Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Bekhud Dehlvi's Photo'

Bekhud Dehlvi

1863 - 1955 | Delhi, India

Disciple of Dagh Dehlvi.

Disciple of Dagh Dehlvi.

Sher of Bekhud Dehlvi

20.6K
Favorite

SORT BY

adā.eñ dekhne baiThe ho kyā ā.īne meñ apnī

diyā hai jis ne tum jaise ko dil us jigar dekho

adaen dekhne baiThe ho kya aaine mein apni

diya hai jis ne tum jaise ko dil us ka jigar dekho

baat vo kahiye ki jis baat ke sau pahlū hoñ

koī pahlū to rahe baat badalne ke liye

baat wo kahiye ki jis baat ke sau pahlu hon

koi pahlu to rahe baat badalne ke liye

jaadū hai tilism tumhārī zabān meñ

tum jhuuT kah rahe the mujhe e'tibār thā

jadu hai ya tilism tumhaari zaban mein

tum jhuT kah rahe the mujhe e'tibar tha

dil mohabbat se bhar gayā 'beḳhud'

ab kisī par fidā nahīñ hotā

dil mohabbat se bhar gaya 'beKHud'

ab kisi par fida nahin hota

raah meñ baiThā huuñ maiñ tum sañg-e-rah samjho mujhe

aadmī ban jā.ūñgā kuchh Thokareñ khāne ke ba.ad

rah mein baiTha hun main tum sang-e-rah samjho mujhe

aadmi ban jaunga kuchh Thokaren khane ke baad

sun ke saarī dāstān-e-rañj-o-ġham

kah diyā us ne ki phir ham kyā kareñ

sun ke sari dastan-e-ranj-o-gham

kah diya us ne ki phir hum kya karen

dil to lete ho magar ye bhī rahe yaad tumheñ

jo hamārā na huā kab vo tumhārā hogā

dil to lete ho magar ye bhi rahe yaad tumhein

jo hamara na hua kab wo tumhaara hoga

aa.ina dekh kar vo ye samjhe

mil gayā husn-e-be-misāl hameñ

aaina dekh kar wo ye samjhe

mil gaya husn-e-be-misal hamein

mujh ko na dil pasand na vo bevafā pasand

donoñ haiñ ḳhud-ġharaz mujhe donoñ haiñ nā-pasand

mujh ko na dil pasand na wo bewafa pasand

donon hain KHud-gharaz mujhe donon hain na-pasand

hameñ piine se matlab hai jagah qaid kyā 'beḳhud'

usī naam jannat rakh diyā botal jahāñ rakh

hamein pine se matlab hai jagah ki qaid kya 'beKHud'

usi ka nam jannat rakh diya botal jahan rakh di

vo kuchh muskurānā vo kuchh jheñp jaanā

javānī adā.eñ sikhātī haiñ kyā kyā

wo kuchh muskurana wo kuchh jhenp jaana

jawani adaen sikhati hain kya kya

na dekhnā kabhī ā.īna bhuul kar dekho

tumhāre husn paidā javāb kar degā

na dekhna kabhi aaina bhul kar dekho

tumhaare husn ka paida jawab kar dega

hūroñ se na hogī ye mudārāt kisī

yaad aa.egī jannat meñ mulāqāt kisī

huron se na hogi ye mudaraat kisi ki

yaad aaegi jannat mein mulaqat kisi ki

baat karne shab-e-vasl ijāzat de do

mujh ko dam bhar ke liye ġhair qismat de do

baat karne ki shab-e-wasl ijazat de do

mujh ko dam bhar ke liye ghair ki qismat de do

qayāmat hai tirī uThtī javānī

ġhazab Dhāne lagīñ nīchī nigāheñ

qayamat hai teri uThti jawani

ghazab Dhane lagin nichi nigahen

muñh meñ vaa.iz ke bhī bhar aatā hai paanī aksar

jab kabhī tazkira-e-jām-e-sharāb aatā hai

munh mein waiz ke bhi bhar aata hai pani aksar

jab kabhi tazkira-e-jam-e-sharab aata hai

qasam vasl meñ us but ko ḳhudā to kahā

tujh ko aatā hai ḳhudā yaad hamāre hote

di qasam wasl mein us but ko KHuda ki to kaha

tujh ko aata hai KHuda yaad hamare hote

saḳht-jāñ huuñ mujhe ik vaar se kyā hotā hai

aisī choTeñ koī do-chār to aane diije

saKHt-jaan hun mujhe ek war se kya hota hai

aisi choTen koi do-chaar to aane dije

bole vo muskurā ke bahut iltijā ke ba.ad

to ye chāhtā hai tirī maan jā.iye

bole wo muskura ke bahut iltija ke baad

ji to ye chahta hai teri man jaiye

saudā-e-ishq aur hai vahshat kuchh aur shai

majnūñ koī dost fasāna-nigār thā

sauda-e-ishq aur hai wahshat kuchh aur shai

majnun ka koi dost fasana-nigar tha

jhūTā jo kahā maiñ ne to sharmā ke vo bole

allāh bigāḌe na banī baat kisī

jhuTa jo kaha main ne to sharma ke wo bole

allah bigaDe na bani baat kisi ki

tum ko āshufta-mizājoñ ḳhabar se kyā kaam

tum sañvārā karo baiThe hue gesū apne

tum ko aashufta-mizajon ki KHabar se kya kaam

tum sanwara karo baiThe hue gesu apne

chashm-e-bad-dūr vo bhole bhī haiñ nādāñ bhī haiñ

zulm bhī mujh pe kabhī soch-samajh kar na huā

chashm-e-bad-dur wo bhole bhi hain nadan bhi hain

zulm bhi mujh pe kabhi soch-samajh kar na hua

ab aap koī kaam sikhā dījiye ham ko

ma.alūm huā ishq ke qābil to nahīñ ham

ab aap koi kaam sikha dijiye hum ko

malum hua ishq ke qabil to nahin hum

javāb soch ke vo dil meñ muskurāte haiñ

abhī zabān pe merī savāl bhī to na thā

jawab soch ke wo dil mein muskuraate hain

abhi zaban pe meri sawal bhi to na tha

merā har sher hai ik rāz-e-haqīqat 'beḳhud'

maiñ huuñ urdu 'nazīrī' mujhe kyā samjhā

mera har sher hai ek raaz-e-haqiqat 'beKHud'

main hun urdu ka 'naziri' mujhe tu kya samjha

dushman ke ghar se chal ke dikhā do judā judā

ye bāñkpan chaal ye nāz-o-adā hai

dushman ke ghar se chal ke dikha do juda juda

ye bankpan ki chaal ye naz-o-ada ki hai

namak bhar kar mire zaḳhmoñ meñ tum kyā muskurāte ho

mire zaḳhmoñ ko dekho muskurānā is ko kahte haiñ

namak bhar kar mere zaKHmon mein tum kya muskuraate ho

mere zaKHmon ko dekho muskurana is ko kahte hain

chalne nahīñ aaj koī ghaat kisī

sunñe ke nahīñ vasl meñ ham baat kisī

chalne ki nahin aaj koi ghat kisi ki

sunne ke nahin wasl mein hum baat kisi ki

savāl-e-vasl par kuchh soch kar us ne kahā mujh se

abhī va.ada to kar sakte nahīñ haiñ ham magar dekho

sawal-e-wasl par kuchh soch kar us ne kaha mujh se

abhi wada to kar sakte nahin hain hum magar dekho

unheñ to sitam mazā paḌ gayā hai

kahāñ tajāhul kahāñ taġhāful

unhen to sitam ka maza paD gaya hai

kahan ka tajahul kahan ka taghaful

bhūle se kahā maan bhī lete haiñ kisī

har baat meñ takrār aadat nahīñ achchhī

bhule se kaha man bhi lete hain kisi ka

har baat mein takrar ki aadat nahin achchhi

paḌhe jaao 'beḳhud' ġhazal par ġhazal

vo but ban ga.e haiñ sune jā.eñge

paDhe jao 'beKHud' ghazal par ghazal

wo but ban gae hain sune jaenge

hameñ islām se itnā ta'alluq hai abhī baaqī

butoñ se jab bigaḌtī hai ḳhudā ko yaad karte haiñ

hamein islam se itna ta'alluq hai abhi baqi

buton se jab bigaDti hai KHuda ko yaad karte hain

mahfil vahī makān vahī aadmī vahī

ham na.e haiñ tirī aadat badal ga.ī

mahfil wahi makan wahi aadmi wahi

ya hum nae hain ya teri aadat badal gai

dil huā jaan huī un bhalā kyā qīmat

aisī chīzoñ ke kahīñ daam diye jaate haiñ

dil hua jaan hui un ki bhala kya qimat

aisi chizon ke kahin dam diye jate hain

muñh pher kar vo kahte haiñ bas maan jā.iye

is sharm is lihāz ke qurbān jā.iye

munh pher kar wo kahte hain bas man jaiye

is sharm is lihaz ke qurban jaiye

raqīboñ ke liye achchhā Thikānā ho gayā paidā

ḳhudā ābād rakhe maiñ to kahtā huuñ jahannam ko

raqibon ke liye achchha Thikana ho gaya paida

KHuda aabaad rakhe main to kahta hun jahannam ko

takiya haTtā nahīñ pahlū se ye kyā hai 'beḳhud'

koī botal to nahīñ tum ne chhupā rakkhī hai

takiya haTta nahin pahlu se ye kya hai 'beKHud'

koi botal to nahin tum ne chhupa rakkhi hai

ye kah ke mere sāmne Taalā raqīb ko

mujh se kabhī jaan na pahchān jā.iye

ye kah ke mere samne Tala raqib ko

mujh se kabhi ki jaan na pahchan jaiye

'beḳhud' to mar miTe jo kahā us ne naaz se

ik sher aa gayā hai hameñ aap pasand

'beKHud' to mar miTe jo kaha us ne naz se

ek sher aa gaya hai hamein aap ka pasand

zamāna ham ne zālim chhān maarā

nahīñ miltīñ tire milne rāheñ

zamana hum ne zalim chhan mara

nahin miltin tere milne ki rahen

ġham meñ Duube rahe dam na hamārā niklā

bahr-e-hastī bahut duur kinārā niklā

gham mein Dube hi rahe dam na hamara nikla

bahr-e-hasti ka bahut dur kinara nikla

mohabbat aur majnūñ ham to saudā is ko kahte haiñ

fidā lailā pe thā āñkhoñ andhā is ko kahte haiñ

mohabbat aur majnun hum to sauda is ko kahte hain

fida laila pe tha aankhon ka andha is ko kahte hain

nazar kahīñ hai muḳhātab kisī se haiñ dil meñ

javāb kis ko milā hai savāl kis thā

nazar kahin hai muKHatab kisi se hain dil mein

jawab kis ko mila hai sawal kis ka tha

kyā kah diyā ye aap ne chupke se kaan meñ

dil sambhālnā mujhe dushvār ho gayā

kya kah diya ye aap ne chupke se kan mein

dil ka sambhaalna mujhe dushwar ho gaya

ho liye jis ke ho liye 'beḳhud'

yaar apnā to ye hisāb rahā

ho liye jis ke ho liye 'beKHud'

yar apna to ye hisab raha

tīr-e-qātil ko kaleje se lagā rakkhā hai

ham to dushman ko bhī ārām diye jaate haiñ

tir-e-qatil ko kaleje se laga rakkha hai

hum to dushman ko bhi aaram diye jate hain

maut aa rahī hai va.ade pe aa rahe ho tum

kam ho rahā hai dard dil-e-be-qarār

maut aa rahi hai wade pe ya aa rahe ho tum

kam ho raha hai dard dil-e-be-qarar ka

dil meñ phir vasl ke armān chale aate haiñ

mere rūThe hue mehmān chale aate haiñ

dil mein phir wasl ke arman chale aate hain

mere ruThe hue mehman chale aate hain

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now