Sher on Tasawwuf
Tasavvuf, or mysticism,
has been one of the most popular subjects of study, especially in the philosophy and literatures of the Orient. It relates with the divine whom one reaches through multiple routes. While Sufi poets and writers have pondered closely over these, others too have developed their own perspectives on tasavvuf. The following verses would bring you close to their understanding of these aspects.
tū hī zāhir hai tū hī bātin hai
tū hī tū hai to maiñ kahāñ tak huuñ
tu hi zahir hai tu hi baatin hai
tu hi tu hai to main kahan tak hun
kah sake kaun ki ye jalvagarī kis kī hai
parda chhoḌā hai vo us ne ki uThā.e na bane
kah sake kaun ki ye jalwagari kis ki hai
parda chhoDa hai wo us ne ki uThae na bane
har tamannā dil se ruḳhsat ho ga.ī
ab to aa jā ab to ḳhalvat ho ga.ī
har tamanna dil se ruKHsat ho gai
ab to aa ja ab to KHalwat ho gai
zāhir kī aañkh se na tamāshā kare koī
ho dekhnā to dīda-e-dil vā kare koī
zahir ki aankh se na tamasha kare koi
ho dekhna to dida-e-dil wa kare koi
-
Tags : Deedarand 1 more
hai ġhalat gar gumān meñ kuchh hai
tujh sivā bhī jahān meñ kuchh hai
hai ghalat gar guman mein kuchh hai
tujh siwa bhi jahan mein kuchh hai
arz-o-samā kahāñ tirī vus.at ko pā sake
merā hī dil hai vo ki jahāñ tū samā sake
arz-o-sama kahan teri wusat ko pa sake
mera hi dil hai wo ki jahan tu sama sake
tar-dāmanī pe shaiḳh hamārī na jā.iyo
dāman nichoḌ deñ to farishte vazū kareñ
do not be deceived by it damp disposition
if I wring my cloak, angels will do ablution
tar-damani pe shaiKH hamari na jaiyo
daman nichoD den to farishte wazu karen
do not be deceived by it damp disposition
if I wring my cloak, angels will do ablution
tamāshā-e-dair-o-haram dekhte haiñ
tujhe har bahāne se ham dekhte haiñ
tamasha-e-dair-o-haram dekhte hain
tujhe har bahane se hum dekhte hain
-
Tag : Bahana
bas jaan gayā maiñ tirī pahchān yahī hai
tū dil meñ to aatā hai samajh meñ nahīñ aatā
bas jaan gaya main teri pahchan yahi hai
tu dil mein to aata hai samajh mein nahin aata
ḳhabar-e-tahayyur-e-ishq sun na junūñ rahā na parī rahī
na to tū rahā na to maiñ rahā jo rahī so be-ḳhabarī rahī
KHabar-e-tahayyur-e-ishq sun na junun raha na pari rahi
na to tu raha na to main raha jo rahi so be-KHabari rahi
-
Tags : Bekhabariand 1 more
thā musta.ār husn se us ke jo nuur thā
ḳhurshīd meñ bhī us hī kā zarra zuhūr thā
tha mustaar husn se us ke jo nur tha
KHurshid mein bhi us hi ka zarra zuhur tha
shabān-e-hijrāñ darāz chuuñ zulf roz-e-vaslat chū umr kotāh
sakhī piyā ko jo maiñ na dekhūñ to kaise kāTūñ añdherī ratiyāñ
shaban-e-hijran daraaz chun zulf roz-e-waslat chu umr kotah
sakhi piya ko jo main na dekhun to kaise kaTun andheri ratiyan
-
Tags : Famous shayariand 2 more
jag meñ aa kar idhar udhar dekhā
tū hī aayā nazar jidhar dekhā
jag mein aa kar idhar udhar dekha
tu hi aaya nazar jidhar dekha
-
Tag : Khuda
dariyā se mauj mauj se dariyā judā nahīñ
ham se judā nahīñ hai ḳhudā aur ḳhudā se ham
dariya se mauj mauj se dariya juda nahin
hum se juda nahin hai KHuda aur KHuda se hum
kareñ ham kis kī puujā aur chaḌhā.eñ kis ko chandan ham
sanam ham dair ham but-ḳhāna ham but ham barahman ham
karen hum kis ki puja aur chaDhaen kis ko chandan hum
sanam hum dair hum but-KHana hum but hum barahman hum
dil-e-har-qatra hai sāz-e-anal-bahar
ham us ke haiñ hamārā pūchhnā kyā
dil-e-har-qatra hai saz-e-anal-bahar
hum us ke hain hamara puchhna kya
ze-hāl-e-miskīñ makun taġhāful durā.e naināñ banā.e batiyāñ
ki tāb-e-hijrāñ nadāram ai jaañ na lehū kaahe lagā.e chhatiyāñ
ze-haal-e-miskin makun taghaful durae nainan banae batiyan
ki tab-e-hijran nadaram ai jaan na lehu kahe lagae chhatiyan
-
Tags : Famous shayariand 1 more
jaan se ho ga.e badan ḳhālī
jis taraf tū ne aañkh bhar dekhā
jaan se ho gae badan KHali
jis taraf tu ne aankh bhar dekha
-
Tag : Eyes
fareb-e-jalva kahāñ tak ba-rū-e-kār rahe
naqāb uThāo ki kuchh din zarā bahār rahe
fareb-e-jalwa kahan tak ba-ru-e-kar rahe
naqab uThao ki kuchh din zara bahaar rahe
-
Tag : Welcome
laayā hai mirā shauq mujhe parde se bāhar
maiñ varna vahī ḳhalvatī-e-rāz-e-nihāñ huuñ
TRANSLATION
My own passion brought me out from behind the curtain,
for I am really one who dwells in mystery, in secret seclusion.
Shamsur Rahman Faruqi
laya hai mera shauq mujhe parde se bahar
main warna wahi KHalwati-e-raaz-e-nihan hun
TRANSLATION
My own passion brought me out from behind the curtain,
for I am really one who dwells in mystery, in secret seclusion.
Shamsur Rahman Faruqi
-
Tags : Meer Taqi Meerand 1 more