yārān-e-be-bisāt ki har bāzī-e-hayāt
khele baġhair haar ga.e maat ho ga.ī
yaran-e-be-bisat ki har bazi-e-hayat
khele baghair haar gae mat ho gai
bahut ġhurūr thā sūraj ko apnī shiddat par
so ek pal hī sahī bādaloñ se haar gayā
bahut ghurur tha suraj ko apni shiddat par
so ek pal hi sahi baadalon se haar gaya
maiñ sach kahūñgī magar phir bhī haar jā.ūñgī
vo jhuuT bolegā aur lā-javāb kar degā
main sach kahungi magar phir bhi haar jaungi
wo jhuT bolega aur la-jawab kar dega
-
Tag : Sach
pahāḌ kāTne vaale zamīñ se haar ga.e
isī zamīn meñ dariyā samā.e haiñ kyā kyā
pahaD kaTne wale zamin se haar gae
isi zamin mein dariya samae hain kya kya
dushman mujh par ġhālib bhī aa saktā hai
haar mirī majbūrī bhī ho saktī hai
dushman mujh par ghaalib bhi aa sakta hai
haar meri majburi bhi ho sakti hai
-
Tags : Dushmanand 1 more
ham aaj rāh-e-tamannā meñ jī ko haar aa.e
na dard-o-ġham kā bharosā rahā na duniyā kā
hum aaj rah-e-tamanna mein ji ko haar aae
na dard-o-gham ka bharosa raha na duniya ka
-
Tags : Bharosaand 3 more
āḳhirī lamhāt meñ kyā sochne lagte ho tum
jiit ke nazdīk aa kar haar jaayā mat karo
aaKHiri lamhat mein kya sochne lagte ho tum
jit ke nazdik aa kar haar jaya mat karo
-
Tag : Jeet
ab ke milī shikast mirī or se mujhe
jitvā diyā gayā kisī kamzor se mujhe
ab ke mili shikast meri or se mujhe
jitwa diya gaya kisi kamzor se mujhe
vo intiqām kī ātish thī mere siine meñ
milā na koī to ḳhud ko pachhāḌ aayā huuñ
wo intiqam ki aatish thi mere sine mein
mila na koi to KHud ko pachhaD aaya hun
-
Tag : Jeet
dil sā vahshī kabhī qaabū meñ na aayā yaaro
haar kar baiTh ga.e jaal bichhāne vaale
dil sa wahshi kabhi qabu mein na aaya yaro
haar kar baiTh gae jal bichhane wale
-
Tag : Dil