Sher on Parinda
Birds have a commune
of their own and they relate with humans in their own ways. They represent nature, innocence, and beauty but they also represent imagination, aspiration, and strength. Poets have used the images of birds both in abstract and concrete terms and to create a plethora of meanings. Here are some verses for your perusal and appreciation.
tum parindoñ se ziyāda to nahīñ ho āzād
shaam hone ko hai ab ghar kī taraf lauT chalo
tum parindon se ziyaada to nahin ho aazad
sham hone ko hai ab ghar ki taraf lauT chalo
ik parinda abhī uḌaan meñ hai
tiir har shaḳhs kī kamān meñ hai
ek parinda abhi uDan mein hai
tir har shaKHs ki kaman mein hai
-
Tag : Teer
nikāl laayā huuñ ek pinjre se ik parinda
ab is parinde ke dil se piñjra nikālnā hai
nikal laya hun ek pinjre se ek parinda
ab is parinde ke dil se pinjra nikalna hai
ab to chup-chāp shaam aatī hai
pahle chiḌiyoñ ke shor hote the
ab to chup-chap sham aati hai
pahle chiDiyon ke shor hote the
-
Tag : Shaam
bichhaḌ ke tujh se na dekhā gayā kisī kā milāp
uḌā diye haiñ parinde shajar pe baiThe hue
bichhaD ke tujh se na dekha gaya kisi ka milap
uDa diye hain parinde shajar pe baiThe hue
mujhe mālūm hai us kā Thikānā phir kahāñ hogā
parinda āsmāñ chhūne meñ jab nākām ho jaa.e
mujhe malum hai us ka Thikana phir kahan hoga
parinda aasman chhune mein jab nakaam ho jae
parind shāḳh pe tanhā udaas baiThā hai
uḌaan bhuul gayā muddatoñ kī bandish meñ
parind shaKH pe tanha udas baiTha hai
uDan bhul gaya muddaton ki bandish mein
ye parinde bhī khetoñ ke mazdūr haiñ
lauT ke apne ghar shaam tak jā.eñge
ye parinde bhi kheton ke mazdur hain
lauT ke apne ghar sham tak jaenge
ajiib dard kā rishta thā sab ke sab ro.e
shajar girā to parinde tamām shab ro.e
ajib dard ka rishta tha sab ke sab roe
shajar gira to parinde tamam shab roe
-
Tag : Shajar
kuchh ehtiyāt parinde bhī rakhnā bhuul ga.e
kuchh intiqām bhī āñdhī ne badtarīn liye
kuchh ehtiyat parinde bhi rakhna bhul gae
kuchh intiqam bhi aandhi ne badtarin liye
parinde duur fazāoñ meñ kho ga.e 'alvī'
ujaaḌ ujaaḌ daraḳhtoñ pe āshiyāne the
parinde dur fazaon mein kho gae 'alwi'
ujaD ujaD daraKHton pe aashiyane the
jaane kyā kyā zulm parinde dekh ke aate haiñ
shaam Dhale peḌoñ par marsiya-ḳhvānī hotī hai
jaane kya kya zulm parinde dekh ke aate hain
sham Dhale peDon par marsiya-KHwani hoti hai
-
Tag : Injustice
parind ūñchī uḌānoñ kī dhun meñ rahtā hai
magar zamīñ kī hadoñ meñ basar bhī kartā hai
parind unchi uDanon ki dhun mein rahta hai
magar zamin ki hadon mein basar bhi karta hai
ye rañg rañg parinde hī ham se achchhe haiñ
jo ik daraḳht pe rahte haiñ beliyoñ kī tarah
ye rang rang parinde hi hum se achchhe hain
jo ek daraKHt pe rahte hain beliyon ki tarah
parind kyuuñ mirī shāḳhoñ se ḳhauf khāte haiñ
ki ik daraḳht huuñ aur sāya-dār maiñ bhī huuñ
parind kyun meri shaKHon se KHauf khate hain
ki ek daraKHt hun aur saya-dar main bhi hun
parind peḌ se parvāz karte jaate haiñ
ki bastiyoñ kā muqaddar badaltā jaatā hai
parind peD se parwaz karte jate hain
ki bastiyon ka muqaddar badalta jata hai
ye tā.eroñ kī qatāreñ kidhar ko jaatī haiñ
na koī daam bichhā hai kahīñ na daana hai
ye taeron ki qataren kidhar ko jati hain
na koi dam bichha hai kahin na dana hai
reg-e-dil meñ ka.ī nādīda parinde bhī haiñ dafn
sochte hoñge ki dariyā kī ziyārat kar jaa.eñ
reg-e-dil mein kai nadida parinde bhi hain dafn
sochte honge ki dariya ki ziyarat kar jaen
jaane kyā soch ke phir in ko rihā.ī de dī
ham ne ab ke bhī parindoñ ko tah-e-dām kiyā
jaane kya soch ke phir in ko rihai de di
hum ne ab ke bhi parindon ko tah-e-dam kiya