Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Sher on But

But, or statue, is more

a metaphor and symbol than merely an image. Poetry of love and romance in Urdu draws upon the idea and image of butt quite frequently. The beloved as a butt can be silent, unconcerned, and uncaring for the lover who adores her beauty and yearns for her response. Here is a selection of verses on this theme for you to read and enjoy.

vafā jis se bevafā ho gayā

jise but banāyā ḳhudā ho gayā

I was constant but she eschewed fidelity

the one I idolized, alas, claimed divinity

wafa jis se ki bewafa ho gaya

jise but banaya KHuda ho gaya

I was constant but she eschewed fidelity

the one I idolized, alas, claimed divinity

Hafeez Jalandhari

vo din ga.e ki 'dāġh' thī har dam butoñ yaad

paḌhte haiñ pāñch vaqt ab to namāz ham

wo din gae ki 'dagh' thi har dam buton ki yaad

paDhte hain panch waqt ki ab to namaz hum

Dagh Dehlvi

do din meñ ye sanam hosh-rubā hote haiñ

kal ke tarshe hue but aaj ḳhudā hote haiñ

do hi din mein ye sanam hosh-ruba hote hain

kal ke tarshe hue but aaj KHuda hote hain

Lala Madhav Ram Jauhar

ham aise sāda-diloñ niyāz-mandī se

butoñ ne haiñ jahāñ meñ ḳhudā.iyāñ kyā kyā

hum aise sada-dilon ki niyaz-mandi se

buton ne ki hain jahan mein KHudaiyan kya kya

Faiz Ahmad Faiz

kyūñkar us but se rakhūñ jaan aziiz

kyā nahīñ hai mujhe īmān aziiz

kyunkar us but se rakhun jaan aziz

kya nahin hai mujhe iman aziz

Mirza Ghalib

ilāhī ek dil kis kis ko duuñ maiñ

hazāroñ but haiñ yaañ hindostān hai

ilahi ek dil kis kis ko dun main

hazaron but hain yan hindostan hai

Haidar Ali Aatish

chhoḌūñgā maiñ na us but-e-kāfir pūjnā

chhoḌe na ḳhalq go mujhe kāfar kahe baġhair

To stop worshipping that idol fair, I will not agree

And this world will not refrain from crying heresy!

chhoDunga main na us but-e-kafir ka pujna

chhoDe na KHalq go mujhe kafar kahe baghair

To stop worshipping that idol fair, I will not agree

And this world will not refrain from crying heresy!

Mirza Ghalib

nahīñ ye aadmī kaam vaa.iz

hamāre but tarāshe haiñ ḳhudā ne

nahin ye aadmi ka kaam waiz

hamare but tarashe hain KHuda ne

Bayan Meeruthi

sanam-parastī karūñ tark kyūñkar ai vaa.iz

butoñ zikr ḳhudā kitāb meñ dekhā

sanam-parasti karun tark kyunkar ai waiz

buton ka zikr KHuda ki kitab mein dekha

Aagha Akbarabadi

ho ga.e nām-e-butāñ sunte 'momin' be-qarār

ham na kahte the ki hazrat pārsā kahne ko haiñ

ho gae nam-e-butan sunte hi 'momin' be-qarar

hum na kahte the ki hazrat parsa kahne ko hain

Momin Khan Momin

aap karte jo ehtirām-e-butāñ

but-kade ḳhud ḳhudā ḳhudā karte

aap karte jo ehtiram-e-butan

but-kade KHud KHuda KHuda karte

Anwar Sabri

be-ḳhudī meñ ham to terā dar samajh kar jhuk ga.e

ab ḳhudā ma.alūm ka.aba thā ki vo but-ḳhāna thā

be-KHudi mein hum to tera dar samajh kar jhuk gae

ab KHuda malum kaba tha ki wo but-KHana tha

Talib Jaipuri

but kahte haiñ kyā haal hai kuchh muñh se to bolo

ham kahte haiñ suntā nahīñ allāh hamārī

but kahte hain kya haal hai kuchh munh se to bolo

hum kahte hain sunta nahin allah hamari

Lala Madhav Ram Jauhar

but nazar ā.eñge māshūqoñ kasrat hogī

aaj but-ḳhāna meñ allāh qudrat hogī

but nazar aaenge mashuqon ki kasrat hogi

aaj but-KHana mein allah ki qudrat hogi

Aagha Akbarabadi

Thahrī jo vasl to huī sub.h shaam se

but mehrbāñ hue to ḳhudā mehrbāñ na thā

Thahri jo wasl ki to hui subh sham se

but mehrban hue to KHuda mehrban na tha

Lala Madhav Ram Jauhar

butoñ ko toḌ ke aisā ḳhudā banānā kyā

butoñ tarah jo ham-shakl aadmī ho

buton ko toD ke aisa KHuda banana kya

buton ki tarah jo ham-shakl aadmi ka ho

Jameel Mazhari

but ko pūjūñgā sanam-ḳhānoñ meñ ke to maiñ

us ke pīchhe mirā īmān rahe na rahe

but ko pujunga sanam-KHanon mein ja ja ke to main

us ke pichhe mera iman rahe ya na rahe

Haqeer

apnī marzī to ye hai banda-e-but ho rahiye

aage marzī hai ḳhudā so ḳhudā jaane

apni marzi to ye hai banda-e-but ho rahiye

aage marzi hai KHuda ki so KHuda hi jaane

Baqaullah 'Baqa'

ta.ana-zan kufr pe hotā hai abas ai zāhid

but-parastī hai tire zohd-e-riyā se behtar

tana-zan kufr pe hota hai abas ai zahid

but-parasti hai tere zohd-e-riya se behtar

Joshish Azimabadi

jo ki sajda na kare but ko mire mashrab meñ

āqibat us kisī taur se mahmūd nahīñ

jo ki sajda na kare but ko mere mashrab mein

aaqibat us ki kisi taur se mahmud nahin

Jurat Qalandar Bakhsh

Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

Register for free
Speak Now