Sher on Bechaini
Impatience is a state
of our being that does not allow us to live at peace. It could be caused by a variety of reasons. Poets have often talked of impatient lovers and produced poetry that annotates love-life with great sensitivity. We have a selection of verses here on this condition of our lives.
hameñ bhī niiñd aa jā.egī ham bhī so hī jā.eñge
abhī kuchh be-qarārī hai sitāro tum to so jaao
hamein bhi nind aa jaegi hum bhi so hi jaenge
abhi kuchh be-qarari hai sitaro tum to so jao
-
Tags : Beqarariand 6 more
bechain is qadar thā ki soyā na raat bhar
palkoñ se likh rahā thā tirā naam chāñd par
bechain is qadar tha ki soya na raat bhar
palkon se likh raha tha tera nam chand par
aa ki tujh bin is tarah ai dost ghabrātā huuñ maiñ
jaise har shai meñ kisī shai kī kamī paatā huuñ maiñ
aa ki tujh bin is tarah ai dost ghabraata hun main
jaise har shai mein kisi shai ki kami pata hun main
-
Tags : Beqarariand 2 more
ham ko na mil sakā to faqat ik sukūn-e-dil
ai zindagī vagarna zamāne meñ kyā na thā
hum ko na mil saka to faqat ek sukun-e-dil
ai zindagi wagarna zamane mein kya na tha
na kar 'saudā' tū shikva ham se dil kī be-qarārī kā
mohabbat kis ko detī hai miyāñ ārām duniyā meñ
na kar 'sauda' tu shikwa hum se dil ki be-qarari ka
mohabbat kis ko deti hai miyan aaram duniya mein
tujh ko pā kar bhī na kam ho sakī be-tābī-e-dil
itnā āsān tire ishq kā ġham thā hī nahīñ
tujh ko pa kar bhi na kam ho saki be-tabi-e-dil
itna aasan tere ishq ka gham tha hi nahin
lagtā nahīñ hai dil mirā ujḌe dayār meñ
kis kī banī hai ālam-e-nā-pā.edār meñ
my heart, these dismal ruins, cannot now placate
who can find sustenance in this unstable state
lagta nahin hai dil mera ujDe dayar mein
kis ki bani hai aalam-e-na-paedar mein
my heart, these dismal ruins, cannot now placate
who can find sustenance in this unstable state
-
Tags : Famous shayariand 1 more
bichhaḌ ga.e to ye dil umr bhar lagegā nahīñ
lagegā lagne lagā hai magar lagegā nahīñ
bichhaD gae to ye dil umr bhar lagega nahin
lagega lagne laga hai magar lagega nahin
-
Tags : Hijrand 1 more
ro.e baġhair chāra na rone kī taab hai
kyā chiiz uf ye kaifiyat-e-iztirāb hai
roe baghair chaara na rone ki tab hai
kya chiz uf ye kaifiyat-e-iztirab hai
dil ko ḳhudā kī yaad tale bhī dabā chukā
kam-baḳht phir bhī chain na paa.e to kyā karūñ
dil ko KHuda ki yaad tale bhi daba chuka
kam-baKHt phir bhi chain na pae to kya karun
-
Tags : Beqarariand 1 more
kuchh mohabbat ko na thā chain se rakhnā manzūr
aur kuchh un kī ināyāt ne jiine na diyā
kuchh mohabbat ko na tha chain se rakhna manzur
aur kuchh un ki inayat ne jine na diya
ishq meñ be-tābiyāñ hotī haiñ lekin ai 'hasan'
jis qadar bechain tum ho us qadar koī na ho
ishq mein be-tabiyan hoti hain lekin ai 'hasan'
jis qadar bechain tum ho us qadar koi na ho
kisī pahlū nahīñ chain aatā hai ushshāq ko tere
taḌapte haiñ fuġhāñ karte haiñ aur karvaT badalte haiñ
kisi pahlu nahin chain aata hai ushshaq ko tere
taDapte hain fughan karte hain aur karwaT badalte hain
aah qāsid to ab talak na phirā
dil dhaḌaktā hai kyā huā hogā
aah qasid to ab talak na phira
dil dhaDakta hai kya hua hoga
-
Tags : Intezarand 1 more
batā.eñ kyā ki bechainī baḌhāte haiñ vahī aa kar
bahut bechain ham jin ke liye ma.alūm hote haiñ
bataen kya ki bechaini baDhate hain wahi aa kar
bahut bechain hum jin ke liye malum hote hain
mere dil ne dekhā hai yuuñ bhī un ko uljhan meñ
baar baar kamre meñ baar baar āñgan meñ
mere dil ne dekha hai yun bhi un ko uljhan mein
bar bar kamre mein bar bar aangan mein