Sher on Iqbal Day
Read Allama Iqbal's
literary work that has been preserved over the last 150 years
ḳhudī ko kar buland itnā ki har taqdīr se pahle
ḳhudā bande se ḳhud pūchhe batā terī razā kyā hai
KHudi ko kar buland itna ki har taqdir se pahle
KHuda bande se KHud puchhe bata teri raza kya hai
-
Tags : Famous shayariand 3 more
andāz-e-bayāñ garche bahut shoḳh nahīñ hai
shāyad ki utar jaa.e tire dil meñ mirī baat
andaz-e-bayan garche bahut shoKH nahin hai
shayad ki utar jae tere dil mein meri baat
tire ishq kī intihā chāhtā huuñ
mirī sādgī dekh kyā chāhtā huuñ
tere ishq ki intiha chahta hun
meri sadgi dekh kya chahta hun
-
Tags : Ishqand 4 more
ai tā.ir-e-lāhautī us rizq se maut achchhī
jis rizq se aatī ho parvāz meñ kotāhī
ai tair-e-lahauti us rizq se maut achchhi
jis rizq se aati ho parwaz mein kotahi
maanā ki terī diid ke qābil nahīñ huuñ maiñ
tū merā shauq dekh mirā intizār dekh
agreed I am not worthy of your vision divine
behold my zeal, my passion see how I wait and pine
mana ki teri did ke qabil nahin hun main
tu mera shauq dekh mera intizar dekh
agreed I am not worthy of your vision divine
behold my zeal, my passion see how I wait and pine
-
Tags : Famous shayariand 2 more
sitāroñ se aage jahāñ aur bhī haiñ
abhī ishq ke imtihāñ aur bhī haiñ
sitaron se aage jahan aur bhi hain
abhi ishq ke imtihan aur bhi hain
-
Tags : Famous shayariand 2 more
tū shāhīñ hai parvāz hai kaam terā
tire sāmne āsmāñ aur bhī haiñ
tu shahin hai parwaz hai kaam tera
tere samne aasman aur bhi hain
-
Tags : Hauslaand 1 more
aql ayyār hai sau bhes badal letī hai
ishq bechāra na zāhid hai na mullā na hakīm
aql ayyar hai sau bhes badal leti hai
ishq bechaara na zahid hai na mulla na hakim
faqat nigāh se hotā hai faisla dil kā
na ho nigāh meñ shoḳhī to dilbarī kyā hai
faqat nigah se hota hai faisla dil ka
na ho nigah mein shoKHi to dilbari kya hai
-
Tags : Diland 2 more
phuul kī pattī se kaT saktā hai hiire kā jigar
mard-e-nādāñ par kalām-e-narm-o-nāzuk be-asar
phul ki patti se kaT sakta hai hire ka jigar
mard-e-nadan par kalam-e-narm-o-nazuk be-asar