñh chuum luuñ javāb ye hai is savāl

wo puchhte hain shauq tujhe hai visal ka

munh chum lun jawab ye hai is sawal ka

mar ga.e phir bhī ta.alluq hai ye mai-ḳhāne se

mere hisse chhalak jaatī hai paimāne se

mar gae phir bhi talluq hai ye mai-KHane se

mere hisse ki chhalak jati hai paimane se

Dar hai na dupaTTa kahīñ siine se sarak jaa.e

pañkhā bhī hameñ paas se jhalne nahīñ dete

Dar hai na dupaTTa kahin sine se sarak jae

pankha bhi hamein pas se jhalne nahin dete

ġhurūr bhī jo karūñ maiñ to ājizī ho jaa.e

ḳhudī meñ lutf vo aa.e ki be-ḳhudī ho jaa.e

ghurur bhi jo karun main to aajizi ho jae

KHudi mein lutf wo aae ki be-KHudi ho jae

aage kuchh baḌh kar milegī masjid-e-jāme 'riyāz'

ik zarā muḌ jā.iyegā mai-kade ke dar se aap

aage kuchh baDh kar milegi masjid-e-jame 'riyaz'

ek zara muD jaiyega mai-kade ke dar se aap

Darātā hai hameñ mahshar se vaa.iz are bhī

ye hañgāme to ham ne roz kū-e-yār meñ dekhe

Daraata hai hamein mahshar se tu waiz are ja bhi

ye hangame to hum ne roz ku-e-yar mein dekhe

kisī hans ke kahnā maut kyuuñ aane lagī tum ko

ye jitne chāhne vaale haiñ sab be-maut marte haiñ

kisi ka hans ke kahna maut kyun aane lagi tum ko

ye jitne chahne wale hain sab be-maut marte hain

kuchh bhī ho 'riyāz' aañkh meñ aañsū nahīñ aate

mujh ko to kisī baat ab ġham nahīñ hotā

kuchh bhi ho 'riyaz' aankh mein aansu nahin aate

mujh ko to kisi baat ka ab gham nahin hota

ḳhvāb meñ bhī to nazar bhar ke na dekhā un ko

ye bhī ādāb-e-mohabbat ko gavārā na huā

KHwab mein bhi to nazar bhar ke na dekha un ko

ye bhi aadab-e-mohabbat ko gawara na hua

kyā mazā detī hai bijlī chamak mujh ko 'riyāz'

mujh se lipTe haiñ mire naam se Darne vaale

kya maza deti hai bijli ki chamak mujh ko 'riyaz'

mujh se lipTe hain mere nam se Darne wale

sunā hai 'riyāz' apnī dāḌhī baḌhā kar

buḌhāpe meñ allāh vaale hue haiñ

suna hai 'riyaz' apni daDhi baDha kar

buDhape mein allah wale hue hain

kyā shakl hai vasl meñ kisī

tasvīr haiñ apnī bebasī

kya shakl hai wasl mein kisi ki

taswir hain apni bebasi ki

jaam hai tauba-shikan tauba mirī jām-shikan

sāmne Dher haiñ TuuTe hue paimānoñ ke

jam hai tauba-shikan tauba meri jam-shikan

samne Dher hain TuTe hue paimanon ke

aafat hamārī jaan ko hai be-qarār dil

ye haal hai ki siine meñ jaise hazār dil

aafat hamari jaan ko hai be-qarar dil

ye haal hai ki sine mein jaise hazar dil

ābād kareñ bāda-kash allāh ghar aaj

din jum.a hai band hai mai-ḳhāne dar aaj

aabaad karen baada-kash allah ka ghar aaj

din juma ka hai band hai mai-KHane ka dar aaj

ham band kiye aañkh tasavvur meñ paḌe haiñ

aise meñ koī chham se jo aa jaa.e to kyā ho

hum band kiye aankh tasawwur mein paDe hain

aise mein koi chham se jo aa jae to kya ho

koī muñh chuum legā is nahīñ par

shikan rah jā.egī yūñhī jabīñ par

koi munh chum lega is nahin par

shikan rah jaegi yunhi jabin par

pā.ūñ to in hasīnoñ muñh chuum luuñ 'riyāz'

aaj in gāliyoñ ne baḌā mazā diyā

if I find these beauties, I will surely kiss

their lips for their abuses, have given me such bliss

paun to in hasinon ka munh chum lun 'riyaz'

aaj in ki galiyon ne baDa hi maza diya

if I find these beauties, I will surely kiss

their lips for their abuses, have given me such bliss

qadr mujh rind tujh ko nahīñ ai pīr-e-muġhāñ

tauba kar luuñ to kabhī mai-kada ābād na ho

qadr mujh rind ki tujh ko nahin ai pir-e-mughan

tauba kar lun to kabhi mai-kada aabaad na ho

vasl raat ke sivā koī shaam

saath le kar sahar nahīñ aatī

wasl ki raat ke siwa koi sham

sath le kar sahar nahin aati

kyā sharāb-e-nāb ne pastī se paayā hai uruuj

sar chaḌhī hai halq se nīche utar jaane ke ba.ad

kya sharab-e-nab ne pasti se paya hai uruj

sar chaDhi hai halq se niche utar jaane ke baad

ḳhudā ke haath hai biknā na biknā mai ai saaqī

barābar masjid-e-jāme ke ham ne ab dukāñ rakh

KHuda ke hath hai bikna na bikna mai ka ai saqi

barabar masjid-e-jame ke hum ne ab dukan rakh di

na aayā hameñ ishq karnā na aayā

mare umr-bhar aur marnā na aayā

na aaya hamein ishq karna na aaya

mare umr-bhar aur marna na aaya

chhuptā nahīñ chhupāne se aalam ubhār

āñchal tah se dekh numūdār kyā huā

chhupta nahin chhupane se aalam ubhaar ka

aanchal ki tah se dekh numudar kya hua

kahtī hai ai 'riyāz' darāzī ye riish

TaTTī aaḌ meñ hai mazā kuchh shikār

kahti hai ai 'riyaz' daraazi ye rish ki

TaTTi ki aaD mein hai maza kuchh shikar ka

jaane vaale na ham us kūche meñ aane vaale

achchhe aa.e hameñ dīvāna banāne vaale

jaane wale na hum us kuche mein aane wale

achchhe aae hamein diwana banane wale

ham jām-e-mai ke bhī lab-e-tar chūste nahīñ

chaskā paḌā huā hai tumhārī zabān

hum jam-e-mai ke bhi lab-e-tar chuste nahin

chaska paDa hua hai tumhaari zaban ka

ham jānte haiñ lutf-e-taqāzā-e-mai-farosh

vo naqd meñ kahāñ jo mazā hai udhār meñ

hum jaante hain lutf-e-taqaza-e-mai-farosh

wo naqd mein kahan jo maza hai udhaar mein

ahl-e-haram se kah do ki bigḌī nahīñ hai baat

sab riñd jānte haiñ abhī pārsā mujhe

ahl-e-haram se kah do ki bigDi nahin hai baat

sab rind jaante hain abhi parsa mujhe

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now