Sher of Mubarak Azimabadi
jo nigāh-e-nāz kā bismil nahīñ
dil nahīñ vo dil nahīñ vo dil nahīñ
jo nigah-e-naz ka bismil nahin
dil nahin wo dil nahin wo dil nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
terī baḳhshish ke bharose pe ḳhatā.eñ kī haiñ
terī rahmat ke sahāre ne gunahgār kiyā
teri baKHshish ke bharose pe KHataen ki hain
teri rahmat ke sahaare ne gunahgar kiya
mujh ko ma.alūm hai anjām-e-mohabbat kyā hai
ek din maut kī ummīd pe jiinā hogā
mujh ko malum hai anjam-e-mohabbat kya hai
ek din maut ki ummid pe jina hoga
rahne de apnī bandagī zāhid
be-mohabbat ḳhudā nahīñ miltā
rahne de apni bandagi zahid
be-mohabbat KHuda nahin milta
phuul kyā Dāloge turbat par mirī
ḳhaak bhī tum se na Daalī jā.egī
phul kya Daloge turbat par meri
KHak bhi tum se na Dali jaegi
din bhī hai raat bhī hai sub.h bhī hai shaam bhī hai
itne vaqtoñ meñ koī vaqt-e-mulāqāt bhī hai
din bhi hai raat bhi hai subh bhi hai sham bhi hai
itne waqton mein koi waqt-e-mulaqat bhi hai
tirī adā kī qasam hai tirī adā ke sivā
pasand aur kisī kī hameñ adā na huī
teri ada ki qasam hai teri ada ke siwa
pasand aur kisi ki hamein ada na hui
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
hañsī hai dil-lagī hai qahqahe haiñ
tumhārī anjuman kā pūchhnā kyā
hansi hai dil-lagi hai qahqahe hain
tumhaari anjuman ka puchhna kya
kab vo ā.eñge ilāhī mire mehmāñ ho kar
kaun din kaun baras kaun mahīna hogā
kab wo aaenge ilahi mere mehman ho kar
kaun din kaun baras kaun mahina hoga
aap kā iḳhtiyār hai sab par
aap par iḳhtiyār kis kā hai
aap ka iKHtiyar hai sab par
aap par iKHtiyar kis ka hai
jo dil-nashīñ ho kisī ke to is kā kyā kahnā
jagah nasīb se miltī hai dil ke goshoñ meñ
jo dil-nashin ho kisi ke to is ka kya kahna
jagah nasib se milti hai dil ke goshon mein
apnī sī karo tum bhī apnī sī kareñ ham bhī
kuchh tum ne bhī Thānī hai kuchh ham ne bhī Thānī hai
apni si karo tum bhi apni si karen hum bhi
kuchh tum ne bhi Thani hai kuchh hum ne bhi Thani hai
mehrbānī chārasāzoñ kī baḌhī
jab baḌhā darmāñ to bīmārī baḌhī
mehrbani chaarasazon ki baDhi
jab baDha darman to bimari baDhi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
qubūl ho ki na ho sajda o salām apnā
tumhāre bande haiñ ham bandagī hai kaam apnā
qubul ho ki na ho sajda o salam apna
tumhaare bande hain hum bandagi hai kaam apna
bevafā umr daġhābāz javānī niklī
na yahī rahtī hai zālim na vahī rahtī hai
bewafa umr daghabaz jawani nikli
na yahi rahti hai zalim na wahi rahti hai
le chalā phir mujhe dil yār-e-dil-āzār ke paas
ab ke chhoḌ ā.ūñgā zālim ko sitamgār ke paas
le chala phir mujhe dil yar-e-dil-azar ke pas
ab ke chhoD aaunga zalim ko sitamgar ke pas
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dāman ashkoñ se tar kareñ kyūñ-kar
raaz ko mushtahar kareñ kyūñ-kar
daman ashkon se tar karen kyun-kar
raaz ko mushtahar karen kyun-kar
milo milo na milo iḳhtiyār hai tum ko
is aarzū ke sivā aur aarzū kyā hai
milo milo na milo iKHtiyar hai tum ko
is aarzu ke siwa aur aarzu kya hai
ik tirī baat ki jis baat kī tardīd muhāl
ik mirā ḳhvāb ki jis ḳhvāb kī ta.abīr nahīñ
ek teri baat ki jis baat ki tardid muhaal
ek mera KHwab ki jis KHwab ki tabir nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kab un āñkhoñ kā sāmnā na huā
tiir jin kā kabhī ḳhatā na huā
kab un aankhon ka samna na hua
tir jin ka kabhi KHata na hua
samjhā.eñ kis tarah dil-e-nā-kardā-kār ko
ye dostī samajhtā hai dushman ke pyaar ko
samjhaen kis tarah dil-e-na-karda-kar ko
ye dosti samajhta hai dushman ke pyar ko
kisī ne barchhiyāñ mārīñ kisī ne tiir maare haiñ
ḳhudā rakkhe inheñ ye sab karam-farmā hamāre haiñ
kisi ne barchhiyan marin kisi ne tir mare hain
KHuda rakkhe inhen ye sab karam-farma hamare hain
jo qayāmat kā nahīñ din vo mirā din kaisā
jo taḌap kar na kaTī ho vo mirī raat nahīñ
jo qayamat ka nahin din wo mera din kaisa
jo taDap kar na kaTi ho wo meri raat nahin
maiñ to har har ḳham-e-gesū kī talāshī lūñgā
ki mirā dil hai tire gesū-e-ḳhamdār ke paas
main to har har KHam-e-gesu ki talashi lunga
ki mera dil hai tere gesu-e-KHamdar ke pas
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aane meñ kabhī aap se jaldī nahīñ hotī
jaane meñ kabhī aap tavaqquf nahīñ karte
aane mein kabhi aap se jaldi nahin hoti
jaane mein kabhi aap tawaqquf nahin karte
ye ġham-kada hai is meñ 'mubārak' ḳhushī kahāñ
ġham ko ḳhushī banā koī pahlū nikāl ke
ye gham-kada hai is mein 'mubarak' KHushi kahan
gham ko KHushi bana koi pahlu nikal ke
-
Tag : Gham
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kisī se aaj kā va.ada kisī se kal kā va.ada hai
zamāne ko lagā rakkhā hai is ummīd-vārī meñ
kisi se aaj ka wada kisi se kal ka wada hai
zamane ko laga rakkha hai is ummid-wari mein
mohabbat meñ vafā kī had jafā kī intihā kaisī
'mubārak' phir na kahnā ye sitam koī sahe kab tak
mohabbat mein wafa ki had jafa ki intiha kaisi
'mubarak' phir na kahna ye sitam koi sahe kab tak
us galī meñ hazār ġham TuuTā
aanā jaanā magar nahīñ chhūTā
us gali mein hazar gham TuTa
aana jaana magar nahin chhuTa
kahīñ aisā na ho kam-baḳht meñ jaan aa jaa.e
is liye haath meñ lete mirī tasvīr nahīñ
kahin aisa na ho kam-baKHt mein jaan aa jae
is liye hath mein lete meri taswir nahin
-
Tag : Tasweer
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mirī ḳhaak bhī uḌegī bā-adab tirī galī meñ
tire āstāñ se ūñchā na mirā ġhubār hogā
meri KHak bhi uDegi ba-adab teri gali mein
tere aastan se uncha na mera ghubar hoga
ga.ī bahār magar apnī be-ḳhudī hai vahī
samajh rahā huuñ ki ab tak bahār baaqī hai
gai bahaar magar apni be-KHudi hai wahi
samajh raha hun ki ab tak bahaar baqi hai
kisī kī tamannā nikaltī rahī
mirī aarzū haath maltī rahī
kisi ki tamanna nikalti rahi
meri aarzu hath malti rahi
shikast-e-tauba kī tamhīd hai tirī tauba
zabāñ pe tauba 'mubārak' nigāh sāġhar par
shikast-e-tauba ki tamhid hai teri tauba
zaban pe tauba 'mubarak' nigah saghar par
ye tasarruf hai 'mubārak' daaġh kā
kyā se kyā urdu zabāñ hotī ga.ī
ye tasarruf hai 'mubarak' dagh ka
kya se kya urdu zaban hoti gai
khaTak rahī hai koī shai nikāl de koī
taḌap rahā hai dil-e-be-qarār siine meñ
khaTak rahi hai koi shai nikal de koi
taDap raha hai dil-e-be-qarar sine mein
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ik mirā sar ki qadam-bosī kī hasrat is ko
ik tirī zulf ki qadmoñ se lagī rahtī hai
ek mera sar ki qadam-bosi ki hasrat is ko
ek teri zulf ki qadmon se lagi rahti hai
ḳhair saaqī kī salāmat mai-kada
jis qadar pī utnī hushyārī baḌhī
KHair saqi ki salamat mai-kada
jis qadar pi utni hushyari baDhi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dil lagāte hī to kah detī haiñ āñkheñ sab kuchh
aise kāmoñ ke bhī āġhāz kahīñ chhupte haiñ
dil lagate hi to kah deti hain aankhen sab kuchh
aise kaamon ke bhi aaghaz kahin chhupte hain
tum bhuul ga.e mujh ko yuuñ yaad dilātā huuñ
jo aah nikaltī hai vo yād-dahānī hai
tum bhul gae mujh ko yun yaad dilata hun
jo aah nikalti hai wo yaad-dahani hai
kal to dekhā thā 'mubārak' but-kade meñ aap ko
aaj hazrat jā ke masjid meñ musalmāñ ho ga.e
kal to dekha tha 'mubarak' but-kade mein aap ko
aaj hazrat ja ke masjid mein musalman ho gae
dil meñ aane ke 'mubārak' haiñ hazāroñ raste
ham batā.eñ use rāheñ koī ham se pūchhe
dil mein aane ke 'mubarak' hain hazaron raste
hum bataen use rahen koi hum se puchhe
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kuchh is andāz se sayyād ne āzād kiyā
jo chale chhuT ke qafas se vo giraftār chale
kuchh is andaz se sayyaad ne aazad kiya
jo chale chhuT ke qafas se wo giraftar chale
-
Tag : Sayyad
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kyā kaheñ kyā kyā kiyā terī nigāhoñ ne sulūk
dil meñ aa.iiñ dil meñ Thahrīñ dil meñ paikāñ ho ga.iiñ
kya kahen kya kya kiya teri nigahon ne suluk
dil mein aain dil mein Thahrin dil mein paikan ho gain
tum ko samjhā.e 'mubārak' koī kyūñkar afsos
tum to rone lage yaar aur bhī samjhāne se
tum ko samjhae 'mubarak' koi kyunkar afsos
tum to rone lage yar aur bhi samjhane se
asar ho yā na ho vaa.iz bayāñ meñ
magar chaltī to hai terī zabāñ ḳhuub
asar ho ya na ho waiz bayan mein
magar chalti to hai teri zaban KHub
kahāñ qismat meñ is kī phuul honā
vahī dil kī kalī hai aur ham haiñ
kahan qismat mein is ki phul hona
wahi dil ki kali hai aur hum hain
jo un ko chāhiye vo kiye jā rahe haiñ vo
jo mujh ko chāhiye vo kiye jā rahā huuñ maiñ
jo un ko chahiye wo kiye ja rahe hain wo
jo mujh ko chahiye wo kiye ja raha hun main
is bharī mahfil meñ ham se dāvar-e-mahshar na pūchh
ham kaheñge tujh se apnī dāstāñ sab se alag
is bhari mahfil mein hum se dawar-e-mahshar na puchh
hum kahenge tujh se apni dastan sab se alag
merī dushvārī hai dushvārī mirī
merī mushkil aap kī mushkil nahīñ
meri dushwari hai dushwari meri
meri mushkil aap ki mushkil nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download