Sher on Bachpan
Life is divided into
three parts—childhood, adulthood, and old age. Childhood, however, has many facets. It is a physical state of being as well as a philosophical state of existence. Some of these verses on the idea and experience of childhood, as presented here, would be of interest to you.
farishte aa kar un ke jism par ḳhushbū lagāte haiñ
vo bachche rail ke Dibboñ meñ jo jhāḌū lagāte haiñ
farishte aa kar un ke jism par KHushbu lagate hain
wo bachche rail ke Dibbon mein jo jhaDu lagate hain
khilaunoñ kī dukāno rāstā do
mire bachche guzarnā chāhte haiñ
khilaunon ki dukano rasta do
mere bachche guzarna chahte hain
bhuuk chehroñ pe liye chāñd se pyāre bachche
bechte phirte haiñ galiyoñ meñ ġhubāre bachche
bhuk chehron pe liye chand se pyare bachche
bechte phirte hain galiyon mein ghubare bachche
-
Tag : Muflisi
kaun kahe ma.asūm hamārā bachpan thā
khel meñ bhī to aadhā aadhā āñgan thā
kaun kahe masum hamara bachpan tha
khel mein bhi to aadha aadha aangan tha
-
Tag : Aangan
hamāre muñh pe us ne aa.ine se dhuup tak pheñkī
abhī tak ham samajh kar us ko bachcha chhoḌ dete haiñ
hamare munh pe us ne aaine se dhup tak phenki
abhi tak hum samajh kar us ko bachcha chhoD dete hain
-
Tag : Dhoop
ham to bachpan meñ bhī akele the
sirf dil kī galī meñ khele the
hum to bachpan mein bhi akele the
sirf dil ki gali mein khele the
uḌne do parindoñ ko abhī shoḳh havā meñ
phir lauT ke bachpan ke zamāne nahīñ aate
uDne do parindon ko abhi shoKH hawa mein
phir lauT ke bachpan ke zamane nahin aate
duā.eñ yaad karā dī ga.ī thiiñ bachpan meñ
so zaḳhm khāte rahe aur duā diye ga.e ham
duaen yaad kara di gai thin bachpan mein
so zaKHm khate rahe aur dua diye gae hum
-
Tag : Dua
ab tak hamārī umr kā bachpan nahīñ gayā
ghar se chale the jeb ke paise girā diye
ab tak hamari umr ka bachpan nahin gaya
ghar se chale the jeb ke paise gira diye
baḌī hasrat se insāñ bachpane ko yaad kartā hai
ye phal pak kar dobāra chāhtā hai ḳhaam ho jaa.e
baDi hasrat se insan bachpane ko yaad karta hai
ye phal pak kar dobara chahta hai KHam ho jae
jis ke liye bachcha royā thā aur poñchhe the aañsū baabā ne
vo bachcha ab bhī zinda hai vo mahñgā khilaunā TuuT gayā
jis ke liye bachcha roya tha aur ponchhe the aansu baba ne
wo bachcha ab bhi zinda hai wo mahnga khilauna TuT gaya
kitāboñ se nikal kar titliyāñ ġhazleñ sunātī haiñ
tiffin rakhtī hai merī maañ to basta muskurātā hai
kitabon se nikal kar titliyan ghazlen sunati hain
tiffin rakhti hai meri man to basta muskuraata hai
'jamāl' har shahr se hai pyārā vo shahr mujh ko
jahāñ se dekhā thā pahlī baar āsmān maiñ ne
'jamal' har shahr se hai pyara wo shahr mujh ko
jahan se dekha tha pahli bar aasman main ne
-
Tag : Nostalgia
mere rone kā jis meñ qissa hai
umr kā behtarīn hissa hai
mere rone ka jis mein qissa hai
umr ka behtarin hissa hai
ye zindagī kuchh bhī ho magar apne liye to
kuchh bhī nahīñ bachchoñ kī sharārat ke alāva
ye zindagi kuchh bhi ho magar apne liye to
kuchh bhi nahin bachchon ki shararat ke alawa
asīr-e-panja-e-ahd-e-shabāb kar ke mujhe
kahāñ gayā mirā bachpan ḳharāb kar ke mujhe
asir-e-panja-e-ahd-e-shabab kar ke mujhe
kahan gaya mera bachpan KHarab kar ke mujhe
-
Tag : Nostalgia
mohalle vaale mere kār-e-be-masraf pe hañste haiñ
maiñ bachchoñ ke liye galiyoñ meñ ġhubbāre banātā huuñ
mohalle wale mere kar-e-be-masraf pe hanste hain
main bachchon ke liye galiyon mein ghubbare banata hun
maiñ bachpan meñ khilaune toḌtā thā
mire anjām kī vo ibtidā thī
main bachpan mein khilaune toDta tha
mere anjam ki wo ibtida thi
apne bachchoñ ko maiñ bātoñ meñ lagā letā huuñ
jab bhī āvāz lagātā hai khilaune vaalā
apne bachchon ko main baaton mein laga leta hun
jab bhi aawaz lagata hai khilaune wala
faqat māl-o-zar-e-dīvār-o-dar achchhā nahīñ lagtā
jahāñ bachche nahīñ hote vo ghar achchhā nahīñ lagtā
faqat mal-o-zar-e-diwar-o-dar achchha nahin lagta
jahan bachche nahin hote wo ghar achchha nahin lagta
bachchoñ ke chhoTe hāthoñ ko chāñd sitāre chhūne do
chaar kitābeñ paḌh kar ye bhī ham jaise ho jā.eñge
let the hands of innocents reach out for stars and moon
with education they'd become like us so very soon
bachchon ke chhoTe hathon ko chand sitare chhune do
chaar kitaben paDh kar ye bhi hum jaise ho jaenge
let the hands of innocents reach out for stars and moon
with education they'd become like us so very soon
merā bachpan bhī saath le aayā
gaañv se jab bhī aa gayā koī
mera bachpan bhi sath le aaya
ganw se jab bhi aa gaya koi
-
Tag : Gaon
bachpan meñ ham hī the yā thā aur koī
vahshat sī hone lagtī hai yādoñ se
bachpan mein hum hi the ya tha aur koi
wahshat si hone lagti hai yaadon se
chup-chāp baiThe rahte haiñ kuchh bolte nahīñ
bachche bigaḌ ga.e haiñ bahut dekh-bhāl se
chup-chap baiThe rahte hain kuchh bolte nahin
bachche bigaD gae hain bahut dekh-bhaal se
ik khilaunā jogī se kho gayā thā bachpan meñ
DhūñDhtā phirā us ko vo nagar nagar tanhā
ek khilauna jogi se kho gaya tha bachpan mein
DhunDhta phira us ko wo nagar nagar tanha
sātoñ aalam sar karne ke ba.ad ik din kī chhuTTī le kar
ghar meñ chiḌiyoñ ke gaane par bachchoñ kī hairānī dekho
saton aalam sar karne ke baad ek din ki chhuTTi le kar
ghar mein chiDiyon ke gane par bachchon ki hairani dekho
ek hāthī ek raaja ek raanī ke baġhair
niiñd bachchoñ ko nahīñ aatī kahānī ke baġhair
ek hathi ek raja ek rani ke baghair
nind bachchon ko nahin aati kahani ke baghair