Sher of Jalal Lakhnavi
na ho barham jo bosa be-ijāzat le liyā maiñ ne
chalo jaane do betābī meñ aisā ho hī jaatā hai
na ho barham jo bosa be-ijazat le liya main ne
chalo jaane do betabi mein aisa ho hi jata hai
ik raat dil-jaloñ ko ye aish-e-visāl de
phir chāhe āsmān jahannam meñ Daal de
just one night give these deprived the joy of company
thereafter if you wish merge paradise and purgatory
ek raat dil-jalon ko ye aish-e-visal de
phir chahe aasman jahannam mein Dal de
just one night give these deprived the joy of company
thereafter if you wish merge paradise and purgatory
-
Tag : Visaal
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
va.ada kyuuñ baar baar karte ho
ḳhud ko be-e'tibār karte ho
wada kyun bar bar karte ho
KHud ko be-e'tibar karte ho
maiñ jo aayā ġhair se hans kar kahā us ne 'jalāl'
ḳhatm hai jis par sharāfat vo kamīna aa gayā
main jo aaya ghair se hans kar kaha us ne 'jalal'
KHatm hai jis par sharafat wo kamina aa gaya
ga.ī thī kah ke maiñ laatī huuñ zulf-e-yār kī bū
phirī to bād-e-sabā kā dimāġh bhī na milā
gai thi kah ke main lati hun zulf-e-yar ki bu
phiri to baad-e-saba ka dimagh bhi na mila
-
Tag : Zulf
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
'jalāl' ahd-e-javānī hai doge dil sau baar
abhī kī tauba nahīñ e'tibār ke qābil
'jalal' ahd-e-jawani hai doge dil sau bar
abhi ki tauba nahin e'tibar ke qabil
ishq kī choT kā kuchh dil pe asar ho to sahī
dard kam ho yā ziyāda ho magar ho to sahī
ishq ki choT ka kuchh dil pe asar ho to sahi
dard kam ho ya ziyaada ho magar ho to sahi
jis ne kuchh ehsāñ kiyā ik bojh sar par rakh diyā
sar se tinkā kyā utārā sar pe chhappar rakh diyā
anyone who did a favour placed a burden on my head
removed a straw from over me, and placed a mountain instead
jis ne kuchh ehsan kiya ek bojh sar par rakh diya
sar se tinka kya utara sar pe chhappar rakh diya
anyone who did a favour placed a burden on my head
removed a straw from over me, and placed a mountain instead
-
Tag : Ehsaan
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
na ḳhauf-e-āh butoñ ko na Dar hai nāloñ kā
baḌā kaleja hai in dil dukhāne vāloñ kā
unafraid of soullful sighs, undaunted by the cries
these who break peoples hearts,
na KHauf-e-ah buton ko na Dar hai nalon ka
baDa kaleja hai in dil dukhane walon ka
unafraid of soullful sighs, undaunted by the cries
these who break peoples hearts,
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
maiñ ne pūchhā ki hai kyā shaġhl to hañs kar bole
aaj kal ham tere marne kī duā karte haiñ
main ne puchha ki hai kya shaghl to hans kar bole
aaj kal hum tere marne ki dua karte hain
pahuñche na vahāñ tak ye duā maañg rahā huuñ
qāsid ko udhar bhej ke dhyān aa.e hai kyā kyā
pahunche na wahan tak ye dua mang raha hun
qasid ko udhar bhej ke dhyan aae hai kya kya
shab ko mai ḳhuub sī pī sub.h ko tauba kar lī
riñd ke riñd rahe haath se jannat na ga.ī
shab ko mai KHub si pi subh ko tauba kar li
rind ke rind rahe hath se jannat na gai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download