Sher of Asad Ali Khan Qalaq
adā se dekh lo jaatā rahe gila dil kā
bas ik nigāh pe Thahrā hai faisla dil kā
ada se dekh lo jata rahe gila dil ka
bas ek nigah pe Thahra hai faisla dil ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
apne begāne se ab mujh ko shikāyat na rahī
dushmanī kar ke mire dost ne maarā mujh ko
apne begane se ab mujh ko shikayat na rahi
dushmani kar ke mere dost ne mara mujh ko
ai be-ḳhudi-e-dil mujhe ye bhī ḳhabar nahīñ
kis din bahār aa.ī maiñ dīvāna kab huā
ai be-KHudi-e-dil mujhe ye bhi KHabar nahin
kis din bahaar aai main diwana kab hua
-
Tag : Bekhudi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
āḳhir insān huuñ patthar kā to rakhtā nahīñ dil
ai buto itnā satāo na ḳhudā-rā mujh ko
aaKHir insan hun patthar ka to rakhta nahin dil
ai buto itna satao na KHuda-ra mujh ko
-
Tag : Insaan
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dast-e-junūñ ne phaaḌ ke pheñkā idhar-udhar
dāman abad meñ hai to garebāñ azal meñ hai
dast-e-junun ne phaD ke phenka idhar-udhar
daman abad mein hai to gareban azal mein hai
phir mujh se is tarah kī na kījegā dil-lagī
ḳhair is ghaḌī to aap kā maiñ kar gayā lihāz
phir mujh se is tarah ki na kijega dil-lagi
KHair is ghaDi to aap ka main kar gaya lihaz
āsār-e-rihā.ī haiñ ye dil bol rahā hai
sayyād sitamgar mire par khol rahā hai
aasar-e-rihai hain ye dil bol raha hai
sayyaad sitamgar mere par khol raha hai
-
Tag : Ummeed
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
hoñThoñ meñ daab kar jo gilaurī dī yaar ne
kyā daañt piise ġhairoñ ne kyā kyā chabā.e hoñTh
honThon mein dab kar jo gilauri di yar ne
kya dant pise ghairon ne kya kya chabae honTh
-
Tag : Paan
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ḳhafā ho gāliyāñ do chāhe aane do na aane do
maiñ bose lūñgā sote meñ mujhe lapkā hai chorī kā
KHafa ho galiyan do chahe aane do na aane do
main bose lunga sote mein mujhe lapka hai chori ka
zamīn paañv ke nīche se sarkī jaatī hai
hameñ na chheḌiye ham haiñ falak satā.e hue
zamin panw ke niche se sarki jati hai
hamein na chheDiye hum hain falak satae hue
raste meñ un ko chheḌ ke khāte haiñ gāliyāñ
bāzār kī miThā.ī bhī hotī hai kyā lazīz
raste mein un ko chheD ke khate hain galiyan
bazar ki miThai bhi hoti hai kya laziz
kareñge ham se vo kyūñkar nibāh dekhte haiñ
ham un kī thoḌe dinoñ aur chaah dekhte haiñ
karenge hum se wo kyunkar nibah dekhte hain
hum un ki thoDe dinon aur chah dekhte hain
karo tum mujh se bāteñ aur maiñ bāteñ karūñ tum se
kalīm-ullāh ho jā.ūñ maiñ ejāz-e-takallum se
karo tum mujh se baaten aur main baaten karun tum se
kalim-ullah ho jaun main ejaz-e-takallum se
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
yahī insāf tire ahd meñ hai ai shah-e-husn
vājib-ul-qatl mohabbat ke gunahgār haiñ sab
yahi insaf tere ahd mein hai ai shah-e-husn
wajib-ul-qatl mohabbat ke gunahgar hain sab
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ḳhudā-hāfiz hai ab ai zāhido islām-e-āshiq kā
butān-e-dahr ġhālib aa ga.e haiñ ka.aba-o-dil par
KHuda-hafiz hai ab ai zahido islam-e-ashiq ka
butan-e-dahr ghaalib aa gae hain kaba-o-dil par
yaad dilvā.iye un ko jo kabhī va.ada-e-vasl
to vo kis naaz se farmāte haiñ ham bhuul ga.e
yaad dilwaiye un ko jo kabhi wada-e-wasl
to wo kis naz se farmate hain hum bhul gae
banā kar til ruḳh-e-raushan par do shoḳhī se se kahte haiñ
ye kājal ham ne yaarā hai charāġh-e-māh-e-tābāñ par
bana kar til ruKH-e-raushan par do shoKHi se se kahte hain
ye kajal hum ne yara hai charagh-e-mah-e-taban par
chalā hai chhoḌ ke tanhā kidhar tasavvur-e-yār
shab-e-firāq meñ thā tujh se mashġhala dil kā
chala hai chhoD ke tanha kidhar tasawwur-e-yar
shab-e-firaq mein tha tujh se mashghala dil ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
umr to apnī huī sab but-parastī meñ basar
naam ko duniyā meñ haiñ ab sāhib-e-islām ham
umr to apni hui sab but-parasti mein basar
nam ko duniya mein hain ab sahib-e-islam hum
himmat kā zāhidoñ kī sarāsar qusūr thā
mai-ḳhāna ḳhānqāh se aisā na duur thā
himmat ka zahidon ki sarasar qusur tha
mai-KHana KHanqah se aisa na dur tha
sitam vo tum ne kiye bhūle ham gila dil kā
huā tumhāre bigaḌne se faisla dil kā
sitam wo tum ne kiye bhule hum gila dil ka
hua tumhaare bigaDne se faisla dil ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vo ek raat to mujh se alag na so.egā
huā jo lazzat-e-bos-o-kanār se vāqif
wo ek raat to mujh se alag na soega
hua jo lazzat-e-bos-o-kanar se waqif
ai parī-zād jo tū raqs kare mastī meñ
dāna-e-tāk har ik paañv meñ ghuñghrū ho jaa.e
ai pari-zad jo tu raqs kare masti mein
dana-e-tak har ek panw mein ghunghru ho jae
kyā koī dil lagā ke kahe sher ai 'qalaq'
nāqadrī-e-suḳhan se haiñ ahl-e-suḳhan udaas
kya koi dil laga ke kahe sher ai 'qalaq'
naqadri-e-suKHan se hain ahl-e-suKHan udas
manzil hai apnī apnī 'qalaq' apnī apnī gor
koī nahīñ sharīk kisī ke gunāh meñ
manzil hai apni apni 'qalaq' apni apni gor
koi nahin sharik kisi ke gunah mein
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sindūr us kī maañg meñ detā hai yuuñ bahār
jaise dhanak nikaltī hai abr-e-siyāh meñ
sindur us ki mang mein deta hai yun bahaar
jaise dhanak nikalti hai abr-e-siyah mein
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ruḳh tah-e-zulf hai aur zulf pareshāñ sar par
maañg bāloñ meñ nahīñ hai ye numāyāñ sar par
ruKH tah-e-zulf hai aur zulf pareshan sar par
mang baalon mein nahin hai ye numayan sar par
khulne se ek jism ke sau aib Dhak ga.e
uryāñ-tanī bhī josh-e-junūñ meñ libās hai
khulne se ek jism ke sau aib Dhak gae
uryan-tani bhi josh-e-junun mein libas hai
vo riñd huuñ ki mujhe hathkaḌī se bai.at hai
milā hai gesū-e-jānāñ se silsila dil kā
wo rind hun ki mujhe hathkaDi se baiat hai
mila hai gesu-e-jaanan se silsila dil ka
maiñ vo mai-kash huuñ milī hai mujh ko ghuTTī meñ sharāb
shiir ke badle piyā hai maiñ ne shīra taak kā
main wo mai-kash hun mili hai mujh ko ghuTTi mein sharab
shir ke badle piya hai main ne shira tak ka
ḳhat meñ likkhī hai haqīqat dasht-gardī kī agar
nāma-bar jañgalī kabūtar ko banānā chāhiye
KHat mein likkhi hai haqiqat dasht-gardi ki agar
nama-bar jangali kabutar ko banana chahiye
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
yaar kī fart-e-nazākat kā huuñ maiñ shukr-guzār
dhyān bhī us kā mire dil se nikalne na diyā
yar ki fart-e-nazakat ka hun main shukr-guzar
dhyan bhi us ka mere dil se nikalne na diya
ghaaT par talvār ke nahlā.īyo mayyat mirī
kushta-e-abrū huuñ maiñ kyā ġhusl-ḳhāna chāhiye
ghaT par talwar ke nahlaiyo mayyat meri
kushta-e-abru hun main kya ghusl-KHana chahiye
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
nayā mazmūn laanā kāTnā koh-o-jabal kā hai
nahīñ ham sher kahte pesha-e-farhād kahte haiñ
naya mazmun lana kaTna koh-o-jabal ka hai
nahin hum sher kahte pesha-e-farhad kahte hain
ālam-e-pīrī meñ kyā mū-e-siyah kā e.atibār
sub.h-e-sādiq detī hai jhūTī gavāhī raat kī
aalam-e-piri mein kya mu-e-siyah ka eatibar
subh-e-sadiq deti hai jhuTi gawahi raat ki
mujh se un āñkhoñ ko vahshat hai magar mujh ko hai ishq
khelā kartā huuñ shikār āhū-e-sahrā.ī kā
mujh se un aankhon ko wahshat hai magar mujh ko hai ishq
khela karta hun shikar aahu-e-sahrai ka
chheḌā agar mire dil-e-nālāñ ko aap ne
phir bhuul jā.iyegā bajānā sitār kā
chheDa agar mere dil-e-nalan ko aap ne
phir bhul jaiyega bajaana sitar ka
bahār aate hī zaḳhm-e-dil hare sab ho ga.e mere
udhar chaTkā koī ġhuncha idhar TuuTā har ik Tāñkā
bahaar aate hi zaKHm-e-dil hare sab ho gae mere
udhar chaTka koi ghuncha idhar TuTa har ek Tanka
pūchhā sabā se us ne patā kū-e-yār kā
dekho zarā shu.ūr hamāre ġhubār kā
puchha saba se us ne pata ku-e-yar ka
dekho zara shuur hamare ghubar ka
huā maiñ riñd-mashrab ḳhaak mar kar is tamannā meñ
namāz āḳhir paḌheñge vo kisī din to tayammum se
hua main rind-mashrab KHak mar kar is tamanna mein
namaz aaKHir paDhenge wo kisi din to tayammum se
jab huā garm-e-kalām-e-muḳhtasar mahkā diyā
itr khīñchā yaar ke lab ne gul-e-taqrīr kā
jab hua garm-e-kalam-e-muKHtasar mahka diya
itr khincha yar ke lab ne gul-e-taqrir ka
kufr-o-islām ke jhagḌoñ se chhuḌāyā sad-shukr
qaid-e-maz.hab se junūñ ne mujhe āzād kiyā
kufr-o-islam ke jhagDon se chhuDaya sad-shukr
qaid-e-mazhab se junun ne mujhe aazad kiya
dil ḳhasta ho to lutf uThe kuchh apnī ġhazal kā
matlab koī kyā samjhegā mastoñ kī zaTal kā
dil KHasta ho to lutf uThe kuchh apni ghazal ka
matlab koi kya samjhega maston ki zaTal ka
tire hoñThoñ se sharmā kar pasīne meñ huā ye tar
ḳhizar ne ḳhud araq poñchhā jabīn-e-āb-e-haivāñ kā
tere honThon se sharma kar pasine mein hua ye tar
KHizar ne KHud araq ponchha jabin-e-ab-e-haiwan ka
misāl-e-ā.ina ham jab se hairatī haiñ tire
ki jin dinoñ meñ na thā tū siñgār se vāqif
misal-e-aina hum jab se hairati hain tere
ki jin dinon mein na tha tu singar se waqif
un vā.izoñ kī zid se ham ab kī bahār meñ
toḌeñge tauba pīr-e-muġhāñ kī dukān par
un waizon ki zid se hum ab ki bahaar mein
toDenge tauba pir-e-mughan ki dukan par
mai jo dī ġhair ko saaqī ne karāhat dekho
shīsha-e-mai ko maraz ho gayā ubkā.ī kā
mai jo di ghair ko saqi ne karahat dekho
shisha-e-mai ko maraz ho gaya ubkai ka
ḳhush-qadoñ se kabhī aalam na rahegā ḳhālī
is chaman se jo gayā sarv to shamshād aayā
KHush-qadon se kabhi aalam na rahega KHali
is chaman se jo gaya sarw to shamshad aaya
mudallal jo suḳhan apnā hai vo burhān-e-qāte.a hai
tabī.at meñ ravānī hai ziyāda haft-qulzum se
mudallal jo suKHan apna hai wo burhan-e-qatea hai
tabiat mein rawani hai ziyaada haft-qulzum se
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jame kyā paañv mere ḳhāna-e-dil meñ qanā.at kā
jigar meñ chuTkiyāñ letā hai nāḳhun dast-e-hājat kā
jame kya panw mere KHana-e-dil mein qanaat ka
jigar mein chuTkiyan leta hai naKHun dast-e-hajat ka