Sher on Sher
Poetry has many forms
and genres. It also defines and re-defines itself in each age. Every language has its own kinds of poetry and poetics. Here are some examples that tell you something important about Urdu poetry and poetics.
duniyā ne tajrabāt o havādis kī shakl meñ
jo kuchh mujhe diyā hai vo lauTā rahā huuñ maiñ
duniya ne tajrabaat o hawadis ki shakl mein
jo kuchh mujhe diya hai wo lauTa raha hun main
ash.ār mire yuuñ to zamāne ke liye haiñ
kuchh sher faqat un ko sunāne ke liye haiñ
ashaar mere yun to zamane ke liye hain
kuchh sher faqat un ko sunane ke liye hain
apnī rusvā.ī tire naam kā charchā dekhūñ
ik zarā sher kahūñ aur maiñ kyā kyā dekhūñ
apni ruswai tere nam ka charcha dekhun
ek zara sher kahun aur main kya kya dekhun
-
Tag : Ruswai
khultā kisī pe kyuuñ mire dil kā mo.āmla
sheroñ ke intiḳhāb ne rusvā kiyā mujhe
khulta kisi pe kyun mere dil ka moamla
sheron ke intiKHab ne ruswa kiya mujhe
sher dar-asl haiñ vahī 'hasrat'
sunte hī dil meñ jo utar jaa.eñ
sher dar-asl hain wahi 'hasrat'
sunte hi dil mein jo utar jaen
ġhazal kā sher to hotā hai bas kisī ke liye
magar sitam hai ki sab ko sunānā paḌtā hai
ghazal ka sher to hota hai bas kisi ke liye
magar sitam hai ki sab ko sunana paDta hai
shā.er ko mast kartī hai tārīf-e-sher 'amīr'
sau botaloñ kā nashsha hai is vaah vaah meñ
shaer ko mast karti hai tarif-e-sher 'amir'
sau botalon ka nashsha hai is wah wah mein
mujh ko shā.er na kaho 'mīr' ki sāhab maiñ ne
dard o ġham kitne kiye jam.a to dīvān kiyā
call me not a poet, Miir, a million sorrows I
have collected to produce a
mujh ko shaer na kaho 'mir' ki sahab main ne
dard o gham kitne kiye jama to diwan kiya
call me not a poet, Miir, a million sorrows I
have collected to produce a
ham se pūchho ki ġhazal kyā hai ġhazal kā fan kyā
chand lafzoñ meñ koī aag chhupā dī jaa.e
hum se puchho ki ghazal kya hai ghazal ka fan kya
chand lafzon mein koi aag chhupa di jae
hai mashq-e-suḳhan jaarī chakkī kī mashaqqat bhī
ik turfa tamāshā hai 'hasrat' kī tabī.at bhī
hai mashq-e-suKHan jari chakki ki mashaqqat bhi
ek turfa tamasha hai 'hasrat' ki tabiat bhi
chhupī hai an-ginat chiñgāriyāñ lafzoñ ke dāman meñ
zarā paḌhnā ġhazal kī ye kitāb āhista āhista
chhupi hai an-ginat chingariyan lafzon ke daman mein
zara paDhna ghazal ki ye kitab aahista aahista
apne lahje kī hifāzat kījiye
sher ho jaate haiñ nā-mālūm bhī
apne lahje ki hifazat kijiye
sher ho jate hain na-malum bhi
hazāroñ sher mere so ga.e kāġhaz kī qabroñ meñ
ajab maañ huuñ koī bachcha mirā zinda nahīñ rahtā
hazaron sher mere so gae kaghaz ki qabron mein
ajab man hun koi bachcha mera zinda nahin rahta
Diary meñ saare achchhe sher chun kar likh liye
ek laḌkī ne mirā dīvān ḳhālī kar diyā
Diary mein sare achchhe sher chun kar likh liye
ek laDki ne mera diwan KHali kar diya
bandish-e-alfāz jaḌne se nagoñ ke kam nahīñ
shā.irī bhī kaam hai 'ātish' murassa-sāz kā
bandish-e-alfaz jaDne se nagon ke kam nahin
shairi bhi kaam hai 'atish' murassa-saz ka
-
Tags : Famous shayariand 1 more
kahīñ kahīñ se kuchh misre ek-ādh ġhazal kuchh sher
is pūñjī par kitnā shor machā saktā thā maiñ
kahin kahin se kuchh misre ek-adh ghazal kuchh sher
is punji par kitna shor macha sakta tha main
rahtā suḳhan se naam qayāmat talak hai 'zauq'
aulād se rahe yahī do pusht chaar pusht
rahta suKHan se nam qayamat talak hai 'zauq'
aulad se rahe yahi do pusht chaar pusht
saadā samjho na inheñ rahne do dīvāñ meñ 'amīr'
yahī ash.ār zabānoñ pe haiñ rahne vaale
sada samjho na inhen rahne do diwan mein 'amir'
yahi ashaar zabanon pe hain rahne wale
suḳhan meñ sahl nahīñ jaañ nikāl kar rakhnā
ye zindagī hai hamārī sambhāl kar rakhnā
suKHan mein sahl nahin jaan nikal kar rakhna
ye zindagi hai hamari sambhaal kar rakhna
vahī rah jaate haiñ zabānoñ par
sher jo intiḳhāb hote haiñ
wahi rah jate hain zabanon par
sher jo intiKHab hote hain
ye shā.irī ye kitābeñ ye āyateñ dil kī
nishāniyāñ ye sabhī tujh pe vārnā hoñgī
ye shairi ye kitaben ye aayaten dil ki
nishaniyan ye sabhi tujh pe warna hongi
-
Tag : Kitab
merā har sher hai ik rāz-e-haqīqat 'beḳhud'
maiñ huuñ urdu kā 'nazīrī' mujhe tū kyā samjhā
mera har sher hai ek raaz-e-haqiqat 'beKHud'
main hun urdu ka 'naziri' mujhe tu kya samjha
-
Tags : Self-Praiseand 1 more
zindagī bhar kī kamā.ī yahī misre do-chār
is kamā.ī pe to izzat nahīñ milne vaalī
zindagi bhar ki kamai yahi misre do-chaar
is kamai pe to izzat nahin milne wali
sau sher ek jalse meñ kahte the ham 'amīr'
jab tak na sher kahne kā ham ko shu.ūr thā
sau sher ek jalse mein kahte the hum 'amir'
jab tak na sher kahne ka hum ko shuur tha
sher se shā.irī se Darte haiñ
kam-nazar raushnī se Darte haiñ
sher se shairi se Darte hain
kam-nazar raushni se Darte hain
log kahte haiñ ki fann-e-shā.irī manhūs hai
sher kahte kahte maiñ deputy collector ho gayā
log kahte hain ki fann-e-shairi manhus hai
sher kahte kahte main deputy collector ho gaya
is ko samjho na ḳhatt-e-nafs 'hafīz'
aur hī kuchh hai shā.erī se ġharaz
is ko samjho na KHatt-e-nafs 'hafiz'
aur hi kuchh hai shaeri se gharaz
'asġhar' ġhazal meñ chāhiye vo mauj-e-zindagī
jo husn hai butoñ meñ jo mastī sharāb meñ
'asghar' ghazal mein chahiye wo mauj-e-zindagi
jo husn hai buton mein jo masti sharab mein
hamāre sher haiñ ab sirf dil-lagī ke 'asad'
khulā ki fā.eda arz-e-hunar meñ ḳhaak nahīñ
hamare sher hain ab sirf dil-lagi ke 'asad'
khula ki faeda arz-e-hunar mein KHak nahin
bhuuk taḳhlīq kā talent baḌhā detī hai
peT ḳhālī ho to ham sher nayā kahte haiñ
bhuk taKHliq ka talent baDha deti hai
peT KHali ho to hum sher naya kahte hain
rāh-e-mazmūn-e-tāza band nahīñ
tā qayāmat khulā hai bāb-e-suḳhan
rah-e-mazmun-e-taza band nahin
ta qayamat khula hai bab-e-suKHan
shā.irī taaza zamānoñ kī hai me.amār 'farāz'
ye bhī ik silsila-e-kun-fayakūñ hai yuuñ hai
shairi taza zamanon ki hai meamar 'faraaz'
ye bhi ek silsila-e-kun-fayakun hai yun hai
us kā to ek lafz bhī ham ko nahīñ hai yaad
kal raat ek sher kahā thā jo ḳhvāb meñ
us ka to ek lafz bhi hum ko nahin hai yaad
kal raat ek sher kaha tha jo KHwab mein
aune-paune ġhazleñ bechīñ nazmoñ kā bevpār kiyā
dekho ham ne peT kī ḳhātir kyā kyā kārobār kiyā
aune-paune ghazlen bechin nazmon ka bewpar kiya
dekho hum ne peT ki KHatir kya kya karobar kiya
mire añg añg meñ bas ga.ī
ye jo shā.irī hai ye kaun hai
mere ang ang mein bas gai
ye jo shairi hai ye kaun hai
mujh ko marne na diyā sher utāre mujh par
ishq ne bas ye mire saath ri.āyat kī thī
mujh ko marne na diya sher utare mujh par
ishq ne bas ye mere sath riayat ki thi
-
Tag : Ishq
'kaif' yuuñ āġhosh-e-fan meñ zehn ko niiñd aa ga.ī
jaise maañ kī god meñ bachcha sisak kar so gayā
'kaif' yun aaghosh-e-fan mein zehn ko nind aa gai
jaise man ki god mein bachcha sisak kar so gaya
ḳhushk seroñ tan-e-shā.er kā lahū hotā hai
tab nazar aatī hai ik misra-e-tar kī sūrat
KHushk seron tan-e-shaer ka lahu hota hai
tab nazar aati hai ek misra-e-tar ki surat
hamāre sher ko sun kar sukūt ḳhuub nahīñ
bayān kījiye is meñ jo kuchh ta.ammul ho
hamare sher ko sun kar sukut KHub nahin
bayan kijiye is mein jo kuchh tammul ho
shā.irī meñ anfus-o-āfāq mub.ham haiñ abhī
isti.āra hī haqīqat meñ ḳhudā sā ḳhvāb hai
shairi mein anfus-o-afaq mubham hain abhi
istiara hi haqiqat mein KHuda sa KHwab hai