Sher on Shohrat
Human beings have a
natural desire to earn fame. But doing so in an unscrupulous manner disqualifies him from being a human being in the real sense. The good and bad aspects of fame are presented here in this selection.
kaun maslūb huā husn kā kirdār ki ham
shohrat-e-ishq meñ badnām huā yaar ki ham
kaun maslub hua husn ka kirdar ki hum
shohrat-e-ishq mein badnam hua yar ki hum
-
Tag : Ruswai
'farhat' tire naġhmoñ kī vo shohrat hai jahāñ meñ
vallāh tirā rañg-e-suḳhan yaad rahegā
'farhat' tere naghmon ki wo shohrat hai jahan mein
wallah tera rang-e-suKHan yaad rahega
merī shohrat ke pīchhe hai
haath bahut rusvā.ī kā
meri shohrat ke pichhe hai
hath bahut ruswai ka
kyā pūchhte ho kaun hai ye kis kī hai shohrat
kyā tum ne kabhī 'dāġh' kā dīvāñ nahīñ dekhā
kya puchhte ho kaun hai ye kis ki hai shohrat
kya tum ne kabhi 'dagh' ka diwan nahin dekha
ishq mujh ko nahīñ vahshat hī sahī
merī vahshat tirī shohrat hī sahī
If not love, then madness, my feelings deem you be
And so be it my craziness is cause of fame for thee
ishq mujh ko nahin wahshat hi sahi
meri wahshat teri shohrat hi sahi
If not love, then madness, my feelings deem you be
And so be it my craziness is cause of fame for thee
-
Tags : Ishqand 4 more
biktā rahtā sar-e-bāzār ka.ī qistoñ meñ
shukr hai mere ḳhudā ne mujhe shohrat nahīñ dī
bikta rahta sar-e-bazar kai qiston mein
shukr hai mere KHuda ne mujhe shohrat nahin di
khulī na mujh pe bhī dīvāngī mirī barsoñ
mire junūn kī shohrat tire bayāñ se huī
khuli na mujh pe bhi diwangi meri barson
mere junun ki shohrat tere bayan se hui
-
Tag : Diwangi
miyāñ ye chādar-e-shohrat tum apne paas rakho
ki is se paañv jo Dhāñpeñ to sar nikaltā hai
miyan ye chadar-e-shohrat tum apne pas rakho
ki is se panw jo Dhanpen to sar nikalta hai
shohrat kī fazāoñ meñ itnā na uḌo 'sāġhar'
parvāz na kho jaa.e in ūñchī uḌānoñ meñ
shohrat ki fazaon mein itna na uDo 'saghar'
parwaz na kho jae in unchi uDanon mein
apne afsāne kī shohrat use manzūr na thī
us ne kirdār badal kar mirā qissa likhkhā
apne afsane ki shohrat use manzur na thi
us ne kirdar badal kar mera qissa likhkha
us ghar kī badaulat mire sheroñ ko hai shohrat
vo ghar ki jo is shahr meñ badnām bahut hai
us ghar ki badaulat mere sheron ko hai shohrat
wo ghar ki jo is shahr mein badnam bahut hai
-
Tag : Ruswai
shohrat kī bulandī bhī pal bhar kā tamāshā hai
jis Daal pe baiThe ho vo TuuT bhī saktī hai
shohrat ki bulandi bhi pal bhar ka tamasha hai
jis Dal pe baiThe ho wo TuT bhi sakti hai
-
Tags : Ghamandand 2 more
ghar se us kā bhī nikalnā ho gayā āḳhir muhāl
merī rusvā.ī se shohrat kū-ba-kū us kī bhī thī
ghar se us ka bhi nikalna ho gaya aaKHir muhaal
meri ruswai se shohrat ku-ba-ku us ki bhi thi
-
Tag : Ruswai
vo junūñ ko baḌhā.e jā.eñge
un kī shohrat hai merī rusvā.ī
wo junun ko baDhae jaenge
un ki shohrat hai meri ruswai
-
Tag : Ruswai
jo āsmāñ kī bulandī ko chhūne vaalā thā
vahī mināra zamīñ par dhaḌām se aayā
jo aasman ki bulandi ko chhune wala tha
wahi minara zamin par dhaDam se aaya
kho diyā shohrat ne apnī sher-ḳhvānī kā mazā
daad mil jaatī hai 'nātiq' har ratab yābis ke ba.ad
kho diya shohrat ne apni sher-KHwani ka maza
dad mil jati hai 'natiq' har ratab yabis ke baad
ulajh rahe haiñ bahut log merī shohrat se
kisī ko yuuñ to koī mujh se iḳhtilāf na thā
ulajh rahe hain bahut log meri shohrat se
kisi ko yun to koi mujh se iKHtilaf na tha
ham tālib-e-shohrat haiñ hameñ nañg se kyā kaam
badnām agar hoñge to kyā naam na hogā
hum talib-e-shohrat hain hamein nang se kya kaam
badnam agar honge to kya nam na hoga
bulandī der tak kis shaḳhs ke hisse meñ rahtī hai
bahut ūñchī 'imārat har ghaḌī ḳhatre meñ rahtī hai
bulandi der tak kis shaKHs ke hisse mein rahti hai
bahut unchi 'imarat har ghaDi KHatre mein rahti hai
mujh se ye pūchh rahe haiñ mire ahbāb 'azīz'
kyā milā shahr-e-suḳhan meñ tumheñ shohrat ke sivā
mujh se ye puchh rahe hain mere ahbab 'aziz'
kya mila shahr-e-suKHan mein tumhein shohrat ke siwa
kisī ko be-sabab shohrat nahīñ miltī hai ai 'vāhid'
unhīñ ke naam haiñ duniyā meñ jin ke kaam achchhe haiñ
kisi ko be-sabab shohrat nahin milti hai ai 'wahid'
unhin ke nam hain duniya mein jin ke kaam achchhe hain
-
Tag : Motivational
ab tū darvāze se apne naam kī taḳhtī utaar
lafz nañge ho ga.e shohrat bhī gaalī ho ga.ī
ab tu darwaze se apne nam ki taKHti utar
lafz nange ho gae shohrat bhi gali ho gai
-
Tag : Ruswai