Sher on Sharm
Shyness is one of the
most lovable qualities of the beloved. It characterizes her and adds beauty to her being. Classical Urdu poets have used the image of the shy beloved quite frequently and created most fascinating studies of the lady love. You may like to view some of those states of the beloved’s being in this selection.
milā kar ḳhaak meñ bhī haa.e sharm un kī nahīñ jaatī
nigah nīchī kiye vo sāmne madfan ke baiThe haiñ
mila kar KHak mein bhi hae sharm un ki nahin jati
nigah nichi kiye wo samne madfan ke baiThe hain
mohabbat ke iqrār se sharm kab tak
kabhī sāmnā ho to majbūr kar duuñ
mohabbat ke iqrar se sharm kab tak
kabhi samna ho to majbur kar dun
hamīñ jab na hoñge to kyā rañg-e-mahfil
kise dekh kar aap sharmā.iyegā
hamin jab na honge to kya rang-e-mahfil
kise dekh kar aap sharmaiyega
dekh kar ham ko na parde meñ tū chhup jaayā kar
ham to apne haiñ miyāñ ġhair se sharmāyā kar
dekh kar hum ko na parde mein tu chhup jaya kar
hum to apne hain miyan ghair se sharmaya kar
-
Tag : Naqab
jaam le kar mujh se vo kahtā hai apne muñh ko pher
rū-ba-rū yuuñ tere mai piine se sharmāte haiñ ham
jam le kar mujh se wo kahta hai apne munh ko pher
ru-ba-ru yun tere mai pine se sharmate hain hum
-
Tags : Adaand 2 more
us husn kā sheva hai jab ishq nazar aa.e
parde meñ chale jaanā sharmā.e hue rahnā
us husn ka shewa hai jab ishq nazar aae
parde mein chale jaana sharmae hue rahna
sharm bhī ik tarah kī chorī hai
vo badan ko churā.e baiThe haiñ
sharm bhi ek tarah ki chori hai
wo badan ko churae baiThe hain
-
Tag : Badan
naam merā sunte hī sharmā ga.e
tum ne to ḳhud aap ko rusvā kiyā
nam mera sunte hi sharma gae
tum ne to KHud aap ko ruswa kiya
shab-e-vasl kyā jaane kyā yaad aayā
vo kuchh aap hī aap sharmā rahe haiñ
shab-e-wasl kya jaane kya yaad aaya
wo kuchh aap hi aap sharma rahe hain