Sher of Shaikh Ibrahim Zauq
ai 'zauq' vaqt naale ke rakh le jigar pe haath
varna jigar ko ro.egā tū dhar ke sar pe haath
ai 'zauq' waqt nale ke rakh le jigar pe hath
warna jigar ko roega tu dhar ke sar pe hath
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ai 'zauq' dekh duḳhtar-e-raz ko na muñh lagā
chhuTtī nahīñ hai muñh se ye kāfar lagī huī
ai 'zauq' dekh duKHtar-e-raz ko na munh laga
chhuTti nahin hai munh se ye kafar lagi hui
vaqt-e-pīrī shabāb kī bāteñ
aisī haiñ jaise ḳhvāb kī bāteñ
in old age talk of youth now seems
to be just like the stuff of dreams
waqt-e-piri shabab ki baaten
aisi hain jaise KHwab ki baaten
in old age talk of youth now seems
to be just like the stuff of dreams
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
be-qarārī kā sabab har kaam kī ummīd hai
nā-umīdī ho to phir ārām kī ummīd hai
be-qarari ka sabab har kaam ki ummid hai
na-umidi ho to phir aaram ki ummid hai
laa.ī hayāt aa.e qazā le chalī chale
apnī ḳhushī na aa.e na apnī ḳhushī chale
lai hayat aae qaza le chali chale
apni KHushi na aae na apni KHushi chale
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
nikālūñ kis tarah siine se apne tīr-e-jānāñ ko
na paikāñ dil ko chhoḌe hai, na dil chhoḌe hai paikāñ ko
how do I from my breast dislodge my love's arrow
this barb doesn’t leave my heart nor does my heart let go
nikalun kis tarah sine se apne tir-e-jaanan ko
na paikan dil ko chhoDe hai, na dil chhoDe hai paikan ko
how do I from my breast dislodge my love's arrow
this barb doesn’t leave my heart nor does my heart let go
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
ab to ghabrā ke ye kahte haiñ ki mar jā.eñge
mar ke bhī chain na paayā to kidhar jā.eñge
being agitated I express the hope to die, although
in death, if solace is not found, then where shall I go?
ab to ghabra ke ye kahte hain ki mar jaenge
mar ke bhi chain na paya to kidhar jaenge
being agitated I express the hope to die, although
in death, if solace is not found, then where shall I go?
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
diiñ kyoñ ki na vo dāġh-e-alam aur ziyāda
qīmat meñ baḌhe dil ke diram aur ziyāda
din kyon ki na wo dagh-e-alam aur ziyaada
qimat mein baDhe dil ke diram aur ziyaada
baiThe bhare hue haiñ ḳhum-e-mai kī tarah ham
par kyā kareñ ki mohr hai muñh par lagī huī
baiThe bhare hue hain KHum-e-mai ki tarah hum
par kya karen ki mohr hai munh par lagi hui
azīzo is ko na ghaḌiyāl kī sadā samjho
ye umr-e-rafta kī apnī sadā-e-pā samjho
azizo is ko na ghaDiyal ki sada samjho
ye umr-e-rafta ki apni sada-e-pa samjho
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sab ko duniyā kī havas ḳhvār liye phirtī hai
kaun phirtā hai ye murdār liye phirtī hai
sab ko duniya ki hawas KHwar liye phirti hai
kaun phirta hai ye murdar liye phirti hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
phuul to do din bahār-e-jāñ-fazā dikhlā ga.e
hasrat un ġhunchoñ pe hai jo bin khile murjhā ga.e
phul to do din bahaar-e-jaan-faza dikhla gae
hasrat un ghunchon pe hai jo bin khile murjha gae
lete haiñ samar shāḳh-e-samarvar ko jhukā kar
jhukte haiñ saḳhī vaqt-e-karam aur ziyāda
lete hain samar shaKH-e-samarwar ko jhuka kar
jhukte hain saKHi waqt-e-karam aur ziyaada
shukr parde hī meñ us but ko hayā ne rakkhā
varna īmān gayā hī thā ḳhudā ne rakkhā
shukr parde hi mein us but ko haya ne rakkha
warna iman gaya hi tha KHuda ne rakkha
asar-e-naġhma-e-shīrīñ se jahāñ bhuul gayā
ki sivā raag ke sam ke hai koī aur bhī sam
asar-e-naghma-e-shirin se jahan bhul gaya
ki siwa rag ke sam ke hai koi aur bhi sam
hameñ nargis kā dasta ġhair ke hāthoñ se kyuuñ bhejā
jo āñkheñ hī dikhānī thiiñ dikhāte apnī nazroñ se
hamein nargis ka dasta ghair ke hathon se kyun bheja
jo aankhen hi dikhani thin dikhate apni nazron se
in dinoñ garche dakan meñ hai baḌī qadr-e-suḳhan
kaun jaa.e 'zauq' par dillī kī galiyāñ chhoḌ kar
in dinon garche dakan mein hai baDi qadr-e-suKHan
kaun jae 'zauq' par dilli ki galiyan chhoD kar
-
Tag : Delhi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mo.azzin marhabā bar-vaqt bolā
tirī āvāz makke aur madīne
moazzin marhaba bar-waqt bola
teri aawaz makke aur madine
'zauq' jo madrase ke bigḌe hue haiñ mullā
un ko mai-ḳhāne meñ le aao sañvar jā.eñge
'zauq' jo madrase ke bigDe hue hain mulla
un ko mai-KHane mein le aao sanwar jaenge
ham rone pe aa jaa.eñ to dariyā hī bahā deñ
shabnam kī tarah se hameñ ronā nahīñ aatā
hum rone pe aa jaen to dariya hi baha den
shabnam ki tarah se hamein rona nahin aata
phir mujhe le chalā udhar dekho
dil-e-ḳhāna-ḳharāb kī bāteñ
phir mujhe le chala udhar dekho
dil-e-KHana-KHarab ki baaten
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jo kahoge tum kaheñge ham bhī haañ yuuñ hī sahī
aap kī gar yuuñ ḳhushī hai mehrbāñ yuuñ hī sahī
jo kahoge tum kahenge hum bhi han yun hi sahi
aap ki gar yun KHushi hai mehrban yun hi sahi
maraz-e-ishq jise ho use kyā yaad rahe
na davā yaad rahe aur na duā yaad rahe
he who is stricken by love, remembers naught at all
no cure will come to mind, nor prayer will recall
maraz-e-ishq jise ho use kya yaad rahe
na dawa yaad rahe aur na dua yaad rahe
he who is stricken by love, remembers naught at all
no cure will come to mind, nor prayer will recall
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ek aañsū ne Duboyā mujh ko un kī bazm meñ
buuñd bhar paanī se saarī aabrū paanī huī
a single tear caused my fall in her company
just a drop of water drowned my dignity
ek aansu ne Duboya mujh ko un ki bazm mein
bund bhar pani se sari aabru pani hui
a single tear caused my fall in her company
just a drop of water drowned my dignity
-
Tag : Aansoo
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
ho gayā mauqūf ye 'saudā' kā bilkul ehtirāq
laala be-dāġh-e-siyah paane lagā nashv-o-numā
ho gaya mauquf ye 'sauda' ka bilkul ehtiraq
lala be-dagh-e-siyah pane laga nashw-o-numa
kal jahāñ se ki uThā laa.e the ahbāb mujhe
le chalā aaj vahīñ phir dil-e-be-tāb mujhe
the place from where my friends had picked me yesterday
my restless heart takes me again to that place today
kal jahan se ki uTha lae the ahbab mujhe
le chala aaj wahin phir dil-e-be-tab mujhe
the place from where my friends had picked me yesterday
my restless heart takes me again to that place today
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
ehsān nā-ḳhudā kā uThā.e mirī balā
kashtī ḳhudā pe chhoḌ duuñ lañgar ko toḌ duuñ
ehsan na-KHuda ka uThae meri bala
kashti KHuda pe chhoD dun langar ko toD dun
yaañ lab pe laakh laakh suḳhan iztirāb meñ
vaañ ek ḳhāmushī tirī sab ke javāb meñ
yan lab pe lakh lakh suKHan iztirab mein
wan ek KHamushi teri sab ke jawab mein
dekh chhoToñ ko hai allāh baḌā.ī detā
āsmāñ aañkh ke til meñ hai dikhā.ī detā
even to tiny creatures God greatness does provide
in the pupil of the eye skies can be espied
dekh chhoTon ko hai allah baDai deta
aasman aankh ke til mein hai dikhai deta
even to tiny creatures God greatness does provide
in the pupil of the eye skies can be espied
-
Tag : Khuda
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ai 'zauq' takalluf meñ hai taklīf sarāsar
ārām meñ hai vo jo takalluf nahīñ kartā
save trouble, in formality, zauq nothing else can be
at ease he then remains he who, eschews formality
ai 'zauq' takalluf mein hai taklif sarasar
aaram mein hai wo jo takalluf nahin karta
save trouble, in formality, zauq nothing else can be
at ease he then remains he who, eschews formality
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
rulā.egī mirī yaad un ko muddatoñ sāhab
kareñge bazm meñ mahsūs jab kamī merī
rulaegi meri yaad un ko muddaton sahab
karenge bazm mein mahsus jab kami meri
mazkūr tirī bazm meñ kis kā nahīñ aatā
par zikr hamārā nahīñ aatā nahīñ aatā
mazkur teri bazm mein kis ka nahin aata
par zikr hamara nahin aata nahin aata
duniyā ne kis kā rāh-e-fanā meñ diyā hai saath
tum bhī chale chalo yūñhī jab tak chalī chale
duniya ne kis ka rah-e-fana mein diya hai sath
tum bhi chale chalo yunhi jab tak chali chale
-
Tag : Duniya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
hai ain-e-vasl meñ bhī mirī chashm sū-e-dar
lapkā jo paḌ gayā hai mujhe intizār kā
hai ain-e-wasl mein bhi meri chashm su-e-dar
lapka jo paD gaya hai mujhe intizar ka
-
Tag : Intezar
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
gayā shaitān maarā ek sajde ke na karne meñ
agar lākhoñ baras sajde meñ sar maarā to kyā maarā
gaya shaitan mara ek sajde ke na karne mein
agar lakhon baras sajde mein sar mara to kya mara
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
naaz hai gul ko nazākat pe chaman meñ ai 'zauq'
us ne dekhe hī nahīñ nāz-o-nazākat vaale
naz hai gul ko nazakat pe chaman mein ai 'zauq'
us ne dekhe hi nahin naz-o-nazakat wale
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kahte haiñ aaj 'zauq' jahāñ se guzar gayā
kyā ḳhuub aadmī thā ḳhudā maġhfirat kare
kahte hain aaj 'zauq' jahan se guzar gaya
kya KHub aadmi tha KHuda maghfirat kare
kyā jaane use vahm hai kyā merī taraf se
jo ḳhvāb meñ bhī raat ko tanhā nahīñ aatā
I wonder to what misgivings she is prone
that even in my dreams she's not alone
kya jaane use wahm hai kya meri taraf se
jo KHwab mein bhi raat ko tanha nahin aata
I wonder to what misgivings she is prone
that even in my dreams she's not alone
pīr-e-muġhāñ ke paas vo daarū hai jis se 'zauq'
nāmard mard mard-e-javāñ-mard ho gayā
pir-e-mughan ke pas wo daru hai jis se 'zauq'
namard mard mard-e-jawan-mard ho gaya
masjid meñ us ne ham ko āñkheñ dikhā ke maarā
kāfir kī shoḳhī dekho ghar meñ ḳhudā ke maarā
masjid mein us ne hum ko aankhen dikha ke mara
kafir ki shoKHi dekho ghar mein KHuda ke mara
rahtā suḳhan se naam qayāmat talak hai 'zauq'
aulād se rahe yahī do pusht chaar pusht
rahta suKHan se nam qayamat talak hai 'zauq'
aulad se rahe yahi do pusht chaar pusht
gul us nigah ke zaḳhm-rasīdoñ meñ mil gayā
ye bhī lahū lagā ke shahīdoñ meñ mil gayā
gul us nigah ke zaKHm-rasidon mein mil gaya
ye bhi lahu laga ke shahidon mein mil gaya
ḳhat baḌhā kākul baḌhe zulfeñ baḌhīñ gesū baḌhe
husn kī sarkār meñ jitne baḌhe hindū baḌhe
KHat baDha kakul baDhe zulfen baDhin gesu baDhe
husn ki sarkar mein jitne baDhe hindu baDhe
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
behtar to hai yahī ki na duniyā se dil lage
par kyā kareñ jo kaam na be-dil-lagī chale
behtar to hai yahi ki na duniya se dil lage
par kya karen jo kaam na be-dil-lagi chale
haq ne tujh ko ik zabāñ dī aur diye haiñ kaan do
is ke ye ma.anī kahe ik aur sune insān do
the lord did on our face one mouth and two ears array
for to listen twich as much as we are wont to say
haq ne tujh ko ek zaban di aur diye hain kan do
is ke ye mani kahe ek aur sune insan do
the lord did on our face one mouth and two ears array
for to listen twich as much as we are wont to say
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
na huā par na huā 'mīr' kā andāz nasīb
'zauq' yāroñ ne bahut zor ġhazal meñ maarā
na hua par na hua 'mir' ka andaz nasib
'zauq' yaron ne bahut zor ghazal mein mara
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ho umr-e-ḳhizr bhī to ho ma.alūm vaqt-e-marg
ham kyā rahe yahāñ abhī aa.e abhī chale
ho umr-e-KHizr bhi to ho malum waqt-e-marg
hum kya rahe yahan abhi aae abhi chale
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ham nahīñ vo jo kareñ ḳhuun kā da.avā tujh par
balki pūchhegā ḳhudā bhī to mukar jā.eñge
hum nahin wo jo karen KHun ka dawa tujh par
balki puchhega KHuda bhi to mukar jaenge
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kyā dekhtā hai haath mirā chhoḌ de tabīb
yaañ jaan hī badan meñ nahīñ nabz kyā chale
kya dekhta hai hath mera chhoD de tabib
yan jaan hi badan mein nahin nabz kya chale
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maut ne kar diyā lāchār vagarna insāñ
hai vo ḳhud-bīñ ki ḳhudā kā bhī na qaa.il hotā
maut ne kar diya lachaar wagarna insan
hai wo KHud-bin ki KHuda ka bhi na qail hota