Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Vikas Sharma Raaz's Photo'

Vikas Sharma Raaz

1973 | Haryana, India

One of the most prominent new generation poets

One of the most prominent new generation poets

Sher of Vikas Sharma Raaz

8.6K
Favorite

SORT BY

mujh ko aksar udaas kartī hai

ek tasvīr muskurātī huī

mujh ko aksar udas karti hai

ek taswir muskuraati hui

irāda to nahīñ hai ḳhud-kushī

magar maiñ zindagī se ḳhush nahīñ huuñ

irada to nahin hai KHud-kushi ka

magar main zindagi se KHush nahin hun

ek baras aur biit gayā

kab tak ḳhaak uḌānī hai

ek baras aur bit gaya

kab tak KHak uDani hai

muddateñ ho ga.iiñ hisāb kiye

kyā patā kitne rah ga.e haiñ ham

muddaten ho gain hisab kiye

kya pata kitne rah gae hain hum

kaun tahlīl huā hai mujh meñ

muntashir kyuuñ haiñ anāsir mere

kaun tahlil hua hai mujh mein

muntashir kyun hain anasir mere

merī koshish to yahī hai ki ye ma.asūm rahe

aur dil hai ki samajhdār huā jaatā hai

meri koshish to yahi hai ki ye masum rahe

aur dil hai ki samajhdar hua jata hai

aisī pyaas aur aisā sabr

dariyā paanī paanī hai

aisi pyas aur aisa sabr

dariya pani pani hai

rafta rafta qubūl hoñge use

raushnī ke liye na.e haiñ ham

rafta rafta qubul honge use

raushni ke liye nae hain hum

ye sadā kaash usī ne ho

is tarah vo bulātā hai mujhe

ye sada kash usi ne di ho

is tarah wo hi bulata hai mujhe

bhī nārāz bahut hai mujh se

zindagī tujh se ḳhafā huuñ maiñ bhī

tu bhi naraaz bahut hai mujh se

zindagi tujh se KHafa hun main bhi

mohabbat ke ādāb sīkho zarā

use jaan kah kar pukārā karo

mohabbat ke aadab sikho zara

use jaan kah kar pukara karo

faqat zanjīr badlī rahī thī

maiñ samjhā thā rihā.ī ho ga.ī hai

faqat zanjir badli ja rahi thi

main samjha tha rihai ho gai hai

yahāñ tak kar liyā masrūf ḳhud ko

akelī ho ga.ī tanhā.ī merī

yahan tak kar liya masruf KHud ko

akeli ho gai tanhai meri

dekhnā chāhtā huuñ gum ho kar

kyā koī DhūñD ke laatā hai mujhe

dekhna chahta hun gum ho kar

kya koi DhunD ke lata hai mujhe

jin sūjhā na kuchh javāb hameñ

un savāloñ pe hañs diye ham log

jin ka sujha na kuchh jawab hamein

un sawalon pe hans diye hum log

ishq bīnā.ī baḌhā detā hai

jaane kyā kyā nazar aatā hai mujhe

ishq binai baDha deta hai

jaane kya kya nazar aata hai mujhe

tanhā hotā huuñ to mar jaatā huuñ maiñ

mere andar zinda ho jaatā hai

tanha hota hun to mar jata hun main

mere andar tu zinda ho jata hai

mirī uruuj likkhī thī dāstāñ jis meñ

mire zavāl qissa bhī us kitāb meñ thā

meri uruj ki likkhi thi dastan jis mein

mere zawal ka qissa bhi us kitab mein tha

maiñ to kisī julūs meñ gayā nahīñ

mirā makān kyuuñ jalā diyā gayā

main to kisi julus mein gaya nahin

mera makan kyun jala diya gaya

asar hai ye hamārī dastakoñ

jahāñ dīvār thī dar ho gayā hai

asar hai ye hamari dastakon ka

jahan diwar thi dar ho gaya hai

hamāre darmiyāñ jo uTh rahī thī

vo ik dīvār puurī ho ga.ī hai

hamare darmiyan jo uTh rahi thi

wo ek diwar puri ho gai hai

use chhuā nahīñ jo mirī kitāb meñ thā

vahī paḌhāyā gayā mujh ko jo nisāb meñ thā

use chhua hi nahin jo meri kitab mein tha

wahi paDhaya gaya mujh ko jo nisab mein tha

merī koshish to yahī hai ki ye ma.asūm rahe

aur dil hai ki samajhdār huā jaatā hai

meri koshish to yahi hai ki ye masum rahe

aur dil hai ki samajhdar hua jata hai

ghar se niklā thā ḳhud-kushī karne

rail ke Dabbe gin rahā huuñ maiñ

ghar se nikla tha KHud-kushi karne

rail ke Dabbe gin raha hun main

jise dekho ġhazal pahne hue hai

bahut sastā ye zevar gayā hai

jise dekho ghazal pahne hue hai

bahut sasta ye zewar gaya hai

zindagī hañsī uḌātī huī

ḳhvāhish-e-marg sar uThātī huī

zindagi ki hansi uDati hui

KHwahish-e-marg sar uThati hui

lafz qaid-o-rihā.ī hunar

kaam aa gayā āḳhir mere

lafz ki qaid-o-rihai ka hunar

kaam aa hi gaya aaKHir mere

dasht ḳhaak bhī chhānī hai

ghar kahāñ vīrānī hai

dasht ki KHak bhi chhani hai

ghar si kahan virani hai

ek kiran phir mujh ko vāpas khīñch ga.ī

meñ bas jism se bāhar aane vaalā thā

ek kiran phir mujh ko wapas khinch gai

mein bas jism se bahar aane wala tha

ghar meñ vahī piilī tanhā.ī rahtī hai

dīvāroñ ke rañg badalte rahte haiñ

ghar mein wahi pili tanhai rahti hai

diwaron ke rang badalte rahte hain

roz ye ḳhvāb Darātā hai mujhe

koī saaya liye jaatā hai mujhe

roz ye KHwab Daraata hai mujhe

koi saya liye jata hai mujhe

meñ adam panāh-gāh meñ huuñ

chhū bhī saktī nahīñ hayāt mujhe

mein adam ki panah-gah mein hun

chhu bhi sakti nahin hayat mujhe

zamīn bech ke ḳhush ho rahe ho tum jis ko

vo saare gaañv ko bāzār karne vaalā hai

zamin bech ke KHush ho rahe ho tum jis ko

wo sare ganw ko bazar karne wala hai

havā ke vaar par ab vaar karne vaalā hai

charāġh bujhne se inkār karne vaalā hai

hawa ke war par ab war karne wala hai

charagh bujhne se inkar karne wala hai

balā habs thā par niiñd TūTtī na thī

na koī dar na darīcha fasīl-e-ḳhvāb meñ thā

bala ka habs tha par nind TuTti hi na thi

na koi dar na daricha fasil-e-KHwab mein tha

zarā dhyān kyā bhaTkā hamārā

hamīñ par aa girā malba hamārā

zara sa dhyan kya bhaTka hamara

hamin par aa gira malba hamara

sabhī ko rāsta batā diyā gayā

yuuñ manziloñ qad ghaTā diyā gayā

sabhi ko rasta bata diya gaya

yun manzilon ka qad ghaTa diya gaya

bichhaḌne hameñ imkān to thā

magar ab din muqarrar ho gayā hai

bichhaDne ka hamein imkan to tha

magar ab din muqarrar ho gaya hai

maiñ to kisī julūs maiñ gayā nahīñ

mirā makān kyoñ jalā diyā gayā

main to kisi julus main gaya nahin

mera makan kyon jala diya gaya

pujārī haiñ azal se 'mīr'-jī ke

vahī ham haiñ vahī qashqa hamārā

pujari hain azal se 'mir'-ji ke

wahi hum hain wahi qashqa hamara

koī us ke barābar ho gayā hai

ye sunte vo patthar ho gayā hai

koi us ke barabar ho gaya hai

ye sunte hi wo patthar ho gaya hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now