Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Nasir Kazmi's Photo'

Nasir Kazmi

1925 - 1972 | Lahore, Pakistan

One of the founders of modern ghazal. Born at Ambala in India, he migrated to Pakistan and wrote extensively on the pain and sufferings of partition.

One of the founders of modern ghazal. Born at Ambala in India, he migrated to Pakistan and wrote extensively on the pain and sufferings of partition.

Sher of Nasir Kazmi

100.1K
Favorite

SORT BY

ai yād-e-dost aaj bhar ke dil dukhā

shāyad ye raat hijr aa.e na phir kabhī

ai yaad-e-dost aaj tu ji bhar ke dil dukha

shayad ye raat hijr ki aae na phir kabhi

vo shahr meñ thā to us ke liye auroñ se bhī milnā paḌtā thā

ab aise-vaise logoñ ke maiñ naaz uThā.ūñ kis ke liye

wo shahr mein tha to us ke liye auron se bhi milna paDta tha

ab aise-waise logon ke main naz uThaun kis ke liye

na ab vo yādoñ chaḌhtā dariyā na fursatoñ udaas barkhā

yūñhī zarā kasak hai dil meñ jo zaḳhm gahrā thā bhar gayā vo

na ab wo yaadon ka chaDhta dariya na fursaton ki udas barkha

yunhi zara si kasak hai dil mein jo zaKHm gahra tha bhar gaya wo

bharī duniyā meñ nahīñ lagtā

jaane kis chiiz kamī hai abhī

bhari duniya mein ji nahin lagta

jaane kis chiz ki kami hai abhi

ye kah ke chheḌtī hai hameñ dil-giraftagī

ghabrā ga.e haiñ aap to bāhar le chaleñ

ye kah ke chheDti hai hamein dil-giraftagi

ghabra gae hain aap to bahar hi le chalen

niiñd aatī nahīñ to subah talak

gard-e-mahtāb safar dekho

nind aati nahin to subah talak

gard-e-mahtab ka safar dekho

kaun achchhā hai is zamāne meñ

kyuuñ kisī ko burā kahe koī

kaun achchha hai is zamane mein

kyun kisi ko bura kahe koi

sūraj sar pe aa pahuñchā

garmī hai roz-e-jazā

suraj sar pe aa pahuncha

garmi hai ya roz-e-jaza

na milā kar udaas logoñ se

husn terā bikhar na jaa.e kahīñ

na mila kar udas logon se

husn tera bikhar na jae kahin

na.ī duniyā ke hañgāmoñ meñ 'nāsir'

dabī jaatī haiñ āvāzeñ purānī

nai duniya ke hangamon mein 'nasir'

dabi jati hain aawazen purani

maiñ is jānib us jānib

biich meñ patthar dariyā thā

main is jaanib tu us jaanib

bich mein patthar ka dariya tha

muddat se koī aayā na gayā sunsān paḌī hai ghar fazā

in ḳhālī kamroñ meñ 'nāsir' ab sham.a jalā.ūñ kis ke liye

muddat se koi aaya na gaya sunsan paDi hai ghar ki faza

in KHali kamron mein 'nasir' ab shama jalaun kis ke liye

vo koī dost thā achchhe dinoñ

jo pichhlī raat se yaad aa rahā hai

wo koi dost tha achchhe dinon ka

jo pichhli raat se yaad aa raha hai

ga.e dinoñ surāġh le kar kidhar se aayā kidhar gayā vo

ajiib mānūs ajnabī thā mujhe to hairān kar gayā vo

gae dinon ka suragh le kar kidhar se aaya kidhar gaya wo

ajib manus ajnabi tha mujhe to hairan kar gaya wo

dil to merā udaas hai 'nāsir'

shahr kyuuñ saa.eñ saa.eñ kartā hai

dil to mera udas hai 'nasir'

shahr kyun saen saen karta hai

jinheñ ham dekh kar jiite the 'nāsir'

vo log āñkhoñ se ojhal ho ga.e haiñ

jinhen hum dekh kar jite the 'nasir'

wo log aankhon se ojhal ho gae hain

is qadar royā huuñ terī yaad meñ

ā.īne āñkhoñ ke dhundle ho ga.e

is qadar roya hun teri yaad mein

aaine aankhon ke dhundle ho gae

ne tāroñ se shab maañg bharī

mujh ko ik ashk-e-sub.h-gāhī de

tu ne taron se shab ki mang bhari

mujh ko ek ashk-e-subh-gahi de

aaj to be-sabab udaas hai

ishq hotā to koī baat bhī thī

aaj to be-sabab udas hai ji

ishq hota to koi baat bhi thi

tire baġhair bhī ḳhālī nahīñ mirī rāteñ

hai ek saaya mire saath ham-nashīñ tarah

tere baghair bhi KHali nahin meri raaten

hai ek saya mere sath ham-nashin ki tarah

vo dil-navāz hai lekin nazar-shanās nahīñ

mirā ilaaj mire chāra-gar ke paas nahīñ

wo dil-nawaz hai lekin nazar-shanas nahin

mera ilaj mere chaara-gar ke pas nahin

akele ghar se pūchhtī hai be-kasī

tirā diyā jalāne vaale kyā hue

akele ghar se puchhti hai be-kasi

tera diya jalane wale kya hue

din guzārā thā baḌī mushkil se

phir tirā va.ada-e-shab yaad aayā

din guzara tha baDi mushkil se

phir tera wada-e-shab yaad aaya

maiñ sote sote ka.ī baar chauñk chauñk paḌā

tamām raat tire pahluoñ se aañch aa.ī

main sote sote kai bar chaunk chaunk paDa

tamam raat tere pahluon se aanch aai

ye aap ham to bojh haiñ zamīn

zamīñ bojh uThāne vaale kyā hue

ye aap hum to bojh hain zamin ka

zamin ka bojh uThane wale kya hue

terī majbūriyāñ durust magar

ne va.ada kiyā thā yaad to kar

teri majburiyan durust magar

tu ne wada kiya tha yaad to kar

na.e kapḌe badal kar jā.ūñ kahāñ aur baal banā.ūñ kis ke liye

vo shaḳhs to shahr chhoḌ gayā maiñ bāhar jā.ūñ kis ke liye

nae kapDe badal kar jaun kahan aur baal banaun kis ke liye

wo shaKHs to shahr hi chhoD gaya main bahar jaun kis ke liye

hāl-e-dil ham bhī sunāte lekin

jab vo ruḳhsat huā tab yaad aayā

haal-e-dil hum bhi sunate lekin

jab wo ruKHsat hua tab yaad aaya

tujh bin saarī umr guzārī

log kaheñge merā thā

tujh bin sari umr guzari

log kahenge tu mera tha

jurm-e-ummīd sazā de

mere haq meñ bhī kuchh sunā de

jurm-e-ummid ki saza hi de

mere haq mein bhi kuchh suna hi de

pahāḌoñ se chalī phir koī āñdhī

uḌe jaate haiñ aurāq-e-ḳhizānī

pahaDon se chali phir koi aandhi

uDe jate hain auraq-e-KHizani

unheñ sadiyoñ na bhūlegā zamāna

yahāñ jo hādse kal ho ga.e haiñ

unhen sadiyon na bhulega zamana

yahan jo hadse kal ho gae hain

judā.iyoñ ke zaḳhm dard-e-zindagī ne bhar diye

tujhe bhī niiñd aa ga.ī mujhe bhī sabr aa gayā

judaiyon ke zaKHm dard-e-zindagi ne bhar diye

tujhe bhi nind aa gai mujhe bhi sabr aa gaya

us ne manzil pe ke chhoḌ diyā

umr bhar jis rāstā dekhā

us ne manzil pe la ke chhoD diya

umr bhar jis ka rasta dekha

tire firāq rāteñ kabhī na bhūleñgī

maze mile unhīñ rātoñ meñ umr bhar ke mujhe

tere firaq ki raaten kabhi na bhulengi

maze mile unhin raaton mein umr bhar ke mujhe

bulā.ūñgā na milūñgā na ḳhat likhūñgā tujhe

tirī ḳhushī ke liye ḳhud ko ye sazā dūñgā

bulaunga na milunga na KHat likhunga tujhe

teri KHushi ke liye KHud ko ye saza dunga

o mere masrūf ḳhudā

apnī duniyā dekh zarā

o mere masruf KHuda

apni duniya dekh zara

hamāre ghar dīvāroñ pe 'nāsir'

udāsī baal khole so rahī hai

hamare ghar ki diwaron pe 'nasir'

udasi baal khole so rahi hai

vaqt achchhā bhī aa.egā 'nāsir'

ġham na kar zindagī paḌī hai abhī

waqt achchha bhi aaega 'nasir'

gham na kar zindagi paDi hai abhi

niyyat-e-shauq bhar na jaa.e kahīñ

bhī dil se utar na jaa.e kahīñ

niyyat-e-shauq bhar na jae kahin

tu bhi dil se utar na jae kahin

o pichhlī rut ke sāthī

ab ke baras maiñ tanhā huuñ

o pichhli rut ke sathi

ab ke baras main tanha hun

hotī hai tere naam se vahshat kabhī kabhī

barham huī hai yuuñ bhī tabī.at kabhī kabhī

hoti hai tere nam se wahshat kabhi kabhi

barham hui hai yun bhi tabiat kabhi kabhi

raat kitnī guzar ga.ī lekin

itnī himmat nahīñ ki ghar jaa.eñ

raat kitni guzar gai lekin

itni himmat nahin ki ghar jaen

aañch aatī hai tire jism uryānī se

pairahan hai ki sulagtī huī shab hai koī

aanch aati hai tere jism ki uryani se

pairahan hai ki sulagti hui shab hai koi

shor barpā hai ḳhāna-e-dil meñ

koī dīvār girī hai abhī

shor barpa hai KHana-e-dil mein

koi diwar si giri hai abhi

zarā baat sahī terā yaad aa jaanā

zarā baat bahut der tak rulātī thī

zara si baat sahi tera yaad aa jaana

zara si baat bahut der tak rulati thi

apnī dhun meñ rahtā huuñ

maiñ bhī tere jaisā huuñ

apni dhun mein rahta hun

main bhi tere jaisa hun

mujhe ye Dar hai tirī aarzū na miT jaa.e

bahut dinoñ se tabī.at mirī udaas nahīñ

mujhe ye Dar hai teri aarzu na miT jae

bahut dinon se tabiat meri udas nahin

galī galī mirī yaad bichhī hai pyāre rasta dekh ke chal

mujh se itnī vahshat hai to merī hadoñ se duur nikal

gali gali meri yaad bichhi hai pyare rasta dekh ke chal

mujh se itni wahshat hai to meri hadon se dur nikal

maiñ to biite dinoñ khoj meñ huuñ

kahāñ tak chalegā mere saath

main to bite dinon ki khoj mein hun

tu kahan tak chalega mere sath

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now