Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Insha Allah Khan Insha's Photo'

Insha Allah Khan Insha

1752 - 1817 | Delhi, India

One of the most firebrand poets of Lucknow. Contemporary of Meer Taqi Meer. His rivalry with Mushafi is well-recorded. Also wrote Rekhti poetry and 'Raani Ketki ki kahani" in prose

One of the most firebrand poets of Lucknow. Contemporary of Meer Taqi Meer. His rivalry with Mushafi is well-recorded. Also wrote Rekhti poetry and 'Raani Ketki ki kahani" in prose

Sher of Insha Allah Khan Insha

9.6K
Favorite

SORT BY

ajiib lutf kuchh aapas chheḌ-chhāḌ meñ hai

kahāñ milāp meñ vo baat jo bigāḌ meñ hai

ajib lutf kuchh aapas ki chheD-chhaD mein hai

kahan milap mein wo baat jo bigaD mein hai

jazba-e-ishq salāmat hai to inshā-allāh

kachche dhāge se chale ā.eñge sarkār bañdhe

jazba-e-ishq salamat hai to insha-allah

kachche dhage se chale aaenge sarkar bandhe

kamar bāñdhe hue chalne ko yaañ sab yaar baiThe haiñ

bahut aage ga.e baaqī jo haiñ tayyār baiThe haiñ

kamar bandhe hue chalne ko yan sab yar baiThe hain

bahut aage gae baqi jo hain tayyar baiThe hain

pahuñchūñ maiñ kis kohna haqīqat ko aaj tak

'inshā' mujhe milā nahīñ apnā kuchh surāġh

pahunchun main kis ki kohna haqiqat ko aaj tak

'insha' mujhe mila nahin apna hi kuchh suragh

kyā hañsī aatī hai mujh ko hazrat-e-insān par

fe'l-e-bad ḳhud kareñ lā'nat kareñ shaitān par

kya hansi aati hai mujh ko hazrat-e-insan par

fe'l-e-bad KHud hi karen la'nat karen shaitan par

na chheḌ ai nik.hat-e-bād-e-bahārī raah lag apnī

tujhe aTkheliyāñ sūjhī haiñ ham be-zār baiThe haiñ

na chheD ai nikhat-e-baad-e-bahaari rah lag apni

tujhe aTkheliyan sujhi hain hum be-zar baiThe hain

maiñ ne jo kachkachā kar kal un raan kaaTī

to un ne kis maze se merī zabān kaaTī

main ne jo kachkacha kar kal un ki ran kaTi

to un ne kis maze se meri zaban kaTi

kuchh ishāra jo kiyā ham ne mulāqāt ke vaqt

Taal kar kahne lage din hai abhī raat ke vaqt

kuchh ishaara jo kiya hum ne mulaqat ke waqt

Tal kar kahne lage din hai abhi raat ke waqt

lailā o majnūñ lākhoñ garche tasvīreñ khiñchīñ

mil ga.ī sab ḳhaak meñ jis vaqt zanjīreñ khiñchīñ

laila o majnun ki lakhon garche taswiren khinchin

mil gai sab KHak mein jis waqt zanjiren khinchin

meñ rahī baat na hone paa.ī

haif ki us se mulāqāt na hone paa.ī

ji ki ji hi mein rahi baat na hone pai

haif ki us se mulaqat na hone pai

ye ajiib mājrā hai ki ba-roz-e-īd-e-qurbāñ

vahī zab.h bhī kare hai vahī le savāb ulTā

ye ajib majra hai ki ba-roz-e-id-e-qurban

wahi zabh bhi kare hai wahi le sawab ulTa

kar letā huuñ band āñkheñ maiñ dīvār se lag kar

baiThe hai kisī se jo koī pyaar se lag kar

kar leta hun band aankhen main diwar se lag kar

baiThe hai kisi se jo koi pyar se lag kar

sāñvle tan pe ġhazab dhaj hai basantī shaal

meñ hai kah baiThiye ab jai kanhayyā laal

sanwle tan pe ghazab dhaj hai basanti shaal ki

ji mein hai kah baiThiye ab jai kanhayya lal ki

zamīñ se uTThī hai charḳh par se utrī hai

ye aag ishq yā-rab kidhar se utrī hai

zamin se uTThi hai ya charKH par se utri hai

ye aag ishq ki ya-rab kidhar se utri hai

nazākat us gul-e-rānā dekhiyo 'inshā'

nasīm-e-sub.h jo chhū jaa.e rañg ho mailā

nazakat us gul-e-rana ki dekhiyo 'insha'

nasim-e-subh jo chhu jae rang ho maila

yaad kyā aatā hai vo merā lage jaanā aur aah

pīchhe haT kar us ye kahnā koī aa jā.egā

yaad kya aata hai wo mera lage jaana aur aah

pichhe haT kar us ka ye kahna koi aa jaega

kaaTe haiñ ham ne yūñhī ayyām zindagī ke

sīdhe se sīdhe-sāde aur kaj se kaj rahe haiñ

kaTe hain hum ne yunhi ayyam zindagi ke

sidhe se sidhe-sade aur kaj se kaj rahe hain

hazār shaiḳh ne dāḌhī baḌhā.ī san

magar vo baat kahāñ maulvī madan

hazar shaiKH ne daDhi baDhai san ki si

magar wo baat kahan maulwi madan ki si

na kah shaiḳh mujhe zohd siikh mastī chhoḌ

tirī pasand judā hai mirī pasand judā

na kah tu shaiKH mujhe zohd sikh masti chhoD

teri pasand juda hai meri pasand juda

dahkī hai aag dil meñ paḌe ishtiyāq

tere sivā.e kis se ho is ilaaj aaj

dahki hai aag dil mein paDe ishtiyaq ki

tere siwae kis se ho is ka ilaj aaj

phabtī tire mukhḌe pe mujhe huur sūjhī

haath idhar de ki bahut duur sūjhī

phabti tere mukhDe pe mujhe hur ki sujhi

la hath idhar de ki bahut dur ki sujhi

har taraf haiñ tire dīdār ke bhūke lākhoñ

peT bhar kar koī aisā bhī trahdār na ho

har taraf hain tere didar ke bhuke lakhon

peT bhar kar koi aisa bhi trahdar na ho

garmī ne kuchh aag aur bhī siine meñ lagā.ī

har taur ġharaz aap se milnā kam achchhā

garmi ne kuchh aag aur bhi sine mein lagai

har taur gharaz aap se milna hi kam achchha

sub.h-dam mujh se lipaT kar vo nashe meñ bole

tum bane bād-e-sabā ham gul-e-nasrīn hue

subh-dam mujh se lipaT kar wo nashe mein bole

tum bane baad-e-saba hum gul-e-nasrin hue

de ek shab ko apnī mujhe zard shaal

hai mujh ko sūñghne ke havas so nikāl

de ek shab ko apni mujhe zard shaal tu

hai mujh ko sunghne ke hawas so nikal tu

hai ḳhaal yuuñ tumhāre chāh-e-zaqan ke andar

jis ruup ho kanhayyā āb-e-jaman ke andar

hai KHal yun tumhaare chah-e-zaqan ke andar

jis rup ho kanhayya aab-e-jaman ke andar

sanam-ḳhāna jaatā huuñ mujh ko nāhaq

na bahkā na bahkā na bahkā na bahkā

sanam-KHana jata hun tu mujh ko nahaq

na bahka na bahka na bahka na bahka

ġhuncha-e-gul ke sabā god bharī jaatī hai

ek parī aatī hai aur ek parī jaatī hai

ghuncha-e-gul ke saba god bhari jati hai

ek pari aati hai aur ek pari jati hai

jis ne yaaro mujh se da.avā sher ke fan kiyā

maiñ ne le kar us ke kāġhaz aur qalam aage dharā

jis ne yaro mujh se dawa sher ke fan ka kiya

main ne le kar us ke kaghaz aur qalam aage dhara

chand muddat ko firāq-e-sanam-o-dair to hai

aao ka.aba kabhī dekh aa.eñ na ik sair to hai

chand muddat ko firaq-e-sanam-o-dair to hai

aao kaba kabhi dekh aaen na ek sair to hai

us sañg-dil ke hijr meñ chashmoñ ko apne aah

mānind-e-ābshār kiyā ham ne kyā kiyā

us sang-dil ke hijr mein chashmon ko apne aah

manind-e-abshaar kiya hum ne kya kiya

jaave vo sanam brij ko to aap kanhaiyā

jhaT sāmne ho murlī dhun nazr pakaḌ kar

jawe wo sanam brij ko to aap kanhaiya

jhaT samne ho murli ki dhun nazr pakaD kar

hai nūr-e-basar mardumak-e-dīda meñ pinhāñ yuuñ jaise kanhaiyā

so ashk ke qatroñ se paḌā khele hai jhurmuT aur āñkhoñ meñ panghaT

hai nur-e-basar mardumak-e-dida mein pinhan yun jaise kanhaiya

so ashk ke qatron se paDa khele hai jhurmuT aur aankhon mein panghaT

ne lagā.ī ab ye kyā aag ai basant

jis se ki dil aag uThe jaag ai basant

tu ne lagai ab ki ye kya aag ai basant

jis se ki dil ki aag uThe jag ai basant

shaiḳh-jī ye bayān karo ham bhī to baarī kuchh suneñ

aap ke haath kyā lagā ḳhalvat-o-etikāf meñ

shaiKH-ji ye bayan karo hum bhi to bari kuchh sunen

aap ke hath kya laga KHalwat-o-etikaf mein

baiThtā hai jab tuñdīlā shaiḳh aa kar bazm meñ

ik baḌā maTkā rahtā hai shikam aage dharā

baiThta hai jab tundila shaiKH aa kar bazm mein

ek baDa maTka sa rahta hai shikam aage dhara

ḳhūbān-e-rozgār muqallid terī haiñ sab

jo chiiz kare so vo paave rivāj aaj

KHuban-e-rozgar muqallid teri hain sab

jo chiz tu kare so wo pawe riwaj aaj

har shāḳh zard o surḳh o siyah hijr-e-yār meñ

Daste haiñ dil ko aan ke juuñ naag ai basant

har shaKH zard o surKH o siyah hijr-e-yar mein

Daste hain dil ko aan ke jun nag ai basant

ḳhayāl kījiye kyā kaam aaj maiñ ne kiyā

jab un ne mujhe gaalī salām maiñ ne kiyā

TRANSLATION

Just imagine, today what I did,

When she abused me, I greeted.

Sagar Akbarabadi

KHayal kijiye kya kaam aaj main ne kiya

jab un ne di mujhe gali salam main ne kiya

TRANSLATION

Just imagine, today what I did,

When she abused me, I greeted.

Sagar Akbarabadi

patte nahīñ chaman meñ khaḌakte tire baġhair

kartī hai is libās meñ har-dam fuġhāñ basant

patte nahin chaman mein khaDakte tere baghair

karti hai is libas mein har-dam fughan basant

gar shāḳh-e-za.afarāñ use kahiye to hai ravā

hai farah-baḳhsh vāqa.ī is had kohāñ basant

gar shaKH-e-zafaran use kahiye to hai rawa

hai farah-baKHsh waqai is had kohan basant

aate nazar haiñ dasht-o-jabal zard har taraf

hai ab ke saal aisī hai ai dostāñ basant

aate nazar hain dasht-o-jabal zard har taraf

hai ab ke sal aisi hai ai dostan basant

na lagī mujh ko jab us shoḳh-e-trahdār geñd

us ne mahram ko sambhāl aur tayyār geñd

na lagi mujh ko jab us shoKH-e-trahdar ki gend

us ne mahram ko sambhaal aur hi tayyar ki gend

har-chand ki aasī huuñ pa ummat meñ huuñ us

jis hai qadam arsh-e-mua.allā se bhī baalā

har-chand ki aasi hun pa ummat mein hun us ki

jis ka hai qadam arsh-e-mualla se bhi baala

'inshā' se shaiḳh pūchhtā hai kyā salāh hai

tarġhīb-e-bāda hai mujhe ai javāñ basant

'insha' se shaiKH puchhta hai kya salah hai

targhib-e-baada di hai mujhe ai jawan basant

hichkiyāñ le hai is tarah bat-e-mai

jis tarah gaTkarī meñ taan phire

hichkiyan le hai is tarah bat-e-mai

jis tarah gaTkari mein tan phire

lagā daun is jangal ko bas ik do aahoñ meñ

ye dharpat qahr kuchh inshā ne dīpak raag joḌā

laga di daun is jangal ko bas ek do hi aahon mein

ye dharpat qahr kuchh insha ne dipak rag ka joDa

kāfir samā rahā hai sārang ye lahrā

table tāl-o-sam ke har har paran ke andar

kafir sama raha hai sarang ka ye lahra

table ki tal-o-sam ke har har paran ke andar

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now