Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Nooh Narvi's Photo'

Nooh Narvi

1878 - 1962

Known for promptness of expression/ Disciple of ‘Dagh’ Dehlvi

Known for promptness of expression/ Disciple of ‘Dagh’ Dehlvi

Sher of Nooh Narvi

16K
Favorite

SORT BY

adā aa.ī jafā aa.ī ġhurūr aayā hijāb aayā

hazāroñ āfateñ le kar hasīnoñ par shabāb aayā

ada aai jafa aai ghurur aaya hijab aaya

hazaron aafaten le kar hasinon par shabab aaya

ham intizār kareñ ham ko itnī taab nahīñ

pilā do tum hameñ paanī agar sharāb nahīñ

hum intizar karen hum ko itni tab nahin

pila do tum hamein pani agar sharab nahin

sunte rahe haiñ aap ke ausāf sab se ham

milne aap se kabhī mauqa.a nahīñ milā

sunte rahe hain aap ke ausaf sab se hum

milne ka aap se kabhi mauqa nahin mila

milnā jo na ho tum ko to kah do na mileñge

ye kyā kabhī parsoñ hai kabhī kal hai kabhī aaj

milna jo na ho tum ko to kah do na milenge

ye kya kabhi parson hai kabhi kal hai kabhi aaj

ishq meñ kuchh nazar nahīñ aayā

jis taraf dekhiye añdherā hai

ishq mein kuchh nazar nahin aaya

jis taraf dekhiye andhera hai

vo ḳhudā.ī kar rahe the jab ḳhudā hone se qabl

to ḳhudā jaane kareñge kyā ḳhudā hone ke ba.ad

wo KHudai kar rahe the jab KHuda hone se qabl

to KHuda jaane karenge kya KHuda hone ke baad

dostī ko burā samajhte haiñ

kyā samajh hai vo kyā samajhte haiñ

dosti ko bura samajhte hain

kya samajh hai wo kya samajhte hain

dil ke do hisse jo kar Daale the husn-o-ishq ne

ek sahrā ban gayā aur ek gulshan ho gayā

dil ke do hisse jo kar Dale the husn-o-ishq ne

ek sahra ban gaya aur ek gulshan ho gaya

kahīñ na un nazar se nazar kisī laḌe

vo is lihāz se āñkheñ jhukā.e baiThe haiñ

kahin na un ki nazar se nazar kisi ki laDe

wo is lihaz se aankhen jhukae baiThe hain

ḳhudā ke Dar se ham tum ko ḳhudā to kah nahīñ sakte

magar lutf-e-ḳhudā qahr-e-ḳhudā shān-e-ḳhudā tum ho

For fear of God, to you cannot, ascribe divinity

but joy divine, wrath divine, glory divine you be

KHuda ke Dar se hum tum ko KHuda to kah nahin sakte

magar lutf-e-KHuda qahr-e-KHuda shan-e-KHuda tum ho

For fear of God, to you cannot, ascribe divinity

but joy divine, wrath divine, glory divine you be

barsoñ rahe haiñ aap hamārī nigāh meñ

ye kyā kahā ki ham tumheñ pahchānte nahīñ

barson rahe hain aap hamari nigah mein

ye kya kaha ki hum tumhein pahchante nahin

mujh ko ye fikr ki dil muft gayā hāthoñ se

un ko ye naaz ki ham ne use chhīnā kaisā

mujh ko ye fikr ki dil muft gaya hathon se

un ko ye naz ki hum ne use chhina kaisa

lailā hai na majnūñ hai na shīrīñ hai na farhād

ab rah ga.e haiñ āshiq o ma.ashūq meñ ham aap

laila hai na majnun hai na shirin hai na farhad

ab rah gae hain aashiq o mashuq mein hum aap

kah rahī hai ye tirī tasvīr bhī

maiñ kisī se bolne vaalī nahīñ

kah rahi hai ye teri taswir bhi

main kisi se bolne wali nahin

mahfil meñ terī aa ke yuuñ be-ābrū hue

pahle the aap aap se tum tum se hue

mahfil mein teri aa ke yun be-abru hue

pahle the aap aap se tum tum se tu hue

jab zikr kiyā maiñ ne kabhī vasl un se

vo kahne lage paak mohabbat hai baḌī chiiz

jab zikr kiya main ne kabhi wasl ka un se

wo kahne lage pak mohabbat hai baDi chiz

na milo khul ke to chorī mulāqāt rahe

ham bulā.eñge tumheñ raat ga.e raat rahe

na milo khul ke to chori ki mulaqat rahe

hum bulaenge tumhein raat gae raat rahe

dil nazr karo zulm saho naaz uThāo

ai ahl-e-tamannā ye haiñ arkān-e-tamannā

dil nazr karo zulm saho naz uThao

ai ahl-e-tamanna ye hain arkan-e-tamanna

jo vaqt jā.egā vo palaT kar na aa.egā

din raat chāhiye sahar-o-shām lihāz

jo waqt jaega wo palaT kar na aaega

din raat chahiye sahar-o-sham ka lihaz

kambaḳht kabhī se guzarne nahīñ detī

jiine tamannā mujhe marne nahīñ detī

kambaKHt kabhi ji se guzarne nahin deti

jine ki tamanna mujhe marne nahin deti

ashkoñ ke Tapakne par tasdīq huī us

be-shak vo nahīñ uThte āñkhoñ se jo girte haiñ

ashkon ke Tapakne par tasdiq hui us ki

be-shak wo nahin uThte aankhon se jo girte hain

un se sab haal daġhābāz kahe dete haiñ

mere hamrāz mirā raaz kahe dete haiñ

un se sab haal daghabaz kahe dete hain

mere hamraaz mera raaz kahe dete hain

achchhe bure ko vo abhī pahchānte nahīñ

kamsin haiñ bhole-bhāle haiñ kuchh jānte nahīñ

achchhe bure ko wo abhi pahchante nahin

kamsin hain bhole-bhaale hain kuchh jaante nahin

aaj ā.eñge kal ā.eñge kal ā.eñge aaj ā.eñge

muddat se yahī vo kahte haiñ muddat se yahī ham sunte haiñ

aaj aaenge kal aaenge kal aaenge aaj aaenge

muddat se yahi wo kahte hain muddat se yahi hum sunte hain

vo haath meñ talvār liye sar pe khaḌe haiñ

marne nahīñ detī mujhe marne ḳhushī aaj

wo hath mein talwar liye sar pe khaDe hain

marne nahin deti mujhe marne ki KHushi aaj

be-vaj.h mohabbat se nahīñ bol rahe haiñ

vo bātoñ bātoñ meñ mujhe khol rahe haiñ

be-wajh mohabbat se nahin bol rahe hain

wo baaton hi baaton mein mujhe khol rahe hain

dil ko tum shauq se le jaao magar yaad rahe

ye na merā na tumhārā na kisī hogā

dil ko tum shauq se le jao magar yaad rahe

ye na mera na tumhaara na kisi ka hoga

jigar choT uupar se kahīñ ma.alūm hotī hai

jigar choT uupar se nahīñ ma.alūm hotī hai

jigar ki choT upar se kahin malum hoti hai

jigar ki choT upar se nahin malum hoti hai

aate aate raah par vo ā.eñge

jaate jaate bad-gumānī jā.egī

aate aate rah par wo aaenge

jate jate bad-gumani jaegi

ḳhaak ho kar ham pahuñch jaate

us taraf magar havā bhī nahīñ

KHak ho kar hi hum pahunch jate

us taraf ki magar hawa bhi nahin

hameñ isrār milne par tumheñ inkār milne se

na tum maano na ham māneñ na ye kam ho na vo kam ho

hamein israr milne par tumhein inkar milne se

na tum mano na hum manen na ye kam ho na wo kam ho

saaqī jo dil se chāhe to aa.e vo zamāna

har shaḳhs ho sharābī har ghar sharāb-ḳhāna

saqi jo dil se chahe to aae wo zamana

har shaKHs ho sharabi har ghar sharab-KHana

sharmā ke bigaḌ ke muskurā kar

vo chhup rahe ik jhalak dikhā kar

sharma ke bigaD ke muskura kar

wo chhup rahe ek jhalak dikha kar

un va.ada un paimāñ un iqrār un qaul

jitnī bāteñ haiñ hasīnoñ vo be-buniyād haiñ

un ka wada un ka paiman un ka iqrar un ka qaul

jitni baaten hain hasinon ki wo be-buniyaad hain

koī yahāñ se chal diyā raunaq-e-bām-o-dar nahīñ

dekh rahā huuñ ghar ko maiñ ghar hai magar vo ghar nahīñ

koi yahan se chal diya raunaq-e-baam-o-dar nahin

dekh raha hun ghar ko main ghar hai magar wo ghar nahin

dil unheñ deñge magar ham deñge in shartoñ ke saath

aazmā kar jāñch kar sun kar samajh kar dekh kar

dil unhen denge magar hum denge in sharton ke sath

aazma kar jaanch kar sun kar samajh kar dekh kar

vo baat kyā jo aur tahrīk se huī

vo kaam kyā jo ġhair imdād se huā

wo baat kya jo aur ki tahrik se hui

wo kaam kya jo ghair ki imdad se hua

allāh-re un ke husn mojiz-numā.iyāñ

jis baam par vo aa.eñ vahī koh-e-tūr ho

allah-re un ke husn ki mojiz-numaiyan

jis baam par wo aaen wahi koh-e-tur ho

ġhair ishq hai ki merā hai

saaf kah do abhī saverā hai

ghair ka ishq hai ki mera hai

saf kah do abhi sawera hai

ai 'nūh' tauba ishq se kar thī aap ne

phir tāñk-jhāñk kyuuñ hai ye phir dekh-bhāl kyā

ai 'nuh' tauba ishq se kar li thi aap ne

phir tank-jhank kyun hai ye phir dekh-bhaal kya

nuuh baiThe haiñ chārpā.ī par

chārpā.ī pe nuuh baiThe haiñ

nuh baiThe hain chaarpai par

chaarpai pe nuh baiThe hain

ye mere paas jo chup-chāp aa.e baiThe haiñ

hazār fitna-e-mahshar uThā.e baiThe haiñ

ye mere pas jo chup-chap aae baiThe hain

hazar fitna-e-mahshar uThae baiThe hain

bharī mahfil meñ un ko chheḌne kyā zarūrat thī

janāb-e-nūh tum bhī na koī be-adab hogā

bhari mahfil mein un ko chheDne ki kya zarurat thi

janab-e-nuh tum sa bhi na koi be-adab hoga

pāmāl ho ke bhī na uThā kū-e-yār se

maiñ us galī meñ sāya-e-dīvār ho gayā

pamal ho ke bhi na uTha ku-e-yar se

main us gali mein saya-e-diwar ho gaya

mujh ko nazroñ ke laḌāne se hai kaam

aap ko āñkheñ dikhāne se ġharaz

mujh ko nazron ke laDane se hai kaam

aap ko aankhen dikhane se gharaz

abhī us qayāmat ko maiñ kyā kahūñ

jo guzregī se guzarne ke ba.ad

abhi us qayamat ko main kya kahun

jo guzregi ji se guzarne ke baad

asīrān-e-qafas ko vāsta kyā in jhameloñ se

chaman meñ kab ḳhizāñ aa.ī chaman meñ kab bahār aa.ī

asiran-e-qafas ko wasta kya in jhamelon se

chaman mein kab KHizan aai chaman mein kab bahaar aai

chalo 'nūh' tum ko dikhā laa.eñ tum ne

na mai-ḳhāna dekhā na but-ḳhāna dekhā

chalo 'nuh' tum ko dikha laen tum ne

na mai-KHana dekha na but-KHana dekha

satyanās ho gayā dil

ishq ne ḳhuub ukhāḌ-pachhāḌ

satyanas ho gaya dil ka

ishq ne KHub ki ukhaD-pachhaD

mausam-e-gul abhī nahīñ aayā

chal diye ghar meñ ham lagā kar aag

mausam-e-gul abhi nahin aaya

chal diye ghar mein hum laga kar aag

Recitation

Speak Now