Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Meer Hasan's Photo'

Meer Hasan

1717 - 1786 | Lucknow, India

Considered to be the foremost poet of masnavi

Considered to be the foremost poet of masnavi

Sher of Meer Hasan

18.2K
Favorite

SORT BY

sadā aish daurāñ dikhātā nahīñ

gayā vaqt phir haath aatā nahīñ

sada aish dauran dikhata nahin

gaya waqt phir hath aata nahin

dostī kis se na thī kis se mujhe pyaar na thā

jab bure vaqt pe dekhā to koī yaar na thā

dosti kis se na thi kis se mujhe pyar na tha

jab bure waqt pe dekha to koi yar na tha

āsāñ na samajhiyo tum naḳhvat se paak honā

ik umr kho ke ham ne sīkhā hai ḳhaak honā

aasan na samajhiyo tum naKHwat se pak hona

ek umr kho ke hum ne sikha hai KHak hona

āshnā bevafā nahīñ hotā

bevafā āshnā nahīñ hotā

aashna bewafa nahin hota

bewafa aashna nahin hota

aur kuchh tohfa na thā jo laate ham tere niyāz

ek do aañsū the āñkhoñ meñ so bhar laa.eñ haiñ ham

aur kuchh tohfa na tha jo late hum tere niyaz

ek do aansu the aankhon mein so bhar laen hain hum

jo koī aave hai nazdīk baiThe hai tire

ham kahāñ tak tire pahlū se sarakte jāveñ

whoever comes takes his place here right by your side

how long with this displacement from you shall I abide

jo koi aawe hai nazdik hi baiThe hai tere

hum kahan tak tere pahlu se sarakte jawen

whoever comes takes his place here right by your side

how long with this displacement from you shall I abide

ġhair ko tum na aañkh bhar dekho

kyā ġhazab karte ho idhar dekho

ghair ko tum na aankh bhar dekho

kya ghazab karte ho idhar dekho

jān-o-dil haiñ udaas se mere

uTh gayā kaun paas se mere

jaan-o-dil hain udas se mere

uTh gaya kaun pas se mere

itne aañsū to na the dīda-e-tar ke aage

ab to paanī bharā rahtā hai ghar ke aage

itne aansu to na the dida-e-tar ke aage

ab to pani hi bhara rahta hai ghar ke aage

qismat ne duur aisā pheñkā hameñ ki ham

phir jīte-jī pahuñch na sake apne yaar tak

qismat ne dur aisa hi phenka hamein ki hum

phir jite-ji pahunch na sake apne yar tak

iz.hār-e-ḳhamoshī meñ hai sau tarah fariyād

zāhir ye parda hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā

izhaar-e-KHamoshi mein hai sau tarah ki fariyaad

zahir ka ye parda hai ki main kuchh nahin kahta

go bhale sab haiñ aur maiñ huuñ burā

kyā bhaloñ meñ burā nahīñ hotā

go bhale sab hain aur main hun bura

kya bhalon mein bura nahin hota

vasl hotā hai jin ko duniyā meñ

yārab aise bhī log hote haiñ

wasl hota hai jin ko duniya mein

yarab aise bhi log hote hain

kyuuñ in dinoñ 'hasan' itnā jhaTak gayā hai

zālim kahīñ tirā dil kyā phir aTak gayā hai

kyun in dinon 'hasan' tu itna jhaTak gaya hai

zalim kahin tera dil kya phir aTak gaya hai

Tuk dekh leñ chaman ko chalo lāla-zār tak

kyā jaane phir ji.eñ na ji.eñ ham bahār tak

Tuk dekh len chaman ko chalo lala-zar tak

kya jaane phir jien na jien hum bahaar tak

maiñ ne jo kahā mujh pe kyā kyā na sitam guzrā

bolā ki abe terā rote janam guzrā

main ne jo kaha mujh pe kya kya na sitam guzra

bola ki abe tera rote hi janam guzra

ham ko bhī dushmanī se tire kaam kuchh nahīñ

tujh ko agar hamāre nahīñ pyaar se ġharaz

hum ko bhi dushmani se tere kaam kuchh nahin

tujh ko agar hamare nahin pyar se gharaz

duniyā hai sambhal ke dil lagānā

yaañ log ajab ajab mileñge

duniya hai sambhal ke dil lagana

yan log ajab ajab milenge

ishq ab martaba pahuñchā muqābil husn ke

ban ga.e but ham bhī āḳhir us sanam yaad meñ

ishq ka ab martaba pahuncha muqabil husn ke

ban gae but hum bhi aaKHir us sanam ki yaad mein

sar ko na pheñk apne falak par ġhurūr se

ḳhaak se banā hai tirā ghar zamīn hai

sar ko na phenk apne falak par ghurur se

tu KHak se bana hai tera ghar zamin hai

ḳhafā mujh se ho to ho lekin

maiñ to tujh se ḳhafā nahīñ hotā

tu KHafa mujh se ho to ho lekin

main to tujh se KHafa nahin hota

furqat shab meñ aaj phir kyā jalāveñge

dil diyā thā ek so kal jalā diyā

furqat ki shab mein aaj ki phir kya jalawenge

dil ka diya tha ek so kal hi jala diya

mat poñchh abrū-e-araq-ālūd haath se

lāzim hai ehtiyāt ki hai āb-dār teġh

mat ponchh abru-e-araq-alud hath se

lazim hai ehtiyat ki hai aab-dar tegh

na ġharaz mujh ko hai kāfir se na dīñ-dār se kaam

roz-o-shab hai mujhe us kākul-e-ḳhamdār se kaam

na gharaz mujh ko hai kafir se na din-dar se kaam

roz-o-shab hai mujhe us kakul-e-KHamdar se kaam

is ko ummīd nahīñ hai kabhī phir basne ke

aur vīrānoñ se is dil hai vīrāna judā

is ko ummid nahin hai kabhi phir basne ke

aur viranon se is dil ka hai virana juda

kar ke bismil na ne phir dekhā

bas isī ġham meñ jaan ham ne

kar ke bismil na tu ne phir dekha

bas isi gham mein jaan di hum ne

lagāyā mohabbat jab yaañ shajar

shajar lag gayā aur samar jal gayā

lagaya mohabbat ka jab yan shajar

shajar lag gaya aur samar jal gaya

maiñ to is Dar se kuchh nahīñ kahtā

mabādā udaas ho jaave

main to is Dar se kuchh nahin kahta

tu mabaada udas ho jawe

naujavānī diid kar liije

apne mausam iid kar liije

naujawani ki did kar lije

apne mausam ki id kar lije

rahā dil meñ dil rahā tujh meñ

tis pe terā milāp ho na sakā

tu raha dil mein dil raha tujh mein

tis pe tera milap ho na saka

hai yahī shauq shahādat agar dil meñ to ishq

le pahuñchegā hameñ bhī tirī shamshīr talak

hai yahi shauq shahadat ka agar dil mein to ishq

le hi pahunchega hamein bhi teri shamshir talak

maiñ ne paayā na ise shahr meñ na sahrā meñ

ne le ke mire dil ko kahāñ chhoḌ diyā

main ne paya na ise shahr mein na sahra mein

tu ne le ja ke mere dil ko kahan chhoD diya

bas gayā jab se yaar āñkhoñ meñ

tab se phūlī bahār āñkhoñ meñ

bas gaya jab se yar aankhon mein

tab se phuli bahaar aankhon mein

jab se judā huā hai vo shoḳh tab se mujh ko

nit aah aah karnā aur zaar zaar ronā

jab se juda hua hai wo shoKH tab se mujh ko

nit aah aah karna aur zar zar rona

dard kartā hai tap-e-ishq shiddat se mirā

sar judā siina judā qalb judā shāna judā

dard karta hai tap-e-ishq ki shiddat se mera

sar juda sina juda qalb juda shana juda

mohabbat rasta ajab garm thā

qadam jab dharā ḳhaak par jal gayā

mohabbat ka rasta ajab garm tha

qadam jab dhara KHak par jal gaya

zulm kab tak kījiyegā is dil-e-nāshād par

ab to is bande pe Tuk kiije karam banda-navāz

zulm kab tak kijiyega is dil-e-nashad par

ab to is bande pe Tuk kije karam banda-nawaz

guzrī hai raat mujh meñ aur dil meñ turfa sohbat

īdhar to maiñ ne aah ūdhar se vo karāhā

guzri hai raat mujh mein aur dil mein turfa sohbat

idhar to main ne ki aah udhar se wo karaha

us shoḳh ke jaane se ajab haal hai merā

jaise koī bhūle hue phirtā hai kuchh apnā

us shoKH ke jaane se ajab haal hai mera

jaise koi bhule hue phirta hai kuchh apna

taaki ibrat kareñ aur ġhair na dekheñ tujh ko

meñ aatā hai nikalvā.iye do-chār aañkh

taki ibrat karen aur ghair na dekhen tujh ko

ji mein aata hai nikalwaiye do-chaar ki aankh

ḳhvāh ka.aba ho ki but-ḳhāna ġharaz ham se sun

jis taraf dil tabī.at ho udhar ko chaliye

KHwah kaba ho ki but-KHana gharaz hum se sun

jis taraf dil ki tabiat ho udhar ko chaliye

kūcha-e-yār hai aur dair hai aur ka.aba hai

dekhiye ishq hameñ aah kidhar lāvegā

kucha-e-yar hai aur dair hai aur kaba hai

dekhiye ishq hamein aah kidhar lawega

mat baḳht-e-ḳhufta par mire hañs ai raqīb

hogā tire nasīb bhī ye ḳhvāb dekhnā

mat baKHt-e-KHufta par mere hans ai raqib tu

hoga tere nasib bhi ye KHwab dekhna

aah ta.azīm ko uThtī hai mire siine se

dil pe jab us nigāhoñ ke ḳhadañg aate haiñ

aah tazim ko uThti hai mere sine se

dil pe jab us ki nigahon ke KHadang aate hain

ek dam bhī milā na ham ko qarār

is dil-e-be-qarār ke hāthoñ

ek dam bhi mila na hum ko qarar

is dil-e-be-qarar ke hathon

kyuuñ giraftārī ke baa.is muztarib sayyād huuñ

lagte lagte qafas meñ bhī mirā lag jā.egā

kyun giraftari ke bais muztarib sayyaad hun

lagte lagte ji qafas mein bhi mera lag jaega

nazar aane se rah gayā az-bas

chhā gayā intizār āñkhoñ meñ

nazar aane se rah gaya az-bas

chha gaya intizar aankhon mein

kahtā hai ki tujh ko paatā nahīñ kabhī ghar

ye jhuuT sach hai dekhūñ aaj apne ghar rahūñgā

kahta hai tu ki tujh ko pata nahin kabhi ghar

ye jhuT sach hai dekhun aaj apne ghar rahunga

aah kyā shikva karūñ maiñ haath se us ke hinā

jab huī mere lahū rañg tab dhone lagā

aah kya shikwa karun main hath se us ke hina

jab hui mere lahu ki rang tab dhone laga

bas ab chaupaḌ uThāo aur kuchh bāteñ kareñ sāhab

jo maiñ jiitā to tum jiite jo tum haare to maiñ haarā

bas ab chaupaD uThao aur kuchh baaten karen sahab

jo main jita to tum jite jo tum haare to main haara

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now